
Ek Shaqs ne Imam Ali-e-Raza (a.s) ke saamney Aayat padhi:
“Zaleka Fazllaho Yutio Maiyyasha Wallho Zul Fazlul Ameez”
(Yeh Allah ka sabse bada Fazl hai Allah jisse chaahta hai usse Ataa farmaata hai.)
Maula Raza (a.s) ne puchha yeh Allah ka Fazl kya hai?
Ussne kaha Maula Hukumat.
Maula ne farmaya yeh to Firoun ke paas bhi thi
Ussne kaha Maula Daulat.
Maula ne farmaya woh to Karoon ke paas bhi thi
Ussne kaha Maula Betey.
Maula ne farmaya yeh to Abu lahab ke paas bhi they
Phir ussne kaha Maula Taweel Umr.
Maula ne farmaya bahut bahut taweel umr kaafiro ki bhi hui hain
Ussne kaha Maula Rizq.
Maula ne farmaya yeh to Firoun or Namrood ke paas bhi tha
Woh kehta hai Maula Aap bataye aapke Dahan mein Allah ki zubaan hai.
Maula ne farmaya:
“Fazl mere jadd Ali (a.s) ki Wilaayat hai, Allah jisse chaahta usse Ataa Farmata hai.”