
“Imam Hasan Alaihissalam riwayat karte hain, Hadees-e-Sahih ke Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
Mujhpar kasrat se Durood bhi padha karo aur Salam bhi, isliye ke tumhara Durood aur tumhara Salaam Direct pahunchta hai Mujhpar jahan bhi hote ho!
Ek to tha ke Farishte pahunchate hain. Nahi nahi ye dusri Baat farmayi, Farishte to naukari karte he hain pahunchane ki. Farishte usi tarah Pahunchate hain Aaqa ki Bargah me Durood-o-Salam jaise hamare aamal Allah ki Bargah me pahunchate hain. Agar aap ye samjhen ke agar Huzoor Khud Sunte hamara Durood-o-Salam to Farishte kyu Pahunchate? Agar zehan me ye aaye to mera sawal hai agar Khuda Khud Dekhta Hai to Farishte Naam-e-Aamal Khuda ko likhkar kyu pahunchate hain? Farishte subho shaam hamara Naam e Aamal Khuda ki Bargah me pesh karte hain, is pesh karne se agar Ilm-e-Khuda ki nafi nahi hoti to jo Farishte Durood-o-Salaam Pesh karte hain is se Ilm-e-Mustafa ki nafi nahi hoti!
India waalo, India se Mustafa pe Durood-o-Salaam padhoge, Khuda ki Qasam Gumbad-e-Khazra me Mustafa Khud Sunte Hain! Mai Sanad ke saath kehraha hun Aaqa Khud Sunte Hain!”
SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
-Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-Qadri
Allahumma Salle Ala Sayyedina Muhammad an Nabiyyi wa Azwajihi Ummahtul Mumineen wa Zurriyatihi wa Ahle Baytihi kama Sallaita Ala Ibrahim Innaka Hamidum Majeed
Reference:
Ahmed ibne Hanbal, Musnad (Jisne Hadees ke Raawi Hazrat Abu , Hadees no. Hurairah RadiAllahu Anhu Hain), 2/367, Hadees no. 879
Tabrani, Mujam al Kabeer, 3/82, Hadees no. 2729
Tabrani, Mujam al Awsat, 1/17, Hadees no. 365
Daylami, Musad al Firdaus, 5/15, Hadees no. 7307
Manzari, Targhib wa Tarheeb, 2/326, Hadees no. 2571