Ek tihayee (1/3) pet khane ke liye

Beautiful-Muhammad-PBUH-768x432

 

Bismilahirrahmanirrahim
Hadith : Ek tihayee (1/3) pet khane ke liye, ek tihayee pet peene ke liye aur ek tihayee pet saans (hawa) ke liye rakhe
—————-
✦ Miqdam bin Madikarib Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya aadmi pet se zyada bura koi bartan nahi bharta, aadmi ke liye chand niwale kaafi hain jo uski kamar seedhi rakhe aur aadmi ka nafs agar galib aa jaye ( yani zyada khane ko dil kare) to ek tihayee (1/3) pet khane ke liye, ek tihayee pet peene ke liye aur ek tihayee pet saans (hawa) ke liye rakhe
Sunan Ibn majah, Jild 3, 230-Sahih

✦ Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Do aadmiyon ka khana teen logon ke liye kafi hai aur teen aadmiyon ka khana chaar logon ke liye kaafi hai.
Sahih Bukhari, Vol 6, 5392
———–
✦ मिकदाद बिन मादिकरीब रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया आदमी पेट से ज़्यादा बुरा कोई बर्तन नही भरता, आदमी के लिए चंद निवाले काफ़ी हैं जो उसकी कमर सीधी रखे और आदमी का नफ़स अगर ग़ालिब आ जाए ( यानी ज़्यादा खाने को दिल करे) तो एक तिहाई (1/3) पेट खाने के लिए एक तिहाई पेट पीने के लिए और एक तिहाई पेट साँस (हवा) के लिए रखे
सुनन इब्न माजा, जिल्द 3, 230-सही

✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया दो आदमियों का खाना तीन लोगों के लिए काफ़ी है और तीन आदमियों का खाना चार लोगों के लिए काफ़ी है.
सही बुखारी, जिल्द 6, 5392

Sab Rishton se Badh Kar Maa ka Rishta

islam004

 

► Maa ka Rishta Dunya ka Haseen tareen Rishta hai aur is ka koi Ne’mul badal nahi, Lehaza Shari’ate Mutahrah ne bhi Adab o Ehteram aur Ita’at o Farmanbardari mein is Rishte ko baqi rishton se Muqaddam rakha hai.

Allah’s Messenger (Sallallahu Alaihi Wasallam) said: “Allah enjoins you to treat your mother’s kindly”-three times- “Allah enjoins you to treat your fathers kindly, Allah enjoins you to treat the closest and the next closest kindly.”

[Sunan Ibn Majah :: Vol. 5 :: Book 33 :: Hadith 3661]

Urdu Translation: Allah ke Pyare Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ne Irshad farmaya: “Bila shuba Allah Tala tumhe Maa ke sath Husn sulook ka hukm deta hai, aur Tumhen Maa ke sath Husn sulook ka hukm deta hai, aur phir Tumhe Maa ke sath Husn sulook ka hukm deta hai (Taakidan 3 martaba ye hukm irshad farmaya), Phir Baap ke sath Husn sulook ka tumhen hukm deta hai, phir Darja ba darja digar qareebi Rishtedaron ke sath umdah bartao ka tumhen Hukm deta hai.”

[Urdu Ref :: Sunan Ibn Majah :: Vol. 3 :: Hadith 542]

Mafhom e Hadees:

543781_305000536311247_1414072224_n

<1> Mafhom e Hadees: Jhot se Bachtay Rehna, Beshak Jhot Burrai ki taraf lay jata hay aur Burrai Jahannum ki taraf lay jaye Gi, BeShak Insan Jhot Bolta Rehta hay aur Eska Aadi ho Jata hay to ALLAH kay haan Bohat Jhota Likh Dia Jata hay (Abbo Dawood, Hadees#4989, Darja: Sahi, Kitab uL Addab, Baab: Jhot Bolnay ki Muzammat, Ravi: Abdullah Bin Masood R.A)
<2> April Fool Bohat se Kabira Gunahon ka Majmoa hay, Jhot ko Agar Gunah Samajh kay Bola Jaye to Jhot Bolna Gunah e Kabira hay (Muslim, Hadees #260, Kitab uL Eemaan, Baab: Biyan Nil Kabair wa Akbariha, Ravi: Anas Rz.A)
> Jhot Bolnay ki Burrai aur Muzammat kay Liye Yehi Kafi hay kay Quran main hay: Jhot Bolnay Walon par ALLAH ki Lanat. (Surah Aal-e-Imran, Ayat # 61, Para # 3)
Sabit howa kay Jo Log Jhot Bol kar “April Fool” Manatay hain Wo Quran main Maloon Thehraye Gaye hain, Jab April Fool Bahot se Kabira Gunahon ka Majmoa hay to Hamain Es se Khud bhi Bachna Chahiye aur Apne Doston ko bhi Samjhana Chahiye.
<4> Mafhom e Hadees: Kharabi hay us Shaks kay Liye Jo Es Maqsad kay Liye Jhoti Baat karay kay Es kay Zarriye Logon ko Hansaye, Kharabi hay us kay Liye, Kharabi hay us kay Liye (Tirmazi, Hadees #2405, Darja: Hassan, Kitab uz Zohad, Baab: Jo Shaks Logon ko Hansanay Kay Liye koi Baat Karay, Ravi: Abbo Horaira R.A)
<5> Mafhom e Hadees: Bohat Bari Khayanat Yeh hay kay Tum Apne Bhai se Aik Baat kaho aur Wo Tumhain Es Baat main Sacha Samajh raha ho Halan k Tum Os se Jhot bol rahay ho. (Abbo Dawood, Hadees # 4971, Kitab uL Addab, Baab: Maani Khaiz Baat Karna, Ravi: Hazrat Sufyan Bin Osaid Hazrmi Razi Allah Unho)
<6> Mafhome Hadees: Jis ne Jis Qaum kay sath Mushabehat ikhtiyar ki to Wo (Qayamat kay din) unhi mai se hoga (Abbo Dawood, Hadees #4031, Kitab uL Libas, Baab: Shuhrat kay liye Libas Pehinna, Ravi: ibne Umar R.A)
April Fool Mananay Wala Kafron ki Mushabehat Karta hay, Ayse Logon kay Baray Andesha hay kay Qayamat kay Din Kafron ki Saf mai Uthaye Jain, ALLAH hamain Quran o Sunnat Pe Ammal karnay wala Banaye (Aameen)

Azaan Ka Jawab Kaise De ?

allh-saw-300x300

Azaan Ka Jawab Kaise De ?
Jab Azaan Ho Toh Humko Uska Jawab Dena Chahiye,Aesa Karne Se Jitna Sawab Azan Dene Wale Ko Mil Raha Hai Utna Hi Humko Bhi Milega.»
Azaan Ka Jawab Iss Tarah Dijiye.
Azaan : Allahhu Akbar, Allahu Akbar
Jawab : Allahhu Akbar, Allahu Akbar
Azaan : Allahhu Akbar, Allahu Akbar
Jawab : Allahhu Akbar, Allahu Akbar
Azaan : Ash Hadu Al Lailaha Illallah
Jawab : Ash Hadu Al Lailaha Illallah
Azaan : Ash Hadu Al Lailaha Illallah
Jawab : Ash Hadu Al Lailaha Illallah
Azaan : Ash Hadu Anna Muhammadur Rasulallah
Jawab : Ash Hadu Anna MOhammadur Rasulallah (Sallallahu Alyhi Wasallam)
Azaan : Ash Hadu Anna MOhammadur Rasulallah
Jawab : Ash Hadu Anna MOhammadur Rasulallah (Sallallahu Alyhi Wsallam)
Azaan : Hayya Alas Salah
Jawab : La Hawla Wala Kuwwata Illa Billa Hil Aliyil Azim
Azaan : Hayya Alas Salah
Jawab : La Hawla Wala Kuwwata Illa Billa Hil Aliyil Azim
Azaan : Hayya Alal Falah
Jawab : La Hawla Wala Kuwwata Illa Billa Hil Aliyil Azim
Azaan : Hayya Alal Falah
Jawab : La Hawla Wala Kuwwata Illa Billa Hil Aliyil Azim
Azaan : Allahhu Akbar, Allahu Akbar
Jawab : Allahhu Akbar, Allahu Akbar
Azaan : Lailaha Illallah
Jawab : Lailaha Illallah.

Nabi sallallau alyhiwasallam ki Sunnatei’n

Beautiful-Muhammad-PBUH-768x432

Hazrat Muhammad (sallallau alyhiwasallam) ki kuch sunnate
=======================
1- Har Acche Kaam Se Pahle Bismillah Sharif Padhna.
2- Kapde Ya Joote Pahante time Pahle Sidhe Taraf Se Shuru Kare Or Utarte Waqt Ulte Taraf Se. Matlab agar joote pahan rahe ho to pahle sidhe per mein pahne phir ulte per mein aur utarte time pahle ulte per se utaare phir sidhe per se.
3- Salam Me Pahal Karna.
5- Raaste Me Chalte time Nigahe Nichi Karke Chalna.
Matlab kisi parai aurat ko na dekhna. ya kisi kharab cheez ka na dekhna.
6- Unchi Jagah Me Baith Kar Wazu Karna.
7- Miswaak Karna.
8- Surma Lagana.
9- Shahad (Honey) Khana.
10- Khane Se Pahle Or Khane Ke Baad Ek Chutki Namak Chakhna.
11- Paani Baith Kar Pina. pine se pahle bismillha padhna, 3 saans mein pina, pine ke baad “Alhamdulillah’ kehna, sidhe haath se pina, sar dhaak kar pina, ye dekh kar pina ke kahi usme kachra to nahi.
12- Logo ko acche kaam karne ka hukm dena.
13- Tahajjud, Ishraq, Chasht, Awwabeen Ki Namaz Padhna.
14- Wuzu Ka Bacha Hua Paani aur Zamzam Ka Pani Khade Hokar
Peena.
15- Safaid kapde pahanna.
16- Khazur Ki Chhaal (skin) Waali Chatai (Mat) Par Sona.
17- Khire Me Namak Lagakar Khana.
18- Sabko Maaf Karke Sona.
19- Sone Ki Dua Padh Kar Sona.
20- Tahajjud Or Fajar Me Uthne Ki Niyat Karke Sona.
21. sabse muskura kar milna.
22. Khana beth kar khana.
23. Khana kisi cheez se tik kar na khana.
24. Bhook se kam khana.
25. Khushbu lagana.
26. Baalo ki maang naak ki seedh se nikalna.
27. Bahut zor se na hasna, kewal muskurana.
28. Kapde beth kar badalna.
29. Masjid aur ghar ke andar sidha per pahle rakhna aur nikalte time darwaze ke bahar pahle ulta per rakhna.