
Aaimma e AhleBit AS ki Iqtida’a (Pairvi)
Hazrat Abdullah ibne Abbas RA se Riwayat hai ke Rasul e Kareem SAWS ne Farmaya:- Jo Is Baat se Khush ho ke Uski Zindagi Meri Zindagi ki tarah ho Aur Uski Mout Meri Mout ki tarah ho aur Adan ke Baago main Sakunat Pazair (Qabil e Qubool) ho Jisko Khud Mere Rab ne boya hai to vo Mere Baad Ali AS ko Dost rakhe aur Uske Dost se Dosti rakhe,
Aur Mere baad Aaimma ki Iqtida’a kare, Vo Meri Itrat hai, Unko Meri Te’enat ( Khalqat ) se Khalq kiya gaya hai aur Unko Mera Ilam aur Mera Faham Ata’a hua hai,
Meri Ummat se Jo Shakhs Inki Fazeelat ko Jhutlayega aur Meri Unse Rishtedaari ko Qata’a karega (kaatega) Uske Liye Halaaqat hai, Allah Ta’ala Unko Meri Shafa’at Naseeb Nahin karega…..
📚
Page no:- 57
Topic – 18
Fraid ul Simtain fi Fazayil al Murtaza wal Batool wal Sibtain by Imam ibrahim bin muhammad al jwaini r.a ( Arabi )
Writer :- Shaikh e Khurasan, Mohaddis e Kabeer, Ibrahim bin Muhammad bin Al Maveed Abi Bakr Jovaini 822 Hijri
Noor us Saqalain ( Urdu Translation )
Translator:- Allama Safdar Raza Qadri