



Rasool-e-Akram ﷺ ki 3 hadeesen jo seedha Muawiya par saadiq aati hain, jin ki roshni mein Muawiya baaghi, zaalim aur Allah Ta‘ala aur malaaika ke maghzoob thehrate hain
1️⃣ Bukhari Sharif ki hadees: “Taqtuluhul fi’atul baaghiyah”
(Ammar bin Yasir ko baaghi jamaat qatl karegi, aur Muawiya ki jamaat ne unhein qatl kiya)
«Sahih Bukhari, Hadees No. 2812, Jild 4, Safha 21»
2️⃣ Mustadrak Hakim ki hadees:
“Rasoolullah ﷺ ne Ali bin Abi Talib ko hukm diya ke woh bai‘at todne walon, zulm aur zyadti ka raasta ikhtiyar karne walon, aur deen se nikal jaane walon se jang karein.”
Aur ulama ka ittefaq hai ke Qasiteen (zaalim log) se murad jang-e-Siffin mein Maula Ali ke khilaaf aane wale log, ya‘ni Muawiya hain.
«Mustadrak Hakim, Hadees No. 4674, Kitab Ma‘rifat-us-Sahaba, Jild 3, Safha 150»
3️⃣ Dala’il-un-Nubuwwah ki hadees:
“Anqareeb maqam Azra mein kuch log qatl kiye jaayenge, jin ki wajah se Allah Ta‘ala aur aasman walay ghazabnaak honge.”
Aur maqam Azra mein Muawiya ne Hazrat Hujr bin Adi رضي الله عنه aur unke saathiyon ko qatl karwaya.
«Dala’il-un-Nubuwwah — Imam Bayhaqi, Kitab Jama‘ Abwab Akhbar-un-Nabi bil-Kawa’in, Jild 6, Safha 457»




🍀 *Rasool e Khuda (ع) Ne Hazrat ALI (ع) Se Irshad Farmaya:*
🌹*“ALI (ع) Agar Koi Shakhs Khuda Ki Itne Arsay Tak Ibadat Kare Jitna Ke Nooh (a.s) Apni Qaum Me Qiyam Pazeer Rahe Thay- (Yani Sadhe Nau Sau Saal Tak Ibadat Kare) Aur Uske Paas Ohad Pahaad Jitna Sona Ho Aur Wo Sab Sona Allah Ki Rah Me Kharch Karde Aur Usay Taweel Umar Mil Jaye Aur Wo Hazaar Baar Pa Paedah Hajj Kare Phir Safa Wa Marwah Ke Darmiyaan Mazloom Hokar Maara Jaye- Agar Wo Teri Wilayat Nahi Rakhta Toh Wo Jannat Ki Khushbu Bhi Nahi Sungh Sakega Aur Jannat Me Dakhil Na Hoga”.*
(Kitaab: Fazael e Ahlebait a.s Al Maroof Ghayat ul Maram Jild:1 Safa:105/106 H:3)