Hadith:Shaam Ke Mahallaat Tak Raushan.

“Hazrat Aboo Maryam (Sanaan) رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Ki Ek Dehaati Shakhs Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Khidmate Aqdas Me Haazir Huwa. Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Us Waqt Tashreef Farma They Aur Aap Ke Paas Bohat Se Log Baithe Hu’e They. Us A’raabi Ne ‘Arz Kiya : (Ya RasoolAllah!) Kya Aap Mujhe Koi Aisi Shai De’nge Ki Mein Jis Se Seekhu’n Aur Use Sambhaale Rakkhu’n Aur Woh Mujhe Faa’eda Pahoncha’e Aur Aap Ko Koi Nuqshaan Na De? Logo’n Ne Use Kaha : Thehro, Baith Jaa’o. Is Par Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Ise Chhod Do, Be Shak Aadami Jaan Ne Ke Liye Hee Sawaal Karta Hai. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Is Ke Liye (Baith Ne Kee) Jagah Banaa’o. Yaha’n Tak Ki Woh Baith Gaya. Us Ne ‘Arz Kiya Ya RasoolAllah! Aap Kee Nubuwwat Ka Sab Se Pehla Mu’amala Kya Tha? Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Allah Ta’ala Ne Mujh Se Misaaq Liya Jaisa Ki Deegar Ambiya-e Kiram عَلَيْهِمُ السَلَام Se Un Ka Misaaq Liya. Phir Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Yeh Aayate Mubaaraka Padhi :﴾Aur (Ae Habib! Yaad Kijiye) Jab Hum Ne Ambiya’ Se Un (Kee Tableeghe Risaalat) Ka Ahd Liya Aur (Khusoosan) Aap Se Aur Nooh Se Aur Ibrahim Se Aur ‘Isa Bin Maryam (عَلَيْهِمُ السَلَام) Se Aur Un Se Nihaayat Pukhta Ahd Liya.﴿ Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Aur ‘Isa Bin Maryam عَلَيْهِمَا السَلَام Ne Meri Bashaarat Dee. Aur Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Waalida Mohtarma Ne Apne Khaab Me Dekha (Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Wilaadate Mubaaraka Ke Waqt) Un Ke Badane At’har Se Ek Aisa Charaagh Raushan Huwa Jis Se Shaam Ke Mahallaat Tak Raushan Ho Ga’e.”

Ise Imam Tabarani Aur Ibn Abi Asim Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 22/333, Raqm-835,

Tabarani Fi Musnad Al-Shamiyyin, 02/98, Raqm-984,

Ibn Abi ‘Asim Fi Al-Ahadu Wa’l-Mathani, 04/397, Raqm-2446,

Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 01/08,

Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/224,

Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 02/323,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/70_71, Raqm-31.]

Advertisement

Nabi Pakﷺ aur Aale e Nabi ki shaan mein Qaseeda Hazrat Ghaus ul Aazam.

*Nabi Aur Aal e Nabi Salllallahu Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam* Ki Shaan E Paak Me *Hazrat Sayyiduna Shaikh Abdul Qaadir Jeelani Ghaus Ul Aazam Dastageer Sarkaar* Ka Likha Huwa Ek Nayaab, Aur Qaabil e Ghaur o Fikr *Qaseeda* .

*Note* : Ye Qaseeda Shayad Aap Ne Pehle Kabhi Kahin Par Nahi Padha, Nahi Dekha Aur Na Kisi Se Suna Hoga.

Jo Log Apne Aap Ko Quadri Kehelwaate Hain Aur Dil Me Bughz e Ahl e Bait Bhi Rakhte Hain Unhe To Ye Qaseeda Baghaur Padhna Chahiye Aur Amal Karna Chahiye.