
Hazrat Abu Saeed Khudri R.A. Hadees ke Raawi hai farmate hai, “agar pehchan na hota ke koi shakhs momin hai ya munafiq to Hum (Sahaba) Maula Ali۴ ka Zikr Shuru kardete!
Kisi aur ka naam lete to uska munafiq hona pehchana na jata tha wo chupa leta tha. magar jab Maula Ali۴ ka Zikr karte, Shaan bayan karte, munafiq chup nahi sakta!! Ali۴ ka Naam le to uske chehre pe marod aata!
Aur Momino ko pehchan ne ke liye Unka Naam lete to uska chehra khil uthta!!
Kisine kaha napak zuban pe Ali۴ ka Naam aa nahi sakta.
napak zuban to chhoti cheez hai, ek Muqaam par Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya:
“jo Meri Ahle Bayt۴ se bugz rakhe wo halal ka nutfa hi nahi hai!!!”
(Bayheqi, Shobul Imaan, 2/232, Hadees no. 1614)