14 Rabi ul Awwal Urs Hazrat Khawaja Syed Qutubuddin Bakhtiyar Kaki (Rehmatullah Alaih)

Hazrat Qutbuddin Bakhtiyar Kaki(رحمتہ اللہ علیہ)

809wa URS MUBARAK

Qutub ul Islaam Maalik ul Mashaikh Sultan ul Tariqat Burhan ul Haqiqat Siraj ul Aulia Hazrat Khawaja Syed Qutubuddin Bakhtiyar Kaki (Rehmatullah Alaih)

Aapki Wiladat 2 Ramzan ul Mubarak 569 Hijri Mutabik 1173 Esvi Me Osh, Mawaa-un-Naher, Kyrgyzstan Me Hui, Aapka Wisaal 14 Rabi ul Awwal Sharif 633 Hijri Mutabik 27 November 1235 Esvi Me Hua, Aap Khawaja e Khawajgan Shehansha e Hindustan Hazrat Khawaja Moinuddin Hasan Chishti Sarkar Khawaja Gareeb Nawaz (Razi Allahu Tala Anhu) Ke Mureed wa Khalifa Hain, Aapke Khalifa Zuhad ul Ambiya Hazrat Baba Fareed ud Deen Masood Ganj Shakar (Rehmatullah Alaih) Hain, Aapka Mazar Mubarak Mehroli Sharif, Delhi, India Me Marjai Khaliak Hain…

🌹🌹Urs Mubarak🌹🌹
Urs Hazrat Qutub ul Aqtab Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki R.A bht bht Mubarak
Aap Shaheed e Ishq hain aur aapka wisal Dauran e Mehfil e Sama Shaykh Ahmed Jaam almaruf Zinda peel ke ashar sunte hue hua. Aapke kaafi Khulafa hue aur Jahan Jahan bhi Tashreef le gaye unhone mehar o muhabbat se ishat e Deen kiya aur kaafi logo ko silsila e chishtiya main dakhil bhi kiya.
Aapko Hazrat Khwaja e Khwajagaan Hazrat Khwaja Moinuddin Hasan Chishty R.A se tamam wo tabarrukat mile jo Khwaja e Azam R.A ke pass jo the aur jo unko Mashaikh se mile aur khud Khwaja e Azam ke Tabarrukat aur Khirqah Khilafat hasil hua
Note – Aksar Mashaikh e Chisht main Khwaja e Azam R.A se le kar Khwaja Naseeruddin Chiragh Dehalvi R.A tak Mashaikh apna Janasheen yani sajjadanashin jo ahl hota tha uska intekhab kiya karte the is wajah se Khwaja Gharib Nawaz R.A ke Haqiqi Janasheen aur Sajjadanashin Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki R.A hai
Aur jo koi bhi Khwaja e Azam ke Janasheen aur Sajjadanashin ka Dawa kare wo batil hai.
Kyuki ye tasawwuf ki naimat kisi ki miras nahi hai iske liye ba qaul Shaykh Jami ke

Banda e ishq shudi tark nasab kun Jami
Ke dar ein rah falaan ibne falaan cheezi neest

Aey Jami! Tu ishq ka ghulaam hai, naam o nasb tark kar de kyuki is rah main Falaan Ibne Falaan be-maani hota hai

us waqt ye naimat maurusi nahi thi sirf jo Ahl hota tha usko is nimat se sarfaraz kiya jata tha.

Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki R.A ne apne peer o murshid Khwaja e Azam R.A ke Malfuzat ko jama kiya jiska naam Dalil ul Arifeen hai
Alhamdulillah iska Farsi se English zuban main tehqiqi tarjuma ho chuka hai.
Aur Hazrat Khwaja e Azam R.A aur Hazrat Khwaja Qutubuddin Bakhtiyar Kaki R.A ke darmiyan jo khat o kitabat hue wo maktubat bhi dastiyab hai

Leave a comment