
Hazrat Abi bin Kaab RadiAllahu Anhu bayan karte hain ke maine Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se arz kiya Ya RasoolAllah SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam! Agar saari dua Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam par Durood bhejne keliye khaas kardun to? Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Fir to ye Durood tere tamam gamo ko kaafi hojayega aur tere tamam gunah maaf kardiye jayenge.
Tirmizi, Jaame al Sahih, 4/636, #2457
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Barik wa Sallim.