Hadith:Aakhiri Nabi

“Hazrat ‘Irbad Bin Sariyah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Bayaan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Mein Allah Ta’ala Kee Bargah Me Us Waqt Se Aakhiri Nabi Likha Ja Chuka Tha Jab Ki Hazrat Aadam عَلَيْهِ السَّلَام Abhi Apni Mitti Me Gundhe Hu’e They Aur Mein Tumhe’n Us Kee Taaweel Bataata Hoo’n : Mein Hazrat Ibrahim عَلَيْهِ السَّلَام Kee Du’aa (Ka Nateeja) Hoo’n Aur Hazrat ‘Isa عَلَيْهِ السَّلَام Kee Bashaarat Hoo’n, Aur Is Ke Ilaawa Apni Waalida Ka Woh Khaab Hoo’n Jo Unhone Meri Wilaadat Se Pehle Dekha Tha Aur Ambiya-e Kiram Kee Maa‘ei‘n Isi Tarah Ke Khaab Dekhti Hain.”

Ise Imam Ahmad Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ahmad Bin Hanbal Fi Al-Musnad, 04/127-128, Raqm-16700, 16712,

Ibn Hibban Fi As-Sahih, 14/313, Raqm-4604,

Ibn Abi ‘Asim Fi As-Sunnah, 01/179, Raqm-409,

Bukhari Fi At-Tarikh Al-Kabir, 06/68, Raqm-1736,

Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/252, 253, Raqm-629, 630,

Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/656, Raqm-4175,

Bayhaqi Fi Shu’ab-ul-Iman, 02/134, Raqm-1285,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/66_67, Raqm-28.]
〰〰

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s