♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Aap ki wilaadat 18 Ramazaan 1111 Hijri (9 March 1700 A.D.) Jumeraat ke roz Bilgiram me hui.
Aap ke waalid ka naam Hazrat Sayyed Shaah Barkaatullāh Marehrawi bin Sayyed Shaah Uwais rahmatullāhi alaihi aur waalida ka naam Wafiyah Bibi binte Sayyed Maudood Bilgrami hai.
Aap Husaini saadaat hai. Aur Hazrat Sayyed Zaid bin Imaam Zain-ul-Aabideen rahmatullāhi alaihi ki nasl se hain.
1118 Hijri (1706 A.D.) me Aap ke waalid Marehra tashreef laaye. Yaha un ke liye ek makaan banaaya gaya. Phir Aap ne apne pariwaar ko Marehra bula liya.
****************
Aap ne apne waalid Hazrat Sayyed Shaah Barkaatullāh rahmatullāhi alaihi se ta’aleem o tarbiyat haasil ki.****************
Apne waalide maajid ke farmaan par Aap ne Gosha nasheeni ikhtiyaar ki. Is dauraan rozaana Aap sirf jau ki tikiya tanaawul farmaate.
Taqreeban 3 saal baad ek shab Hazrat Sharf-ud-deen Bu Ali Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi Aalame Waaqe’a me tashreef laaye aur farmaaya “Aale Muhammad! Maango kya maangte ho?” Aap ne arz kiya “Maine apna haath Waalide buzurgwaar ke haath me diya hai. Ab un ke siwa kisi dusre ka haath thaamna nahi chaahta.”
Subah ko Hazrat Sayyed Shaah Barkaatullāh ne Aap ko talab kiya aur farmaaya : “Hazrat Bu Ali Shaah Qalandar jo kuchh de rahe the wo kyun nahi liya?” Arz kiya “Huzoor! Jo kuchh lunga Aap se lunga, Aap ke siwa kisi dusre ka dastnigar kyun banu?” Is jawaab se Hazrat bahot khush hue aur apne sa’adatmand bete ko seene se lagaaya aur irshaad farmaaya “Aisa hi hona chaahiye, Apne Shaikh ke siwa kisi dusre se kuchh haasil karne ki koshish na karen. 12 saal ki gosha nasheeni ke baad tumhe jo kuchh milne waala tha wo sab tum ko aaj hi de deta hu. Is gosha nasheeni se baahar aa jaao aur Khalqullāh ki hidayat ki taraf mutavajjeh ho.” Is tarah Hazrat ne Suluk ke aala Maqaamaat tay kara diye.****************
Hazrat Sayyed Shaah Barkaatullāh ne apni hayaate mubaraka me hi Aap ko apna mukammal jaa nasheen muqarrar farma diya tha. Aur jab koi Taalib Hazrat ki baargaah me haazir hota to woh irshaad farmaate “Aale Muhammad ke paas jaao, us ne mere sar se bahot sa bojh halka kar diya hai aur raahat bakhshi hai.”****************
Aap akṡar waqt Waalide maajid ki aur deegar masha’ikh ki Kutube Tasawwuf ke muta’ale me guzaarte.
Aap ki puri umr Buzurgo ke zere saaya guzri aur fuyooz o barkaat se mustafiz hue.
Aap Ibaadat o Riyazat, Taqwa wa tahaarat aur Akhlaaq o Aadab me darja e kamaal par the.****************
Pariwaar :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aap ka nikaah Ghanimat Faatima binte Sayyed Shaah Azmatullāh se hua.
Aap ke 2 saahabzaade hain :
(1) Shaah Hamza,
(2) Shaah Haqqaani.****************
Aap (apne waalid) Hazrat Sayyed Shaah Barkaatullāh Marehrawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur halifa hain.
Hazrat Sayyed-ul-Aarifeen Meer Shaah Lutfullāh rahmatullāhi alaihi ne bhi Aap ko khilaafa ata farma hai.Aap ‘Qaadri Brakaati’ silsila ke shaikh hain.
Aap ke khulfa :
(1) Hazrat Sayyed Shaah Hamza rahmatullāhi alaihi,
(2) Hazrat Shaah Zahoorullāh rahmatullāhi alaihi,
(3) Hazrat Shaah Waasil rahmatullāhi alaihi.****************
Aap ka wisaal 16 Ramazaan 1164 Hijri (8 August 1751 A.D.) ko Shabe Peer ko hua.Aap ka mazaar Marehra (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Sayyed Shaah Aale Muhammad Marehrawi rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.