Qur’an Aur Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim

  • Hazrat Aboo Dhar RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Ki H Kouzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Farmaya :
    علی مع القرآن والقرآن مع علی لن یتفر قاحتی یر دا علی الحوض

“Ali Qur’an Ke Saath Hai Aur Qur’an Ali Ke Saath Hai Yeh Dono’n (Is Tarah Jude Rahenge Aur) Juda Nahin Honge Hatta Ke Hawze Kawthar Par Mil Kar Mere Paas Aaenge.”

[Hakim Fi Al-Mustadrak, 03/124.]

Yeh Keh Kar Baat Khatm Kar Dee Ali Qur’an Ke Saath Hai Aur Qur’an Ali Ke Saath, Qur’an Allah Rabb-ul-Izzat Kee Aakhiri Ilhaami Kitaab Hai. Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ko Chalta Phirta Qur’an Kaha Jaata Hai Oopar Hum Ne Dekha Ki Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Apni Zaat Se Ali Kee Zaat Ko Juda Nahi Karte. Yaha’n Tak Ki Qur’an Se Ali Ke Ta’alluq Kee Bhi Wazaahat Farmaayi Ki Qur’an-o-Ali Is Tarah Jude Hote Hain Ki Roze Jaza Bhi Yeh Ta’alluq Tootne Na Paaega Aur Ali Aur Qur’an Isi Haalat Me Mere Paas Hawze Kawthar Par Aaenge.

[Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/57_58.]
〰〰
Join Karen

Bukhl (Kanjoosi)

बुख्ल (कंजूसी)👇
Bukhl (Kanjoosi)👇

◈_ Duniya Kï Muhabbat se Jo marz felte he’n Unme ek ” Bukhl ” he Jo insaan ko bahut se Amaale khair se rokne ka sabab banta he, Bukhl MAAL Kï Muhabbat me Esa majboor ho jata he ke Aqal ke taqaze aur Shara’i ahkaam ke bavjood use kharch karna bahut sakht bojh maloom hota he ,

◈_ Kanjoos Aadmi aur Sadqa khairaat karne wale Kï misaal ese do Shakhso Kï tarah he Jo Lohe Kï do Zirhe pehne hue ho Jiski (tangi Kï) vajah se unke dono haath unke seene aur gardan se chimat gaye ho ,
Pas Jab Sadqa dene wala Sadqa dena shuru karta he to uski Zireh khulti chali jati he ,
Aur jab Bakheel kuchh sadqe ka iraada karta he to Zireh ke sab ajra mil jate he’n aur har har jod apni jagah pakad leta he ( Jiski Vajah se Bakheel ke liye sadqe ka iraada poora karna bada mushkil ho jata he ),

⚀•RєԲ Muslim Sharif, 1/328,

◈_ Zaroori aur Wajibi jagah par kharch karne me Bukhl karna Qur’an Kareem me kaafiro aur Munafiqo ka Amal bataya gaya he, Bilkhusoos Zakaat farz hone ke bavjood Zakaat na nikaalna bad tareen azaab ka mojib he ,

◈_ Aap Hazrat Sallallahu Alaihivasallam ne irshad farmaya,:- ”_ Do Aadate’n Allah Ta’ala ko pasand he’n aur Do Aadate’n na-pasand he’n, Jo Do Aadate’n Pasand he’n Wo Sakhawat aur Khush Akhlaqi he aur Na-pasandida Aadate’n Bad khalqi aur Kanjoosi he ,Chunache Jab Allah Ta’ala kisi bande Se bhalai ka iraada farmate he’n to use logo Kï zaruriyaat poori karne ke kaam me laga dete he’n, ”

⚀•RєԲ:- Shobul imaan ,7/436,

⚀•RєԲ: ➻┐Allah se Sharm Kijiye, 166,

दिल की हिफाजत कीजिए

बुख्ल (कंजूसी)

★_ दुनिया की मोहब्बत से जो मर्ज़ फैलते हैं उनमें एक “बुख्ल” है जो इंसान को बहुत से आमाले खैर से रोकने का सबब बनता है, बखील माल की मोहब्बत में ऐसा मजबूर हो जाता है की अक़ल के तका़जे़ और शरई अहकाम के बावजूद उसे खर्च करना बहुत सख्त बोझ मालूम होता है ।

★_ कंजूस आदमी और सदका़ खैरात करने वाले की मिसाल ऐसे दो शख्सों की तरह है जो लोहे की दो जिरहें पहने हुए हों जिसकी (तंगी की) वजह से उनके दोनों हाथ उनके सीने और गर्दन से चिमट गए हों, पस जब सदका़ देने वाला सदका़ देना शुरू करता है तो उसकी ज़िरह खुलती चली जाती है और जब बखील कुछ सदके़ का इरादा करता है तो ज़िरहे के सब अजरा मिल जाते हैं और हर हर जोड़ अपनी जगह पकड़ लेता है (जिसकी वजह से बखील के लिए सदके़ का इरादा पूरा करना बड़ा मुश्किल हो जाता है )_,” ( मुस्लिम शरीफ 1/ 328)

★_ ज़रूरी और वाजिब जगह पर खर्च करने में बुख्ल करना क़ुरान ए करीम में काफिरों और मुनाफ़िक़ों का अमल बताया गया है, बिलखुसूस ज़कात फ़र्ज़ होने के बावजूद ज़कात ना निकालना बदतरीन अज़ाब का मौजिब है ।

★_ आप हजरत सल्लल्लाहु अलेही वसल्लम ने इरशाद फरमाया:- “दो आदतें अल्लाह ताला को पसंद है और दो आदतें नापसंद हैं, जो दो आदतें पसंद है वह सखावत और खुश अखलाकी़ है और ना पसंदीदा आदतें बद खल्की़ और कंजूसी है, चुनांचे जब अल्लाह ताला किसी बंदे से भलाई का इरादा फरमाते हैं तो उसे लोगों की ज़रूरत पूरी करने के काम में लगा देते हैं _,” (शोबुल ईमान 7/436)