Sajda e Tilawat ki dua

allah-great-300x300

Bismilahirrahmanirrahim

✦ Sajda e Tilawat ki dua
——————-
✦ Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam raat mein Quran ke sajdo mein bahut baar ye dua padhte they

سَجَدَ وَجْهِي لِلَّذِي خَلَقَهُ وَشَقَّ سَمْعَهُ وَبَصَرَهُ بِحَوْلِهِ وَقُوَّتِهِ

✦ Sajada Wajhiya Lillazi Khalaqahu Wa Shaqqa Sam’ahu Wa Basarahu BiHawlihi wa Quwwatihi.

✦ Mere chehre ne us zaat ko sajda kiya jisne isko paida kiya aur iske kaan aur Aankh banaye Uski Quwwat aur taqat se
Sunan Abu Dawud, Jild 1,1401-sahih
————————-
ام المؤمنین عائشہ رضی اللہ عنہا کہتی ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم رات میں قرآن کے سجدوں میں کئی بار یہ دعا پڑھتے تھے
سَجَدَ وَجْهِي لِلَّذِي خَلَقَهُ وَشَقَّ سَمْعَهُ وَبَصَرَهُ بِحَوْلِهِ وَقُوَّتِهِ

میرے چہرے نے اس ذات کو سجدہ کیا جس نے اسے پیدا کیا اور اس کے کان اور آنکھ بنائے اس کی قوت اور طاقت سے
سنن ابو داوود جلد ١ / ١٤٠١ –صحیح
————————-
✦ आईशा रदी अल्लाहू अन्हा से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम रात में क़ुरान के सजदों में बहुत बार ये दुआ पढ़ते थे
سَجَدَ وَجْهِي لِلَّذِي خَلَقَهُ وَشَقَّ سَمْعَهُ وَبَصَرَهُ بِحَوْلِهِ وَقُوَّتِهِ

सजदा वाजहिया लिल्लज़ी खलक़ाहु वा शक़्क़ा सम’आहू वा बशराहू
बिहौलिही वा क़ुव्वतीही.
मेरे चेहरे ने उस ज़ात को सजदा किया जिसने इसको पैदा किया और इसके कान और आँख बनाए , उसकी क़ुव्वत और ताक़त से
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 1,1401-सही

Husn-e-Akhlaq – Importance of Good Character

wallpaper-allah-20-768x576

 

☆ Husn-e-Akhlaq – Importance of Good Character.

# NEKI ACHCHE AKHLAQ KA NAAM HAI –
» Mahfum-e-Hadees: Nawas Bin Samaan Ansari (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se
Neki Aur Gunaah Ke Baare Me Poocha Tou Aap Ne Farmaya –
“Neki Ache Akhlaaq Ka Naam Hai Aur Gunah Jo Tere Seeney Me Khatke
Aur Tujhe Pasand Na Ho Ke Log Usey Jaaney.”
– (Sahi Muslim #2553)
* * * * *

# KAAMIL IMAN KI ALAMAT –
» Mahfum-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Momino Me Iman Ke Aitbar Se Sabse Kamil Shakhs Wo Hai
Jiske Akhlaaq Sabse Acche Hai.”
– (Abu Dawood #4682)
* * * * *

# ROZEDAAR AUR TAHAJJUD GUZAR JAISA MAQAAM –
» Mahfum-e-Hadees: Maayi Ayesha(Razi’Allahu Anha) Farmati Hai Ke,
Maine Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ko Ye Farmate Huwe Suna –
“Momin Apne Achche Akhlaaq Se Rozedar
Aur Tahajjud Guzar Ka Darja Hasil Kar Leta Hai.
– (Abu Dawood #4798)
* * * * *

# MEEZAN (TARAZU) MEIN WAZNI CHEEZ –
» Mahfum-e-Hadees: Abu Darda (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Meezan Me Achche Akhlaaq Se Zyada Bhari Cheez Koi Nahi.”
– (Abu Dawood #4799)
* * * * *

# JANNAT KI ZAMANAT –
» Mahfum-e-Hadees: Abu Umama (Razi’Allahu Anhu) Farmate Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
*Main Jannat Ke Atraf Me Ek Ghar Ka Zaamin Hoon –
Uss Shakhs Ke Liye Jo Haq Pe Hone Ke Bawjood Jhagda Chod Dey !!
*Aur Jannat Ke Darmiyan Me Ek Ghar Ka Zaamin Hoon –
Uss Shakhs Ke Liye Jo Mazaaq Me Bhi Jhoot Bolna Chod Dey !!
*Aur Aala Jannat Me Ek Makan Ka Zaamin Hoon –
Uss Shakhs Ke Liye Jisne Apna Akhlaq Acha Kiya.
– (Abu Dawood #4800)

# JANNAT ME DAKHIL KA SABAB –
» Mahfum-e-Hadees: Abu Huraira (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Pucha Gaya Ke –
“Kis Amal Ki Wajah Se Log Zyada Jannat Me Dakhil Honge ?”
*Aap Ne Farmaya – “Allah Ka Khauf(Taqwa) Aur Husn-e-Akhlaq Se,..”
*Phir Pocha Gaya – “Zyada Tar Log Jahannam Me Kin Aamal Ki Wajah Se Jayenge ?”
*Aap Ne Farmaya – “Monh (Yani Zubaan) Aur Sharmgah Ki Wajah Se.”
– (Tirmizi #2004)
* * * * *

# RASOOL’ALLAH SE NAZDEEKI KA SABAB –
» Mahfum-e-Hadees: Jabir (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya –
“Qayamat Ke Din Mere Nazdeek Tum Me Se
Sab Se Zyada Mehboob Aur Khareeb Baitne Waley Log
Wo Hongey Jo Behtreen Akhlaaq Waley Hain.”
– (Tirmizi #2018)
* * * * *

 In Sha Allah-Ul-Azeez !!!
# Allah Rabbul Izzat Hume Kahne Sun’ne Se Jyada Amal Ki Taufiq Dey!
# Humey Ba-adab Aur Ba-Akhlaaq Banaye!!
# Aur Sunnat-e-Rasool Ke Mutabik Hum’me
– aur Humari Naslo Me Husn-e-Akhlaaq Paida Karne Ki Taufiq Dey!!
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho …
!!! Wa Akhiru Dawana Anilhamdulillahe Rabbil A’lameen !!!