
Hazrat Abdul Rahman bin Auf (RA) farmate hain:
Jis ke ghar bhi bachcha paida hota, log use Nabi Pak ﷺ ki bargah mein laate. Nabi Pak ﷺ us ke liye dua farmate. Isi tarah Marwan bin Hakam ko bhi Nabi Pak ﷺ ki bargah mein pesh kiya gaya. Aap ﷺ ne us ke baare mein farmaya:
“Yeh wazagh bin wazagh hai — buzdil baap ka buzdil beta hai. Mal‘oon ibn mal‘oon — la‘nati baap ka la‘nati beta hai.”
Yeh hadees sahih-ul-isnaad hai, lekin Imam Bukhari aur Imam Muslim ne ise naql nahi kiya..

