The-creation-of-the-Universe Part 1

The-creation-of-the-Universe_Page_001The-creation-of-the-Universe_Page_008The-creation-of-the-Universe_Page_010The-creation-of-the-Universe_Page_011The-creation-of-the-Universe_Page_012The-creation-of-the-Universe_Page_013The-creation-of-the-Universe_Page_014The-creation-of-the-Universe_Page_015The-creation-of-the-Universe_Page_016The-creation-of-the-Universe_Page_017The-creation-of-the-Universe_Page_018The-creation-of-the-Universe_Page_019The-creation-of-the-Universe_Page_020The-creation-of-the-Universe_Page_021The-creation-of-the-Universe_Page_022The-creation-of-the-Universe_Page_023The-creation-of-the-Universe_Page_024The-creation-of-the-Universe_Page_025The-creation-of-the-Universe_Page_026The-creation-of-the-Universe_Page_027The-creation-of-the-Universe_Page_028The-creation-of-the-Universe_Page_029The-creation-of-the-Universe_Page_030The-creation-of-the-Universe_Page_031The-creation-of-the-Universe_Page_032The-creation-of-the-Universe_Page_033The-creation-of-the-Universe_Page_034The-creation-of-the-Universe_Page_035The-creation-of-the-Universe_Page_036The-creation-of-the-Universe_Page_037The-creation-of-the-Universe_Page_038The-creation-of-the-Universe_Page_039The-creation-of-the-Universe_Page_040The-creation-of-the-Universe_Page_041The-creation-of-the-Universe_Page_042The-creation-of-the-Universe_Page_043The-creation-of-the-Universe_Page_044The-creation-of-the-Universe_Page_045

Advertisement

SADQA AUR USKI BARKAT

sadqa

HADEES🌺
**********
🌸Kaab Ahbaar Se Riwayat Hain Ki Ek Bar Hazrat Bibi Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Bimaar Hui! Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ne Unse Pucha Ki Duniya Ki Chizon Mayse Tumahra Dil Kis Chiz Ko Chahta Hain! Jawab Diya Anaar Ko, Hazrat Ali Kuch Daer Keliye Soch May Padgaye Kyonki Unke Paas Kaudi Paisa Na Tha! Fir Bazaar May Aaye Aur Ek Dirham Udhaar Leker Anaar Kharida Aur Ghar Ki Taraf Chale!
🌸Raaste May Ek Bimaar Aadmi Ko Sadak Per Pada Dekha! Aap Taher Gaye Aur Usse Pucha Ki Tera Dil Kis Chiz Ko Chahta Hain? Usne Kaha Aye Ali! May 5 Din Se Yahan Pada Hoon, Bahoatse Aadmi Mere Paas Se Guzar Gaye Magar Kisine Meri Taraf Nigah Na Ki! Mera Dil Anaar Khane Ko Chahta Hain!

🌸Hazrat Ali Apne Dil May Kehne Lage Ki Agar Main Ise Anaar Khila Du To Fatima Mehroom Rehti Hain Aur Agar Mana Kardu To ALLAH Ki Nafarmani Hoti Hain, Jo Farmata Hain Ki Sayil Ko Na Zhidko!

🌸Chunanche, Aapne Anaar Todker Us Bimaar Ko Khilaya Aur Wo Usi Waqt Tandrust Hoker Uth Baitha! Udhar Sadqe Ki Barkat Se Bibi Fatima Ko Sehat Hasil Hogayi! Hazrat Ali Sharmaye Hue Ghar May Dakhil Hue!
🌸Hazrat Fatima Uneh Dekhker Khadi Hogayi, Hazrat Ali Ne Uneh Saara Maajra Sunaya! Wo Boli Aap Ghamgeen Kyon Hote Hain? ALLAH-TA’AALA Ke Izzat-O-Jalaal Ki Kasam, Udhar Aapne Us Bimaar Ko Anaar Khilaya, Idhar Mere Dil Se Uski Khwayish Jati Rahi!

🌸Hazrat Ali Is Baat Se Bahoat Khush Hue! Itne May Ek Shaks Ne Zanjeer Khat-Khatayi! Hazrat Ali Ne Farmaya Kaun? Jawab Aaya Salmaan Fharsi, Zara Darwaza Kholiye! Aapne Darwaza Khola! Dekha Ki Salmaan Ke Hath May Kapde Se Dhaka Hua Ek Thaal Hain! Salmaan Ne Wo Thaal Hazrat Ali Ke Aage Rakh Diya! Hazrat Ali Ne Pucha Yeh Kahan Se Aaya! Salmaan Ne Farmaya, ALLAH-TA’AALA Ki Taraf Se Rasool Ko Aur Rasool Ki Taraf Se Aapko Hadhiyah Bheja Gaya Hain! Kapda Uthaker Dekha To 9 Anaar The! Us Waqt Hazrat Ali Ne Farmaya, Ki Agar Yeh Hadhiyah ALLAH Ki Taraf Se Hota To 10 Anaar Hote, Kyonki ALLAH-TA’AALA Ka Qaul Hain Ki Jo Ek Neki Karta Hain Use 10 Mila Karti Hain
🌸Salmaan Yeh Sunker Has Pade Aur Apni Aastin Mayse Ek Anaar Nikaalker Thaal May Rakh Diya Aur Bole, Aye Ali! Khuda Ki Kasam, Anaar To 10 Hi The Lekin Maine Aapka Imtehaan Lene Ki Niyat Se Ek Chupa Liya Tha!

(Rauzatul Muttakeen)

(KAJH Pg-668-669-670)

Allah ke bando mein se afzal momeen

allah-wallpaper

Bismillahirrahmanirrahim

*✦ Hadith : Allah ke bando mein se afzal momeen*
————
✦ Abdullah bin shaddad Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke bando mein se us momeen se afzal koi shakhs nahi jiski umar islam mein zyada ho aur wo Allah Subhanahu ki tasbeeh (SubhanAllah), takbeer (Allahu Akbar) aur tehleel (La ilaha ilAllah) kahta rahe
Masnad e Ahmed 1347-Hasan
Al-Silsila-tus-Sahiha-2926
————
رسول اللہ صلى الله عليه وسلم نے فرمایا: اس مومن سے افضل کوئی شخص نہیں جس کی عمر زیادہ ہو اور وہ اللہ کی تسبیح ، تکبیر اور تہلیل کرتا رہے
مسند احمد ١٣٤٧ حسن
————
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह के बन्दों में से उस मोमीन से अफ़ज़ल कोई शख्स नही जिसकी उमर इस्लाम में ज़्यादा हो और वो अल्लाह सुबहानहु की तसबीह (सुबहानअल्लाह), तकबीर (अल्लाहू अकबर) और तहलील (ला ईलाहा इल अल्लाह ) कहता रहे
मसनद अहमद , 1347-हसन
अल-सिलसिला अस सहिया -2926
———–
✦ Narrated by Abdullah bin shaddad Radi Allahu Anhu The prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said the Best believer among the slaves of Allah is the one whose life is longer and who keep reciting a great deal of tasbeeh (SubhanAllah), Takbeer( Allahu AKbar) and tehleel
(La ilaha ilAllah)
Masnad e Ahmed 1347-Hasan
Al-Silsila-tus-Sahiha-2926

Napaki ki halat mein namaz padhna

allah-wallpaper4-300x300

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith : Napaki ki halat mein namaz padhne aur mazlum ki madad na karne par Qabr mein azab
————-
✦ Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu se riwayata hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya ek Allah ke ek bande ke bare mein Hukum diya gaya ke usko Qabr mein mein sau (100) kode maaray jayen. wo(is azab ko kam karne ki) ilteja aur duayen karta raha yaha tak ki ek koda rah gaya. Jab ye koda usko lagaya gaya to uski Qabr aag se bhar gayee, jab us saza ka asar khatam ho gaya aur usko hosh aa gaya to usne farishto se pucha tum ne kis wajah se mujhe koda mara hai? Farishton ne kaha tum ne ek namaz bina paaki (tahatart) ke padi thi, aur dusra ye ki tu ek mazloom ke paas se guzra tha lekin tune uski madad nahi ki thi
Al-Silsila-As-Sahiha Hadees # 554
————-
عبداللہ بن مسعود‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول الله ﷺ نے فرمایا: اللہ كے ایك بندے كے بارے میں حكم دیا گیا كہ اسے قبر میں سو كوڑے مارے جائیں۔ وہ التجاو دعائیں كرتا رہا حتی كہ ایك كوڑا بطور سزا رہ گیا۔ اسے ایك كوڑا مارا گیا، اس
كی قبر آگ سے بھر گئی، جب آگ ختم ہوئی اور اسے كچھ افاقہ ہوا تو اس نے پوچھا : تم نے مجھے كس وجہ سے كوڑا مارا ہے؟ فرشتوں نے كہا: تم نے ایك نماز بغیر طہارت كے پڑھی تھی، اور تم ایك مظلوم كے پاس سے گزرے تھے لیكن تم نے اس كی مدد
نہیں كی تھی۔
السلسلہ اس صحیحہ ٥٥٤
————-
✦ अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह ﷺ ने फरमाया एक अल्लाह के एक बंदे के बारे में हुक्म दिया गया के उसको क़ब्र में में सौ (100) कोडे मारे जाएँ. वो(इस अज़ाब को कम करने
की) इलतेजा और दुआएँ करता रहा यहा तक की एक कोड़ा रह गया. जब ये कोड़ा उसको लगाया गया तो उसकी क़ब्र आग से भर गयी, जब उस सज़ा का असर ख़तम हो गया और उसको होश आ गया तो उसने फरिश्तो से पूछा तुम ने किस
वजह से मुझे कोड़ा मारा है? फरिश्तों ने कहा तुम ने एक नमाज़ बिना पाकी ( यानि नापाकी की हालत में ) के पढ़ी थी, और दूसरा ये की तू एक मज़लूम के पास से गुज़रा था लेकिन तूने उसकी मदद नही की थी
अल-सिलसिला-अस-साहिहा हदीस # 554

AAP(صلى الله عليه وسلم ) ka “Khana peena

allah-wallpaper4-300x300

Assalam u Alaikum
Hazrat AAYESHA (r.a) -Apne Bhanje URWA bin ZUBER se Farmati Hain – ki – 2 Mahine -3 Mahine ka CHAND Nazar Aa Jata tha – Aur- HUZOOR PAK sallal Laho Alaihe wasallam ke GHAR me se- kisi GHAR me bhi- AAG Jalne ki Naubat Nahi Aati thi
To – Bhanje ne poocha – Khala Jan – phir Aap Logo ka GUZARA kis cheez per tha
Farmaya – ki, PANI aur KHAJOOR per – Aur – AAP (s.a.w) ke kuch PADOSI the – Unme se koi – Apne Janwaro ka DOODH bataur HADIYA (tohfa) Pesh kar deta – to- usi se Humko bhi PILAYA jata tha
(Bukhari – page no- 956- jild 2)
Dosto – AAG na Jalne ka Matlab ye Hai – ki- koi cheez GHAR me is Layak nahi thi – ki AAG jalane ki Naubat Aaye
Ek baar – Hazrat MASROOF Hazrat AAYSHA (r.a) ke GHAR gaye – Hazrat AAYSHA (r.a) ne – unke Liye Khana Mangaya – aur Farmane Lagi – ki -Mai kabhi PET bhar khana Nahi khati Hoon – Magar- mera RONE ka Dil chahta hai – Rone Lagti Hoon
Unhone – RONE ki wajha Daryaft ki – to Hazrat AAYSHA (r.a) ne Farmaya – ki- mujhe HUZOOR PAK (s.a.w) ki Yaad Aati Hai – Jis Haalat per – AAP (s.a.w) Hamse JUDA Huwe – kabhi Ek din me – 2 martaba PET bharne ki Naubat Nahi Aayi (Tirmizi)
Hazrat ABU BAKAR siddiq (r.a) ne Ek martaba – Ek Bakri ki Taang Hadiya me – HUZOOR (s.a.w) ko pesh ki – RAAT ka waqt tha – Hazrat AAYSHA ( r.a) Andhere hi me – uske Tukde karne Lagi
Kisi ne kaha – Ghar me Chirag nahi Hai – to WO farmane Lagi – ki- ager CHIRAG me Jalane ke Liye TEL hota – to- Usko KHANE hi me istemal kar Lete
Azeezo Dosto – ye thi Hamare AAQA (s.a.w) ke GUZARE ki Haalat
*AAP (s.a.w) chahte – to- $ONE (gold) ke PAHAD – AAP ke Liye Chalte kar diye Jate
KHAZANO ki Kunjiya – AAP (s.a.w) per- PESH ki gayi – magar- sabko Thukra diya
Futuhaat se- bahut kuch – MAALE GANIMAT aata tha – magar AAP (s.a.w) sab kuch Musalmano me Baant dete the – Apne paas kuch Nahi Rakhte the
AAP (s.a.w) ka irshad tha- ki- *ALLAH* ne Farmaya- ki- mere Liye MAKKAH ki Zameen $ONE ki Bana de – Maine Arz kiya- YA ALLAH ye nahi chahiye – Balki Mai chahta Hoon – Ek din PET bhar kar Khaa’oon – Taaki- Tera Shukr Ada karoon – Aur- Ek din BHOOKA Rahoon – Taki- Tere Saamne AAJIZI karoon
( khasa’il NABWI – page no 332 )
($ALLAL LAHO ALAIHE WALEHI WASALLAM)