Hadith :Raqs Karna

“Hazrat ‘Aaishah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Bayan Karti Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Baahar Tashreef Laa’e Dar Hala’n Ki Habashi Khel Rahe They, Mein Ne Apne Hujra Ke Darwaza Se Baahar Jhaanka To Rasool Allahصَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Mere Qareeb Hu’e, Pas Mein Ne Apna Haath Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ke Mubaarak Kandhe Par Rakkha Aur (Un Habashiyo’n Ko Khelte Hu’e) Dekhne Lagi, To Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Banaate Arfidah. Pas Mein Unhe’n Dekhti Rahi Dar Hala’n Ki Woh Khel Aur Naach Rahe They (Aur Ek Riwayat Me Hai : Woh Raqs Kar Rahe They,) Yaha’n Tak Ki Mein Ne Khud Hee Dekhna Khatm Kar Diya (Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Mujhe Man’a Nahin Farmaya).”

Is Hadith Ko Imam Nasa’i Aur Tabarani Ne Riwayat Kiya Hai. ‘Asqalani Ne Farmaya : Woh Khel Rahe They Aur Raqs Kar Rahe They. Zufn Ka Matlab ‘Raqs Karna’ Hai.

[Nasa’i Fi As-Sunan-ul-Kubra, 05/309, Raqm-8958,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Awsat, 09/121, Raqm-9303,

‘Asqalani Fi Talkhis-ul-Habir Fi Takhrij Ahadith Al-Rafi’iy Al-Kabir, 04/202, Raqm-2125,

Ibn Mulaqqin Fi Khulasat-ul-Badr-ul-Munir Fi Takhrij-il-Ahadith Wa Al-Athar Al-Waqi’ah Fi Ash-Sharh Al-Kabir, 02/443, Raqm-2917,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/56_57, Raqm-19.]
〰〰

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s