Day: December 12, 2019
Surah Al Fatihah Kay Fazail aur Asrar o Ramoz
Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki
Bismillahirrahmanirrahim
*✦ Hadith : Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo kyuki.*
—–
✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu se Magfirat aur Aafyiat manga karo, kyuki yaqeen ke baad aafiyat se behtar koi cheez kisi ko nahi di gayee
Jamia Tirmidhi,Jild 2,1482-Sahih
✦ Ibn Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne subah aur sham ko ye dua maangna kabhi nahi chorha yani rozana subah aur sham mein isko padha karte they
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ
Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah
Ya Allah main tujhse duniya aur aakhirat mein magfirat aur aafiyat maangta hun.
Sunan Ibn Maja,Jild 3,752-Sahih
————–✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह सुबहानहु से मगफिरत और आफ़ियत माँगा करो, क्यूंकि यक़ीन के बाद आफ़ियत से बेहतर कोई चीज़ किसी को नहीं दी गयी
जामिया तिरिमिज़ी , जिल्द 2, 1482-सही✦ इब्न उमर रदी अल्लाहु अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम सुबह और शाम को ये दुआ माँगना कभी नहीं छोड़ा यानि रोज़ाना सुबह और शाम में इसको पढ़ा करते थे
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ
Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah
अल्लाहुम्मा इन्नी असअलुकल-अफ़वा वा अल-आफ़िया फीद दुनिया वा अल आखिरा
या अल्लाह मैं तुझसे दुनिया और आखिरत में मगफिरत और आफ़ियत मांगता हूँ
सुनन इब्न माजा , जिल्द 2 , 1482-सही
————–رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نےفرمایا: اللہ سے ( گناہوں سے ) عفو و درگزر اور مصیبتوں اور گمراہیوں سے عافیت طلب کرو کیونکہ ایمان و یقین کے بعد کسی بندے کو عافیت سے بہتر کوئی چیز نہیں دی گئی
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم صبح و شام ان دعاؤں کو نہیں چھوڑتے تھے:
(اللهم إني أسألك العفو والعافية في الدنيا والآخرة)
اے اللہ! میں تجھ سے دنیا اور آخرت میں عفو اور عافیت کا طالب ہوں
———————–
✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said – Ask Allah for pardon and Al-Aafiyah (well being), for verily, none has been given anything better than Al-Afiyah after yaqeen.
Jamia Tirmizi,Book 46,3558-Sahih✦ The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam never abandoned these supplications, every morning and evening
اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ الْعَفْوَ وَالْعَافِيَةَ فِي الدُّنْيَا وَالآخِرَةِ
Allahumma inni Asalukal-Afwa Wa Al-Aafiyah fid-dunya wa Al-Aakhirah
O Allah, I ask You for forgiveness and Al-Aafiyah (well-being) in this world and in the Hereafter.
Sunan Ibn maja,Book 34,3871-Sahih(Part)
Taqdeer ke baare mein Islami aqeedah
♥ Mafhoom-e-Hadees: Taqdeer Par Emaan Rakhna Farz Hae, Iss Ke Bare Me Ziyada Bahes Aur Ghour-O-Fikr Karne Se Sahaba-e-Kiram Ko Bhi Manaa Farma Diya Gaya Tha, Iss Ke Bare Me Ziyada Bahes Karna Halakat Ka Sabab Hai.
– (Tirmizi Hadith no.2133 Baab:Maa Ja’a Fi Ttashdeed Fil-Khoudi Fil Qadr)» Duniya Me Jo Kuchh Bhalayi Ya Burayi Hone Wali Thi, Un Tamam Ko Allah Ta’ala Azal Se Hi Janta Hae. Aur Us Ne Apne Ilm Ke Muwafiq Un Tamam Baton Ko Likh Diya Hai. Jo Shakhs Jaisa Karne Wala Tha, Allah Ta’ala Ne Uski Taqdeer Me Wahi Likha, Ye Nahi Ke…. Allah Ta’ala Ne Jaisa Likh Diya Ab Bande Ko Majbooran Waisa Hi Karna Padega.
» Buraa Kaam Karke Taaqdeer Ki Taraf Mansoob Kar Dena, Yaa Ye Kehna Ke Allah Ne Aisa Hi Chaha Tou Mai Ne Aisa Kardiya, Ye Bahut Hi Buri Baat Hai. Balke Hukm Ye Hai Ke Nek Kaamon Ko Taqdeer Ki Taraf Mansoob Kare, Aur Burey Kaam Ko Apne Nafs Ki Shararat Samjhe.
» Taqdeer (Qaza) Ki Teen Qismen Bayan Ki Gai Hai.
∗ 1). Qaza-e-Mubram – Ye Atal Faisla Hota Hai, Kisi Bhi Tarah Nahi Badalta. Jab Khas Bande Uske Bare Me Kuchh Sifarish Karna Chahte Hai To Pahle Hi Bata Diya Jata Hai Ke Ye Atal Faisla Hai, Iss Muamle Ko Chhor Do. Jaise Ke Allah Tala Ibrahim (Alaihay Salam) Se Farmata Hai,
♥ Al-Quraan: “Aye Ibraheem! Iss Muamle Me Mat Pado, Beshak Tumhare Rab Ka Hukm Aa Chuka, Aur Un(Mushriko) Par Aisa Azaab Aane Wala Hai Jo Phera Nahi Jaega…” – (Surah Hood, Ayat No.76)∗ 2). Qaza-e-Mu’allaq – Yaani Ye Atal Faisla Nahi Hota, Balke Bande Ki Nekion Aur Koshishon Se Woh Faisla Badal Sakta Hai. Jaisa Ke Ek Hadees Sharif Me Hai.
♥ Mafhoom-e-Hadees: “Yaani. Har Surat Me Bhalai Hai, Uski Koshish Karo Jo Tumko Faida De. Aor Allah Se Madad Mango, Aajiz Mat Bane Raho…”
– (Muslim Sharif : Hadith no.2664)∗ 3). Qaza-e-Shibhe Mubram – Yaani! Firishton Ke Kitab Me Tou Usko ‘Mubram’ Likh Diya Jata Hai. Magar! Allah Ta’ala Ke Ilm Me Usko Mua’aalq Ke Darje Me Rakha Jata Hai. Usko Bahut Hee Khas Aur Muqarrab Bandon Ki Sifarish Aur Khas Duaon Ke Zarie Tabdeel Kiya Ja Sakta Hai.
Dunya mein jo kuchh hota hai aur bande jo
kuchh bhala’ee ya bura’ee karte hain Allah
taala ne use apne ilm ke mutabiq pehle se
likh diya hai usi ko taqdeer kehte hain. Ye
haq hai aur is par imaan laana zaruri
hai.aur is ka inkaar karne wala gumraah
bad’mazhab hai.
Lekin koi ye khayal na kare ki Allah taala
ne hamari taqdeer mein jaisa likh diya hai
hame majbooran waisa hi karna padhta
hai.Sahi baat ye hai ki ham jaisa karne
wale the, Allah taala ne apne ilm se waisa
hi likh diya.agar kisi ki taqdeer mein
bura’ee likhi to is liye ki woh apne ekhtiyar
se bura’ee karne wala tha agar woh
bhala’ee karne wala hota to Allah taala uski
taqdeer me bhala’ee likhta.khulasa ye hai ki
Allah taala ke likh dene se banda kisi kaam
ke karne par majboor nahi kiya gaya.
Taqdeer ka pehle se likha jaana haq hai aur
is par imaan laana zaruri hai.Huzur ﷺ ne
irshad farmaya ki:ﻻَ ﻳُﺆْﻣِﻦُ ﻋَﺒْﺪٌ ﺣَﺘَّﻰ ﻳُﺆْﻣِﻦَ ﺑِﺄَﺭْﺑَﻊٍ :
ﺑِﺎﻟﻠَّﻪِ ﻭَﺣْﺪَﻩُ ﻻَ ﺷَﺮِﻳﻚَ ﻟَﻪُ ، ﻭَﺃَﻧِّﻲ
ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺍﻟﻠﻪِ ، ﻭَﺍﻟْﺒَﻌْﺚِ ﺑَﻌْﺪَ ﺍﻟْﻤَﻮْﺕِ ،
ﻭَﺍﻟْﻘَﺪَﺭTARJAMA: Koi banda momin nahi ho sakta
jab tak ki woh chaar(4)baaton par imaan
na le aaye.
(1)Allah par jis ka koi shareek
nahi hai.
(2)Aur ye ki beshak main Allah ka
Rasool hu.
(3)Marne ke baad dobarah zinda
kiye jaane par.
(4)Aur taqdeer par.[Ibn-e-
Majah , Hadith No. 81]FAAIDA: Taqdeer ke mas’ale mein bahas
karna aur us ke bare mein zyada gaur-o-
fikr karna mana hai kyunki is ki wajah se
gumrah hone ka andesha hai.Isi liye jab
huzur ne ek baar sahaba ko is mas’ale
mein bahas karte hue dekha to Aap ﷺ bahut
naa’raaz hue , Hazrate Amar bin shu’aib
radhi allaho anho bayan karte hain ki Aap ﷺ
ka chehra-e-aqdas gusse se itna surkh
hogaya ki maloom padhta tha ki aap ke
chehre me anaar ka daana nichod diya
gaya hai.
[Ibn-e-Majah ,Hadith No:85]Ek dusri hadis me hai ki: Huzur ﷺ ne irshad
farmaya ki jis ne taqdeer ke bare me bahas
kiya us se us ke bare mein Qayamat ke din
sawal kiya jaayega aur jis ne bahas nahi
kiya us se us ke baare mein puchha
jaayega.
[Ibn-e-majah,hadith No:84]Is liye hame bas itna yaqeen rakhna
chahiye ki ye haq hai aur us ke bare me
bahas karne se bachna chahiye .Aur ye
soch kar na baith jaana chahiye ki jo likha
hai woh to ho kar rahega phir ham kyun
mehnat wa mushaqqat kare.Balki taqdeer
par yaqeen rakhne ke saath amal bhi kare .
Kyunki hame isi ka hukm diya gaya hai.