Yaum e Wisal Hazrat Abu Talib AlahisSalam 26 Rajab

*_26th Rajjabul Murajjab Shabe Wisaale Mohsine Islam, Jadde Kareem, Sarkar Aaqa o Maula Imran Abu Talib AlaihisSalaam_*

_Maula Imran Abu Talib AlaihisSalaam Wo Azeem Hasti Hai Jinhone Kul Ambiyan ke Imam Sayyeduna Mohammedur RasoolAllah SallAllahu Wa Alaihi Wa Aala Aalehi Wa Sallam Aur Kul Waliyo ke Sardar Sayyeduna Maula Ali e Murtaza AlaihisSalaam ko Sambhaala Sahara Diya!_

*_Maula Imran Abu Talib AlaihisSalaam Ne Hi Huzoor SallAllahu Alaihi Wa Aala Aalehi Wa Sallam Aur Maa Khadija Salamullah Alaiha ka Nikah_* *_Padhaaya SubhanAllah_*
*_Maula Imran Abu Talib AlaihisSalaam Ke Namaze Janaza Khud Huzoor ﷺ Ne Padhaya_*


_Sayyeduna Abu Talib Alaihissalam ki Qabr-e-Aqdas Dargah Pe Pehle Gumbad Bhi Tha, Magar Najdiyon ne 1923 Me Sab Mismaar kar Diya._


_हम वो जमाअत हैं जो हुज़ूर ﷺ की नालैन शरीफ़ का भी अदब ओ एहतेराम करते हैं उसे कभी हम सिर्फ़ जूता नही कहते_

*_क्या हो गया उन लोगों को जो कलमा नबीﷺ का पढ़ते है और ऐसे ऐतराज़ भी करते है_*

_दावत ए तौहीद हज़रते अबु तालिबع के घर से दी गयी_
_इश्आत ए इस्लाम हज़रते अबु तालिबع के घर से हुई_
_इस्लाम की इब्तेदा पहली दावत पहली मजलिस हज़रते अबु तालिबع के घर से हुई_

*_और जब इस्लाम के तहफ़्फ़ुज़ के लिए ख़ून बहाना हुआ तो इसी घर ने कुर्बानियां पेश की_*
*_जिसमे 6 माह का मासूम भी शामिल है और_*
*_56 साल का ताजदार भी_*


*26 Rajab ul Murajjab*

*Yaume Wisaal*

*Amm e Rasool Nigeh Baan e Risalat Nikah Khuwan e Mustufa ﷺ Kafeel e Mustufa ﷺ Mohsin e Islam Shaykh Al Batha Hazrat Syedna Imran Abu Talib Alaihi Salam*

*Aapki Wiladat 29 Shawwal ul Mukarram 540 Esvi Me Makkah Sharif, Saudia Arabia Me Hui, Aapka Wisaal 26 Rajab ul Murajjab 619 Esvi Me Hua, Aap Sarkar Do Aalam Huzoor Ahmad e Mujtuba Muhammad Mustafa ﷺ Ke Chacha Jaan, Mola e Kaynat Mola Imaam Ali Alaihis Salam Ke Walid e Majid, Hazrat Syedna Mola Imaam Hasan Alaihis Salam Hazrat Syedna Mola Imaam Hussain Alaihis Salam Ke Dada Jaan The, Aapne Huzoor ﷺ Ki Bachpan Se Jawani Tak Parwarish Ki, Huzoor ﷺ Ka Sayyeda Khadija tul Kubra Salamun Aleha Se Nikah Hazrat Abu Talib Ne Padhaya Aur Mehar Apni Jeb Se Ada Kiya, Aapne Huzoor ﷺ Ke Bachpan Se Lekar Aelane Nabuwat Ke Bad Bhi Apne Wisaal Ke Din Tak Huzoor ﷺ Ki Kuffar Aur Mushrikeen Se Hifazat Kari Aur Unke ilzamat Se Difa Kiya Aur Fir Aesi Hifazat Ki Ke Jab Kuffar Ne Boycott Kiya To Har Raat Huzoor ﷺ Ke Bistar Par Apne Sahabzade Hazrat Syedna Mola Imaam Ali Ko Sulaya Taake Koi Badbkaht Hamla Kare To Unk Sahabzade Mola Ali Shaheed Ho Magar Huzoor ﷺ Ko Koi Taklif Na Pouche, Aap Duniya Ke Sabse Bade Muhibbe Rasool Hain, Aap Duniya Ke Sabse Pehle Naat Khuwan Hain, Jab Hazrat Abu Talib Ka Wisaal Hua To Huzoor ﷺ Ne Us Pure Saal Ko Gham Ka Saal Karaar Diya Itna Gham Hua Aapko Hazrat Abu Talib Ki Judayi Ka, Aapka Mazar Mubarak Makkah Sharif, Saudia Arabia Me Marjai Khaliak Hain…*


Bemisal Imaam

*Bemisal Imaam*



*1.* Ek Martaba Kisi Ghulam Ne Hazrat Syedna Mola Imaam Musa Kazim Alahis Salam Ko Halwe Ka Tohfa Pesh Kiya To Aapne Ghulam Ko Uske Halwe Wale Bartan Samet Ek Hazar Dinar Me Kharid Liya Aur Phir Azad Karte Hue Wo Bartan Bhi Jis Me Halwa Mojood Tha Usi Ghulam Ko De Diya.

📚 *Reference* 📚
Al Bidayah wan Nihayah

*2.* Hafiz Ibn Kasir Likhte Hain Hazrat Syedna Imaam Musa Kazim Alahis Salam Bhut Zada Ibadat Karne Wale Aur Aala Akhlaq Ke Hamil The, Jab Kisi Ke Bare Me Maloom Hota Ke Usne Unhe Taklif Pohnchayi Hai To Use Sona Ya Deegar Qeemti Tahaif Bhej Diya Karte The.

📚 *Reference* 📚
Al Bidayah wan Nihayah

Zikr e Syedna Imam Musa Kazim AlaihisSalam yaum e Shahadat 25 rajjab.

*_💔25 Rajab ul Murajjab 💔_*
_😭Yaum-e-Shahadat 😭_

*_Aaimma e Ahle Baitع Ke 7we Imaam Tajdare Imamat wa Wilayat Bab ul Hawaij Aale Rasoolﷺ Aulad e Maula Aliع o Syyeda Fatima Zahra Batoolس Dilbar e Hasnain Karimainع Noor e Nazar e Imaam Zainul Aabedinع Jigar Gosha e Imaam Muhammad Baqarع Farzand e Imaam Jafar Sadiqع Syedna Maula Imaam Musa Kazim Alahis Salam Ibne Syedna Maula Imaam Jafar Sadiq Alaihis Salam_*

_Aapki Wiladat e Ba’Sadaat 7 Safar 128 Hijri Mutabik 6 November 745 Esvi Ko Abwa, Saudia Arabia Me Hui, Aapki Shahadat 25 Rajab ul Murajjab 183 Hijri Mutabik 1 September 799 Esvi Ko Hui, Aap Aaimma e Ahle Baitع Ke 7we Imaam Hai, Aap Syedna Maula Imaam Hussain Alaihis Salam Ke Shahzade Syedna Maula Imaam Zainul Aabedin Alaihis Salam Ke Parpote Syedna Maula Imaam Muhammad Baqar Alaihis Salam Ke Pote Syedna Maula Imaam Jafar Sadiq Alaihis Salam Ke Shahzade Aur Syedna Maula Imaam Ali Raza Alaihis Salam Ke Walid e Majid Hai Khalifa Mansoorل Ke Zamane Me Aap Aapne Walid e Majid Maula Imaam Jafar Sadiq Alaihis Salam Ki Shahadat Ke Bad 21 Saal Ki Umar Me Imaam Bane, Kuch Waqt Baad Mansoorل Ne Aapko Bhi Qaid Karke Rakha, Uske Baad Mahdi Aur Musa Ne Bhi Aapko Qaid Karke Rakha, 179 Hijri 795 Esvi Me Musa Ke Bhai Haroon Rasheed Ne Aapko Qaid Kar Liya, 4 Sal Baad Uske Hukum Se Sindi Ibn Shahiq Ne Khajoor Me Zehar Milakar Aapko Shaheed Kar Diya, Aur Aapke Jism Mubarak Ko Baghdad Ke Ek Pool Par Zanjeer Ke Sath Bandhe Hue Ak Taboot Me Chor Diya, Jab Unke Taboot Ke Pas Jane Ki Koshish Karte To Unhe Haroon Rasheedل Ke Log Dara Dhamka Kar Rok Dete, Ye Baat Ak Shaks Ko Pata Chali Jo Ke Ahle Baitع Se Mawaddat Rakhta Tha Aur Shahi Gharane Se Tha, Khabar Sunkar Wo Us Pool Par Aaya Aur Haroon Rasheedل Ke Logo Se Kehne Laga Ki Kya Tum Bhool Gye Ki Rasool e Khuda Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam Ne Farmaya Tha Ki Mai Ajar e Risalat Kuch Nahi Mangta Siwae Iske Ki Meri Aal Se Muhabbat Karo, Ye Sunkar Sipaahi Apne Sar Ko Jhukane Lage, Usne Kaha Jao Haroon Rasheedل Se Kehdo Ki Me Bhi Shahi Khandaan Se Hu Jo Usko Karna Tha Wo Kar Chuka Ab Jo Me Chahunga Wo Karunga, Unhone Imaam Musa Kazim Alahis Salam Ke Janaze Ko Lekar Waha Le Aaye Jahan Quraish Ke Log Tadfeen Kiye Jaate The, Tadfeen Karne Ke Liye Unhone Hukum Diya Ki Imaam Musa Kazim Alahis Salam Ki Zanjeere Khol Di Jaye To Waha Mojood Sipaahi Rone Lage Aur Kaha Ki Imaam Musa Ko Aesa Zehar Diya Gya Hain Ki Inki Haddiya Gal Gayi Hain Agar Zanjeer Kholi To Inki Khaal Bhi Utar Jayegi, Itne Me Ak Ghode Par Sawaar Shaqs Aaye Aur Kehne Lage_ *_Mere Baba Ko In Zanjeero Ke Sath Hi Tadfeen Kar Diya Jaye, Jab Ye Qayamat Ke Din In Zanjeero Ke Sath Uthenge To Rasool e Khuda Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam Se Kahenge :- Nana! Aapki Ummat Ne Mujhe Is Tarha Ajar e Risalat Diya Hai_* _Us Ghode Par Sawar Shaqs Ne Imaam Ki Tadfeen Ki Aur Jab Wo Jane Lage To Logo Ne Unse Poucha Aap Kon Hain To Unhone Kaha Me Ali Ibne Musa Raza Hu, Jabki Imaam Ali Raza Alaihis Salam Us Waqt Madina Pak Me The, Aapka Mazar Mubarak Kazimain Sharif, Iraq Me Marjai Khaliak Hai_

*25 Rajab ul Murajjab*

*Yaume Shahadat*

*Aaimma e Ahle Baith Ke 7we Imaam Tajdare Imamat wa Wilayat Bab ul Hawaij Aale Rasool Aulad e Mola Ali o Sayyeda Batool Dilbar e Hasnain Karimain Noor e Nazar e Imaam Zainul Aabedin Jigar Gosha e Imaam Muhammad Baqir Farzand e Imaam Jafar Sadiq Hazrat Syedna Mola Imaam Musa Kazim Alahis Salam*

*Aapki Wiladat e Ba’Saadat 7 Safar 128 Hijri Mutabik 6 November 745 Esvi Ko Abwa, Saudia Arabia Me Hui, Aapki Shahadat 25 Rajab ul Murajjab 183 Hijri Mutabik 1 September 799 Esvi Ko Hui, Aap Aaimma e Ahle Baith Ke 7we Imaam Hain, Hazrat Syedna Mola Imaam Zainul Aabedin Alaihis Salam Ke Parpote Hazrat Syedna Mola Imaam Muhammad Baqir Alaihis Salam Ke Pote Hazrat Syedna Mola Imaam Jafar Sadiq Alaihis Salam Ke Shahzade Aur Hazrat Syedna Mola Imaam Ali Raza Alaihis Salam Ke Walid e Majid Hain, Khalifa Mansoor Ke Zamane Me Aap Aapne Walid e Majid Mola Imaam Jafar Sadiq Alaihis Salam Ki Shahadat Ke Bad 21 Saal Ki Umar Me Imaam Bane, Kuch Waqt Baad Mansoor Ne Aapko Bhi Qaid Karke Rakha, Uske Baad Mahdi Aur Musa Ne Bhi Aapko Qaid Karke Rakha, 179 Hijri 795 Esvi Me Musa Ke Bhai Haroon Rasheed Ne Aapko Qaid Kar Liya, 4 Sal Baad Uske Hukum Se Sindi Ibn Shahiq Ne Khajoor Me Zehar Milakar Aapko Shaheed Kar Diya Aur Aapke Jism Mubarak Ko Baghdad Ke Ek Pool Par Zanjeer Ke Sath Bandhe Hue Ak Taboot Me Chor Diya Jab Unke Taboot Ke Pas Jane Ki Koshish Karte To Unhe Haroon Rasheed Ke Log Dara Dhamka Kar Rok Dete, Ye Baat Ak Shaks Ko Pata Chali Jo Ke Ahle Baith Se Mawaddat Rakhta Tha Aur Shahi Gharane Se Tha, Khabar Sunkar Wo Us Pool Par Aaya Aur Haroon Rasheed Ke Logo Se Kehne Laga Ki Kya Tum Bhool Gye Ki Rasool e Khuda ﷺ Ne Farmaya Tha Ki Me Ajar e Risalat Kuch Nahi Mangta Siwa e Iske Ki Meri Aal Se Muhabbat Karo, Ye Sunkar Sipaahi Apne Sar Ko Jhukane Lage, Usne Kaha Jao Haroon Rasheed Se Kehdo Ki Me Bhi Shahi Khandaan Se Hu Jo Usko Karna Tha Wo Kar Chuka Ab Jo Me Chahunga Wo Karunga, Unhone Imaam Musa Kazim Alahis Salam Ke Janaze Ko Lekar Waha Le Aaye Jahan Quraish Ke Log Tadfeen Kiye Jaate The, Tadfeen Karne Ke Liye Unhone Hukum Diya Ki Imaam Musa Kazim Alahis Salam Ki Zanjeere Khol Di Jaye To Waha Mojood Sipaahi Rone Lage Aur Kaha Ki Imaam Musa Ko Aesa Zehar Diya Gya Hain Ki Inki Haddiya Gal Gayi Hain Agar Zanjeer Kholi To Inki Khaal Bhi Utar Jayegi, Itne Me Ak Ghode Par Sawaar Shaqs Aaye Aur Kehne Lage Mere Baba Ko In Zanjeero Ke Sath Hi Tadfeen Kar Diya Jaye, Jab Ye Qayamat Ke Din In Zanjeero Ke Sath Uthenge To Rasool e Khuda ﷺ Se Kahenge :- Nana! Aapki Ummat Ne Mujhe Is Tarha Ajar e Risalat Diya Hain, Us Ghode Par Sawar Shaqs Ne Imaam Ki Tadfeen Ki Aur Jab Wo Jane Lage To Logo Ne Unse Poucha Aap Kon Hain To Unhone Kaha Me Ali Ibne Musa Raza Hu, Jabki Imaam Ali Raza Alaihis Salam Us Waqt Madina Pak Me The, Aapka Mazar Mubarak Kazimain Sharif, Iraq Me Marjai Khaliak Hain…*