“HAZRAT AASIM BIN ZMARA RADIYALLAHU TA’ALA ANHU SE MARWI HAI KI JAB HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM KO SHAHEED KAR DIYA GAYA TO HAZRAT IAME HASAN RADIYALLAHU TA’ALA ANHU NE EK KHUTBE ME IRSHAD FARMAYA : AYE AHL-E-KOOFA
(YA FARMAYA) AYE AHL-E-IRAQ AAJ TUMHARE DARMIYAN WO SHAKHS SHAHEED KAR DIYA GAYA JISSE ELM ME (UMMAT KE) AWWALIN BHI SABQAT NAHIN KAR SAKE AUR AAKHIREEN ME SE BHI KOI UN KE MUQAAM (MARTABE) KO NA PAHUNCH SAKEGA. HUZOOR NABI-E-AKRAM SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WA AALEHI WA SALLAM JAB HAZRAT ALI KARRAMALLAHU TA’ALA WAJ’HAHUL KAREEM KO KISI JIHAAD KEE MUHIM PAR RAWAANA FARMATE TO UN KI DAAYI TARAF HAZRAT JIBRA’IL AUR BAAYI TARAF HAZRAT MIKA’IL ALAIHIMUSSALAM RAHA KARTE THEY AUR WO KABHI BHE FATEH HAASIL KIYE BAGHAIR NAHIN LAUT’TE THEY.”REFRENCE
IBN ABI SHAYBAH AL-MUSANNAF, JILD 6 PAGE NO 369, HADEES-32094,HINDI KANZ-UL-UMMAL, JILD 6 PAGE NO 412..
♥♥♥♥♥
Hazrat Salman Farsi (Radi’Allahu Ta’ala Anhu)
Say Marwi Hai k Huzoor “NABI-E-KAREEM”
(SALL’ALLHU ALAHI WA SALLAM) Ne Farmaya:
Adam (Alahis Salam) ki Takhleeq say 14,000
Saal Qabl (Pehle) ALLAH paak k Yhaan MAIN
aur “ALI” Ibne Abi Talib (Radi’Allahu ta-ala
Anhu) Ek Noor The.
Jab ALLAH Paak Ne Adam (Alahis Salam) ko
Takhleeq Farmaya to us Noor ko 2 Hisson Main
Taqseem Farma Diya.
Ek hissa Me Hun Aur (us Noor ka) Dusra Hissa
Ali Hain.
Reffrence:
Fadail e Sahabah-Imam Ahmad Bin Hambal,
662/2, #1130
Tareekh Damishq-Imam Ibn e Asaakir, 67/42
Manaqib e Ali-Imam Maghaazli, 142/1, #130
Riyad An Nadra-Imam Muhbb ud Din Tabari,
120/3♥♥♥♥♥
∗ Ali Se Mohabbat Emaan Ki Nishani Hai ….
» Hadees : Huzoor ﷺ (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya,
“(Hazrat) Ali Se Mohabbat Emaan Ki Nishani Hai, Aur (Hazrat) Ali Se Bugz Munafiqat Ki Nishani Hai”.
Reference :
1. Sahih Muslim, Vol/1, Page/48….
2. Sahih Tirmidhi, Vol/5, Page/643….
3. Sunan Ibn Majah, Vol/1, Page/142♥♥♥♥♥
Hazrat Salman Farsi (Radhi
Allaho Anhu) Bayan karte hain ke
Huzur”NABI-E-KAREEM”(Sall’Allahu
Alayhe Wasallam) ne irshad
farmaya :”Main Aur Ali Aiq Noor
the Aur Wo Noor Adam (a.s) ke
Paida karne se 14000 saal pehle Allah
Rabbul Izzat ki Baargaah Uski Taqdees o
Sana Bayan karta tha ! Jab Aadam
(a.s) ko paida kiya Gaya to phir Wo
Noor Aadam (a.s) ki Sulb Mein Rakha
Aur Barabar Aiq Sulb se
Doosre (pakeeza) Sulb mein Muntaqil
Hota Raha yahan tak.. Ke Usko Hazrat
Abdul Muttalib ke Sulb mein Qarar
Diya … Phir
Us Noor ko 2 Hisson mein taqseem
kiya … Mere (Noor) ke Hisse ko
Hazrat Abdullah ki Pusht mein Qayam
kiya Aur”ALI”ke Noor ko Hazrat
Abu Talib ki pusht mein !“Ref : (Musnad Imam Ahmad bin
Hambal , Al Arbaeen , Muwaddaat ,
Nuzus Saaeereen Allama Zaini
Shafa’ii ,Khateeb Al-Khwarizmi , Behrul
Ansaab♥♥♥♥♥
Hazrat Zayd Bin Arqam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Farmate Hain Ki Hazrat Ali KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Rasool-E-Karim Sallahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ke Saath Namaz Padhne Waale Pahle Shakhss Hain.”-[An-Nasa’i, Khasa’is-E-Ali Ibn Abi Talib KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim,/20, Raqam-02.]
♥♥♥♥♥
sarkaar (sallallaho alayhi wa aalihi wasallam) ki hadith e mubarqa hai ke
“ali bolta qur’an hai”
ab zara ya ali kehkar dikhao!♥♥♥♥♥
Hadith: Ali gunahon ke bakhshne ka darwaza hai. Jo is darwaze se dakhil hoga wo momin hoga aur jo isse nikal jayega wo kafir hoga.
(As Sawaiq Al Muharriqa)
♥♥♥♥♥
Hajrat Abdullah apne Walid Imam
Ahmed bin Hambal (Rehmatullahaley)
se puchhte hein ki:
“Aap Afzaliyat ke masle par kya farmate
hein?”
Imam Ahmed bin Hambal
(Rehmatullahaleyh) farmate hein:
“Khilafat main Hajrat Abu Bakr (Radi
Allaho tala anho) Hajrat Umar (Radi
Allaho tala anho) se Afzal hein aor
Hajrat Umar (Radi Allaho tala anho)
Hajrat Usman (Radi Allaho tala anho)
se Afzal hein.”
Hjarta Abdullah puchhte hein:
“Aor Ali (Aleyhesalaam)?”
Tab Imam Ahmed bin Hambal jawab
dete hein:
“Ali (Aleyhesalaam) Aehlebeyat se hein,
Unke jeysa koi nahin ho shakta!”
—————————————-
(Ref. “Manaqab Imam Ahmed
Hambal”, writer Abu Alfarj
Abdulrahman Bin Jauzi, Page 162-63)♥♥♥♥♥
Maula Ali (a.s) ne farmaya :
Main wo Ali (a.s) hoon jis ki baten
aqlon ko hairaan aur zehno ko
Preshaankar deti hain.
Aye Logo Maine aaj taq Apni
haqiqat ko tum par Aashkaar nahi
kiya.
Agar Main Apni Haqiqat Aur
Fazeelat se Duniya walon ko
Aagah kar doon to aadhi duniya
meri Fazeelat ki Bulandi sun kar
mar jaye aur baqi Deewani ho
jaye.
Main Apne sirf itne Faza’il se
Parda Uthata hoon (Bayan karta
hoon) jin ko Haqiqi Momin ka Dil
Bardasht kar sake.
Ref : Kitab ul Safeen pg#71♥♥♥♥♥
Ise Padh Kar Mulla Molvio Ke Pet Me Dard
Shuru Ho Jaega..
Seene Par Churiyan Chal Jaegi..
.
Hazrat Maula ALI Alaihish salam
Ki Shaan Me 800 Aayaat Naazil
Howi.
[Taareek ul Khulafaa, vol:1,
page:70♥♥♥♥♥
Hum Rasool se Kyon na Mange,
Jab ke Huzur Sallallaaho Alaihe Wasallam Farmate hai,
“Innama Ana Qasimun Wallaho Yuti”
“Beshak Allah deta hai
Aur main Taqsim Karta hun”
(Bukhari Sharif, Vol. 1, Page 16)Kya Allah ke Siwa bhi
koyi Madadgar hai?
Sarkar Sallallaaho Alaihe Wasallam Farmate hai,
“Beshak, Ali mujh se hai Aur main Ali se hun, Aur Ali Har Momin ke madadgar hai, Mere Baad.”
(Tirmiji Sharif, Vol. 2, Pg.212 )♥♥♥♥♥
Must read and share
Islam Taaja Ho Jayega
Hadees pak Kaab Ahbaar Se Riwayat Hain Ki Ek Bar Hazrat Bibi Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Bimaar Hui!
Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ne Unse Pucha Ki Duniya Ki Chizon Mayse Tumahra Dil Kis Chiz Ko Chahta Hain!
Jawab Diya Anaar Ko,,,
Hazrat Ali Kuch Daer Keliye Soch May Padgaye Kyonki Unke Paas Kaudi Paisa Na Tha!
Fir Bazaar May Aaye Aur Ek Dirham Udhaar Leker Anaar Kharida Aur Ghar Ki Taraf Chale !
Raaste May Ek Bimaar Aadmi Ko Sadak Per Pada Dekha! Aap Taher Gaye Aur Usse Pucha Ki Tera Dil Kis Chiz Ko Chahta Hain?
Usne Kaha Aye Ali,, May 5 Din Se Yahan Pada Hoon, Bahoat se Aadmi Mere Paas Se Gujar Gaye Magar Kisi ne Meri Taraf Nigah Na Ki !
“Mera Dil Anaar Khane Ko Chahta Hain !”
Hazrat Ali Apne Dil May Kehne Lage Ki Agar Main Ise Anaar Khila Du To Fatima Mehroom Rehti Hain ??
Aur Agar Mana Kardu To ALLAH Ki Nafarmani Hoti Hain, Jo Farmata Hain Ki Sayil Ko Na Zhidko!Chunanche, Aapne Anaar Todker Us Bimaar Ko Khilaya Aur Wo Usi Waqt Tandrust Hoker Uth Baitha!
Udhar Sadqe Ki Barkat Se Bibi Fatima Ko Sehat Hasil Hogayi !
Hazrat Ali Sharmaye Hue Ghar May Dakhil Hue! Hazrat Fatima Uneh Dekhker Khadi Hogayi,,,
Hazrat Ali Ne Uneh Saara Maajra Sunaya!
Wo Boli Aap Ghamgeen Kyon Hote Hain ?
ALLAH-TA’AALA Ke Ezzat-O-Jalaal Ki Kasam, Udhar Aapne Us Bimaar Ko Anaar Khilaya, Idhar Mere Dil Se Uski Khwayish Jati Rahi !
Hazrat Ali Is Baat Se Bahoat Khush Hue !
Itne May Ek Shaks Ne Zanjeer Khat-Khatayi !
Hazrat Ali Ne Farmaya Kaun?
Jawab Aaya Salmaan Fharsi, Zara Darwaza Kholiye !
Aapne Darwaza Khola! Dekha Ki Salmaan Ke Hath May Kapde Se Dhaka Hua Ek Thaal Hain !Salmaan Ne Wo Thaal Hazrat Ali Ke Aage Rakh Diya ! Hazrat Ali Ne Pucha Yeh Kahan Se Aaya! Salmaan Ne Farmaya, ALLAH-TA’AALA Ki Taraf Se Rasool Ko Aur Rasool Ki Taraf Se Aapko Hadhiyah BhejaGaya Hain!
Kapda Uthaker Dekha To 9 AnaarThe !Us Waqt Hazrat Ali Ne Farmaya, Ki Agar Yeh Hadhiyah ALLAH Ki Taraf Se Hota To 10 Anaar Hote, Kyonki ALLAH-TA’AALA Ka Qaul Hain Ki Jo Ek Neki Karta Hain Use 10 Mila Karti Hain !
Salmaan Yeh Sunker Has Pade Aur Apni Aastin Mayse Ek Anaar Nikaalker Thaal May Rakh Diya Aur Bole,
“Aye Ali ! Khuda Ki Kasam, Anaar To 10 Hi The Lekin Maine Aapka Imtehaan Lene Ki NiyatSe EkChupa Liya Tha! ”
(Rauzatul Muttakeen) (KAJHPg-668-669-670)Subhan ALLAH padhkar share zaroor kare..
♥♥♥♥♥
Wasiat RASOOL-e-KHUDA ﷺ
(Sall’Allahu Ta’ala Alaihi
Wa’Salam) !!!!!“Agar Tum Mere Baad Dekho ke Akele Ali Aik Raste Per Chal Rahe Hein Aur Tamam Aulad-e-Adam Ali ko Chor Kar
Kisi Dosre Raste Per Chal Rahi Hai, To Tum Meri Ye Wasiat Yaad Rakhna.
Tamam Aulad-e-Adam Ko Chor Dena Magar Ali Ka Sath Na Chorna, Kyun ke Ali Kabhi Bhi Tumhain Gumrah Nahi Honay Dein Gey.”Ref: {Kanz-ul-Amal; Jild No.6}.
♥♥♥♥♥
—–@—-@——–@—-@—
Hazrat Ali Bin Husain RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabi-E-Akram SallAllahu Ta’ala Alayhi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya :Aye Ali!BeShak Allah Ta’ala Ne Tujhe Aur Teri Awlaad Ko Aur Tere Ghar Waalon Ko
Aur Tere Madadgaaron Ko
Aur Tere Madadgaaron Ke Chaahne Waalon Ko
Bakhsh Diya Hai Pas Tujhe Ye Khushkhabari
Mubarak Ho.
—–@—-@——–@—-@—
”Is Hadith Ko Imam Daylami Ne Riwayat Kiya Hai.-[Daylami Fi Musnad-ul-Firdaws, 05/329, Raqam-8337,
Ghayat-ul-Ijabah Fi Manaqib-il-Qarabah,/46, Raqam-30.]
—–@—-@——–@—-@—