Wo shakhs jhuta hai jo Huzoor ki Muhabbat ka daawa to karta hai

Wo shakhs jhuta hai jo Huzoor ki Muhabbat ka daawa to karta hai magar dil uska Muhahhat-e-Ahle Bayt se khaali hai.

Aur ye meri baat nahi mai nahi keh raha hun, Aaimma Ahle Sunnat ke 1400saal 1500saal ki taarikh me hamare kul Aaimma ka tariqa Ahle Bayt-e-Pak ke Muhabbat ke Baab me yehi raha hai. Unka Maslak o Mashrab yehi raha hai! Imam-e-Aazama Abu Hanifa ka Maslak Yehi, Sayyeduna Imam Malik ka Maslak Yehi, Hazrat Imam Shafeyi ka Maslak Yehi aur Hazrat Imam Ahmed bin Hanbal ka Maslak Yehi! Mai Ahle Sunnat ke Charo Aaimma-e-Fiqh ki baat aapko bata raha hun, Unka Maslak o Mashrab bhi Yehi. Fir iska matlab ye hai ke us shakhs ko Hanafi kehlaane ka bhi haq nahi hai jo Muhabbat o Muwaddat e Ahle Bayt me kamzor hai nakis hai! Na wo Hanafi hai na wo Maliki na Shafeyi na Hanbali.

Imam-e-Aazam Sayyeduna Imam Abu Hanifa ka Aalam ye tha ke Aapke zamane me jitne Aaimma Ahle Bayt ke Hayaat they, aap chalkar har ek ke shagird bane! Ab khudko Hanafi kehlane waale dekhen ke Hanafiyat me kitni Mawaddat-e-Ahle Bayt hai. Imam-e-Aazam Abu Hanifa Sayyeduna Imam Muhammad al Baqir ke Shagird hue, isko Imam ibne Abi Hatim ne bayan kiya, Imam Mizzi ne bayan kiya Tahzeeb ul Kamal me, Imam Zahabi ne bayan kiya, Imam Asqalani ne Imam Siyuti ne, sabne bayan kiya ke Imam-e-Aazam Abu Hanifa Imam Muhammad al Baqir ke shagird hue. Aur Unka Qaul bayan karna chahta hun Hazrat Abdullah bin Mubarak riwayat karte hain ke jab Imam-e-Aazam RadiAllahu Ta’ala Anhu jab Madina Tayyeba gaye to Sayyeduna Imam Muhammad al Baqir ki Khidmat me Hazir hue. Unki Khidmat me Hazir hokar apni Aqeedat ka izhar kiya aur ek Jumla bola, wo jumla suna raha hun jisko Imam Muwaffad bin Ahmed al Makki ne Manaqib-e-Abu Hanifa me (page 168) riwayat kiya aur Imam Kurdari me apni Manaqib-e-Abu Hanifa me bayan kiya, Imam-e-Aazam ke Manaqib par sabse bada Azeem jo Khazana hai masdar hai kitab ka, dono ne kaha Sayyeduna Imam Muhammad al Baqir Alaihissalam ko Imam Abu Hanifa arz karrahe hain:
“Fa Inna Laka Indi Hurmatan, Ka Hurmatan Jaddika SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam Fee Hayatihi Ala Ashabihi!”
Imam-e-Aazam Abu Hanifa ne farmaya ke Khuda ki Qasam Ay Imam Muhammad al Baqir Aapki Hurmat Taazeem aur Takrim Mere upar is tarah Wajib hai jis tarah Sahaba-e-Kiram par Tajdar-e-Kainat SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ki Wajib hai! Jo Taazeem o Takrim Sahaba Aaqa Alaihissalam ki karte they, mai Us Tarah Wo Taazeem Aapki karta hun kyunke Aapki Hurmat me Hurmat-e-Mustafa nazar aati hai, Aapki Taazeem me Taazeem-e-Mustafa nazar aati hai, Aapse Muhabbat-o-Mawaddat me Mawaddat-e-Muhabbat e Mustafa nazar aati hai!

Ye Imam Muhammad al Baqir Alaihissalam ka sirf maine hawala diya, fir is tarah Imam-e-Aazam Sayyeduna Imam Muhammad al Baqir ke Shahzade Sayyeduna Imam Jafar as Sadiq Alaihissalam ke Shagird hue, kul Aaimma ne bayan kiya hawalajaad ki zarurat nahi mere kitabo aur khitabo me ye chizen (detail) me maujud hain, Waqiya quote karta hun. Imam-e-Aazam Abu Hanifa ki Abhi Mulqat nahi hui thi, Ye Imam Ibnul Makki Manaqib-e-Abu Hanifa me riwayat karrahe hain. To Sayyeduna Imam Jafar as Sadiq Alaihissalam Kufa Tashreef laaye. Abhi aapas me mulaqat nahi thi, Sayyeduna Imam Abu Hanifa ko pata chala to Aap apne bahot se akabir talamiza ko lekar ke Sayyeduna Imam Jafar Sadiq aaye hain, Unki Khidmat me Ziyarat karne chale aur kuch istefada kare, to sabko lekar Unki Bargah me hazi hue aur Majlis me jakar is tarah ke jab kisika kamaal darje ka Adab-o-Ehtaram taari hota hai, us haibat adab o ehteram ki kaifiyat ke saath ghutno ke bal baith gaye. Sayyeduna Imam Jafar Sadiq ke samne Salam arz kiya, ijazat mangi, andar dakhil hue aur is tarah ghutno ke bal baithe to Aapke shagirdo ne dekha to saare apna tarika palatkar Imam-e-Aazam ki tarah usi tarah ghutno ke bal baith gaye! Jab Imam Jafar Sadiq Alaihissalam ne dekha ke ye saare logo ne apne baithne ka tarika nashisht badal liya hai aur is shakhs ki tarah baith gaye hain to Aapne pucha unse ke ye kaun hain ke jinki tum sab itni Tazeem aur Taukeer karrahe ho ke jis tarah Isey baithte hue dekha hai Mere saamne, tum saaro ne apni heyat aur tarika badal liya is tarah baith rahe ho ye kaun hain? To unhone kaha Qaalu Haza Abu Hanifa! Ye hamare ustad Abu Hanifa hain!

Ye pehli mulakat thi to Imam-e-Aazam ne Hazrat Imam Jafar Sadiq Alaihissalam ke samne jis tarah ek aadmi Sarapa Adab bankar ghutno ke bal baithta hai, apne tamam talamiza ke saath is tarah baithe aur fir Aapke saath Kalaam karke Istefada kiya!! Ye pehla Kalam.

Fir Imam-e-Aazam Abu Hanifa ke Shagird Imam Hasan bin Ziyad al Lu’aluyi riwayat karte hain ke Unse pucha gaya Ay Imam Abu Hanifa is puri ru-e-zameen par jitne Akabir Aaimma Ulama ko Aapne aaj tak dekha, sabse zyada Faqih (Fiqh samjhne wala) Kisko paaya? Sabse bada Faqih kisko paaya?
Imam-e-Aazam ne kaha: Khuda ki Qasam maine ru-e-zameen par Imam Jafar bin Muhammad As Sadiq se badhkar koi Faqih nahi dekha!!
Ye Imam-e-Aazaam Abu Hanifa ka Qaul jinko saare Imam, Fiqh (aur Hadees) ka sabse bada Imam mante hain, wo khud kehrahe hain ke Ru-e-Zameen par Imam Jafar Sadiq Alaihissalam se bada koi Faqih nahi dekha!! Ye Imam-e-Aazam Abu Hanifa ka Tarik!”

SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam
Alaihim Afdalus Salawatu was Salaam
Ridwanullahi Ta’ala Alaihim Ajmaeen

-Shaykh-ul-Islam Dr Muhammad Tahir-ul-Qadri

Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.

Shahdat e Hazrat Abbas Ibn Ali AlahisSalam

Maidan e Karbala me Imam Hussain Alaihisalam ke dost, Aziz, bhanje aur bhatije sab shaheed ho gye the aur khaime me saare log pyaase the itne me Bibi Sakina ne maula Abbas se Paani lane ka kaha, Maula Abbas Bibi Sakina se bohot pyaar krte the unki ek bhi baat ko kabhi taala nhi unhone isliye Maula Abbas ne Imam Hussain Alaihisalam se izajat mangi taake woh dariya e Furat se paani laa sake.

Imam Hussain Alaihisalam ne Maula Abbas ko kuch baatein Taslim farmayi aur rukhsat kar Diya,Aap Masq lekar Furat ke janib rawana hue.Furat par 4000 faujiyo ka lashkar tha, aur jab Maula Abbas Furat pr pohche Toh unlogo ne unhe gher liya.

Maula Abbas ne unsab se mukhatib hokar farmaya, Tum log musalman ho ya Kafir?,unsab ne kaha, hum musalman hai, Phir aapne farmaya ki musalmano me kabse aisa hone Laga? Ki janwar, parinde sab paani piye aur farzand e mustafa (Sallallahu ta’ala wa’ala aale hi Wasallam) pyaase tadpe?
Tumlog Qayamat ke keher se nhi darte? Zalimo!! Jigar gosha e Mustafa Imam Hussain Alaihisalam pyaase hai unke bache pyaase hai.
Yeh sab sunkar un badhbakhto par kuch Asar na hua, unlogo ne hamla kar diya, maula Abbas ne kayio ko jahannum bhej diya aur kayi log dar kar bhaag Gye, phir Maula Abbas Furat ke paani me utre, Masq bhar liya àur chullu me Paani bhar kar peena chaha pr unhe Apne Imam aur pyaase bacho ki pyaas yaad gayi Phir unhone chullu ka paani feka aur masq ko kandhe par rakh kr khaime ki taraf rawana ho Gye.

Un Zalimo ke sipah salar ne yeh dekhte hue apne sipahiyo se kaha ki Khabardaar!!! Abbas paani na le jaa sake,utne me un Zalimo ne hamla kar diya,Maula Abbas Har ek se Ladte hue aur Masq bachate hue jaa rhe the utne me Nofal naam ke zalim ne Masq par teer chalaya aur ched kr Diya aur Phir talwaar se Maula Abbas ke hatho pr hamla kiya,Maula Abbas ke Hath unke badan se juda ho Gye.Maula Abbas ne girte hue Awaaz di Imam Hussain Alaihisalam ko,Imam Hussain bhagte hue Maula Abbas ke paas pohche aur unhe apni god me liya aur Aah bharte hue farmaya Haye meri Qamar toot gayi, Maula Abbas ne Apne Aaqa o Maula imam Hussain Alaihisalam ke hath me Shaheed ho Gye aur apne Baba aur apne Nana ki taraf chale gaye.
Imam Hussain Alaihisalam ne maula Abbas ke lashe ki taraf dekhte hue kuch yuh farmaya farmaya:

Baad Abbas ke ab kon hai ghamkhaar apna
Na to moshin hai koi àur madadgar apna
Suye Jannat gaye sab chod kar tanha mujhko
Lut gaya aan se is dast me Gulzar apna
Tishna lab raah e khuda me hai mera sar hazir
Kaam ab pura kare jald Sitamgaar apna.

_

Haye Abbas 💔😭
.
Ashq Aakhon me bhare ab nhi kuch hota bayan,
Haye “Aadil” ne bhi sab chod kr ab Girya kiya.


اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى سَيِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ سَيِّدِنَا مُحَمَّد

Quote of Imam Ali AlahisSalam

Imam Ali (as)
Khuda ne har shakhs ki Rozi muqarrar ki hai, kisi ki kam kisi ki zyada. Ye Adl ke ayn mutabiq hai. Is tarah Usne hamara imtehaan liya hai. Kabhi Rizq aasaani se de kar Shukr ka imtehaan liya hai aur kabhi Rizq kam ya dushwaari se de kar Sabr ka imtehaan kiya hai.
Meezan ul Hikmah (Intekhaab o Takhlees), v3, p14

Firishto’n Kee Nusrat

عن ابی رافع ان رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم بعث علیا مبعثا فلما قدم قال له رسول الله صلى الله تعالى عليه وآله وسلم اﷲ و رسوله و جبریل عنک رضوان

“Hazrat Aboo Rafi’ RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Se Riwaayat Hai Be Shak Nabiyye Karim SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Ne Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Ko Aik Jagah Bheja Jab Woh Waapas Tashreef Laaye To Huzoor SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Un Ko Farmaya Allah Ta’ala Aur Us Ke Rasool SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Aur Jibra’ile Ameen Aap Se Raazi Hain.”

[Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 01/319.]

خطب الحسن بن علی حین قتل علی فقال یا اهل الکوفه او یا اهل العراق لقد کان بین اظهرکم رجل قتل اللیلة او اصیب الیوم ولم یسبقه الاولون بعلم ولو یدرکه الاخرون کان النبی صلى الله تعالى عليه وآله وسلم اذا بعثه فی سریة کان جبریل عن یمینه و میکائیل عن یساره فلا یرجع حتی یفتح اﷲ علیه

“Hazrat Hasan Bin Ali Ne Hazrat Ali Kee Shahdat Ke Mauqa Par Khitaab Farmaya Aye Ahle Koofah Ya Ahle Iraq Teqeeq Tum Me Aik Shakhsiyat Thi Jo Aaj Raat Qatl Kar Diye Gaye Ya Aaj Wafaat Paa Jaaenge . Na Koi Pehle Ilm Me Un Se Sabqat Le Saka Aur Na Baa’d Me Aane Waale Un Ko Paa Sakenge. Huzoor SallAllahu Ta’ala Alayka Wa Sallam Jab Aap Ko Kisi Sarriyah Me Bhejte To Hazrat Jibra’il ‘Alayh-is-Salam Un Ke Daa’in Aur Hazrat Miqa’il ‘Alayh-is-Salam Un Ke Baa’in Taraf Hote, Pas Aap Hamesha Fateh Mand Ho Kar Waapas Laut’te.”

[Ibn Abi Shaybah Fi Al-Musannaf, 12/60,

Dhib’he ‘Azeem(Dhib’he Isma’il ‘Alayh-is-Salam Se Dhib’he Husayn RadiyAllahu Ta’ala ‘Anhu Tak)/60_61.]
〰〰
Join Karen