Hadith on Maqam e Sayyeda Fatima AlaihisSalam

Maqame Maryam O Hawwa Bhi Hai Baja Lekin
Tera Maqam Hai Tera Maqam Ya Zahra
Hasan Se Leke Zahure Janabe Mahdi Tak
Tere Nasab Se Hein Ye Sab Imam Ya Zahra
Har Ek Saans Se Aati Thi Mustafa Ki Mahak
Teri Hayat Pe Lakhon Salam Ya Zahra ع ❤

Sayyedna Masud Se Riwayat Hai Ke Nabi Alayhissalam Ne Irshad Farmaya Fatima Mera Jigar Gosha Hai Jisne Isey Gazabnaak Kiya Usne Mujhe Gazabnaak Kiya.

(Sahih Bukhari, Hadees-3767)
(Sahih Muslim, Hadees-2449)
(Khasaise Ali, Hadees-135)

Sayyedna Huzaifa RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai Nabi Alayhissalam Ne Farmaya Ek Farishta Aasman Se Nazil Hua Ye Isse Pehle Kabhi Zameen Par Nahi Utra, Usne Allah Ta’ala Se Mujhe Salam Karne Ki Ijazat Li Phir Salam Kehkar Mujhe Ye Basharat Di Ke Sayyeda Fatima Salamullah Alaiha Jannati Auraton Ki Sardar Hein.

(Mustadrak Ala al-Sahihain, Hadees-4722, Sahih)

Sayyedna Abdullah Ibn Abbas RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai Nabi Alayhissalam Ne Sayyeda Fatima Salamullah Alaiha Se Farmaya Mere Ghar Walon Mein Tum Sabse Pehle Mujhe Milogi.

(Fazaile Sahaba, Hadees-1345, Sahih)

Sayyedna Abdullah Ibn Abbas RadiAllahu Anhu Farmate Hein Nabi Alayhissalam Ne Irshad Farmaya Kyunki Allah Ta’ala Tumhein Naimaten Ata Farmata Hai Isliye Usse Muhabbat Karo Aur Allah Ki Muhabbat Ke Liye Mujhse Muhabbat Karo Aur Meri Muhabbat Ke Liye Mere Ahle Bait Se Muhabbat Karo.

(Mustadrak Ala al-Sahihain, Hadees-4716, Sahih)

Sayyedna Abu Hurairah RadiAllahu Anhu Ne Bayan Kiya Ke Nabi Alayhissalam Ne Farmaya Sabse Pehle Mein Bahisht Mein Dakhil Hounga Lekin Mujhe Ispar Koi Fakhr Nahi Sabse Pehle Mein Shafa’at Karunga Aur Sabse Pehle Meri Shafa’at Qubul Hogi Lekin Mujhe Ispar Koi Fakhr Nahi Baroze Mehshar Hamd Ka Jhanda Mere Haath Mein Hoga Lekin Mujhe In Sab Par Koi Takabbur Nahi Mere Baad Jannat Mein Sabse Pehle Sayyeda Fatima Dakhil Hongi Is Ummat Mein Sayyeda Fatima Ki Misaal Us Tarah Hai Jis Tarah Sayyeda Maryam Salamullah Alaiha Ki Misaal Bani Israel Mein.

(Dalail Un Nabuwwah, Hadees-24, Hadees Ke Tamam Raawi Siqa Hein)

Anas Bin Malik RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai Ke Nabi Alayhissalam Fajr Ki Namaz Ke Liye Nikalte Waqt Taqreeban 6 Mahine Sayyeda Fatima Salamullah Alaiha Ke Darwaze Par Jate Rahe Aur Farmate Namaz Namaz Phir Ye Aayat Tilawat Farmate “Allah Ta’ala Yahi Chahata Hai Ke Nabi Ke Ahle Bait Tumse Gandagi Ko Dur Karde Aur Tumhein Khub Paak Karde.

(Fazaile Sahaba, Hadees-1340, Hasan)

Sayyedna Abdullah Ibn Masud RadiAllahu Anhu Farmate Hein Nabi Alayhissalam Ne Irshad Farmaya Beshak Fatima Ne Apni Izzat Ki Hifazat Ki Hai Allah Ta’ala Ne Unki Aulad Par Dozakh Ki Aag Haram Farma Di Hai.

(Mustadrak Ala al-Sahihain, Hadees-4726, Sahih)

Sayyedna Zaid Bin Arqam RadiAllahu Anhu Se Riwayat Hai Nabi Alayhissalam Ne Sayyedna Ali Sayyeda Fatima Aur Hasanain Kareemain Se Farmaya Tum Jis Se Ladoge Mein Uske Saath Halate Jung Mein Hun Aur Jis Se Tum Sulah Karne Wale Ho Mein Bhi Usse Sulah Karne Wala Hun.

(Tirmizi, Hadees-3870)
(Sunan Ibn Majah)

Sayyeda Aayesha RadiAllahu Anha Farmati Hein Maine Sayyeda Fatima Salamullah Alaiha Se Zyada Sacche Lehje Wala Koi Nahi Dekha Siwae Unke Walid Ke.

(Mustadrak Ala al-Sahihain, Hadees-4756, Sahih)

Umool Momineen Hazrat Ayesha Radi Allaho Anha se rivayat Hai Jab Hazrat Fatima Radi Allaho Anha
Nabi e Karim ﷺ Se Mulakat Ke liye aati To Huzoor Nabi E Karim ﷺ Unke Istekbaal Ke Liye Khade Ho jate aur Aap Radi Allaho Anha Ka Haath Thamke Unhe Bosa Dete aur Unhe Apni Jagah Betha Dete.”
Reference :
(Sunan Abu Dawood,Kitab No 43: Kitab Al Adab,Baab Maa Jaa Fi,Kayami,Hadees 5217)
(Jamai Tirmizi,Kitab49 Kitabul Manakib Ana Rasool Allah ﷺ Hadees 3872)
(Imam Bukhari,Al Adab Ul Mufrad,Kitab As Salam,Hadees 971)Gair Mukallid ke Muhaddis Albani ne bhi is Hadees ko Sahi likha hai.
(Ibn Hibban, As-Sahih Vol15, Pg 403 Hadees 6953)
(Tabarani,Al Mujam ul Awsat Vol 04,Pg 242,Hadees 4089)
(Imam Hakim Al Mustadrak Vol 04 Pg 303,Hadees 7715)

Advertisement

अहले बैत का मक़ाम

एक बार अमीरुलमोमनीन हज़रत ए उमर फारूक रज़ियल्लाहु अन्ह के पास कुछ सफीर (राजदूत) आए हुवे थे वो सब साथ बैठकर किसी मसले पर बातें कर रहे थे।
तभी खादिम अंदर आया और अर्ज किया
“या अमीरुलमोमनीन ……आपका बेटा अब्दुल्लाह आये है (जो कि अपने वक़्त के बहुत बड़े मुहद्दिस थे) हुजूर वो आपसे मिलना चाहते हैं

हज़रते उमर ने फरमाया “उसको बाहर बिठाओ अभी थोडी ज़रूरी बात हो रही है खत्म होते ही बुलाता हूँ और हाँ कोई आये तो अंदर मत आने देना बाहर बिठाके रखना”

थोड़ी देर बाद हज़रत ए इमाम हसन रज़ियल्लाहु अन्ह तशरीफ़ लाए और खादिम से कहा
“अमीरुलमोमनीन से मिलना है”
खादिम ने कहा ” हुज़ूर अमीरुलमोमनीन ने कहा है कि किसी को अंदर आने मत देना पर हुज़ूर आपको इजाजत है आप अंदर जा सकते हैं”
इमामे हसन ने फरमाया “मुझे कोई खास काम नही था मैं जुहर के वक़्त मस्जिद में मिल लूंगा और ये कहकर वापिस तशरीफ़ ले गए”

थोड़ी देर बाद जब हज़रते उमर की बातचीत खत्म हुवी और वो बाहर आए तो अपने बेटे से फ़रमाया
“अब्दुल्लाह कहो क्या कहना चाहते थे? “
हज़रते अब्दुल्लाह ने कहा “अमीरुलमोमनीन मेरी छोड़िये अभी हज़रते इमाम ए हसन आए थे उनको पता चला के आप बिजी हैं तो वो वापिस चले गए”

इतना सुनना था कि हज़रते उमर नंगे पैर दौड़ने लगे और हज़रते इमाम हसन के घर का दरवाजे पर दस्तक दी
इमाम हसन बाहर तशरीफ़ लाए और पूछा “अमीरुलमोमनीन आप यहां….?”
हज़रते उमर अपनी घुटनों पर बैठ गए और फ़रमाया
“आपको क्या काम था आप वहां आये तो अंदर क्यों न आए ? “

हज़रते इमाम हसन ने फरमाया
“कोई खास बात न थी मैने देखा आपका बेटा भी बाहर ही खड़ा था मैने सोचा जुहर के वक़्त मस्जिद में ही मिल लूंगा”

इतना सुनना था कि हज़रते उमर के आंखों में आंसू आगए…….😢

औऱ फ़रमाया “मेरे बेटे की आपसे बराबरी कैसे हो जाएगी क्या इसका बाप अली है क्या इसकी माँ फातिमा है क्या इसके नानी हज़रत खतीजा हैं क्या इनके नाना मुहम्मदुर्रसुलल्लाह ﷺ हैं…….?
और अपना इमामा उतारा और फ़रमाया ” ए इमाम ए हसन मैं वो उमर हूँ जिस से दस ऊंट नही संभलते थे और मेरा बाप मुझे इसके लिए कोड़े मारता था”
उस उमर के सर पर जो इज्ज़त के बाल हैं वो आपके नाना मोहम्मद मुस्तफा ﷺके उगाए हुवे हैं ख़त्ताब के बेटे की इतनी मजाल नही कि वो आले रसूल ﷺ से इंतेज़ार करवाए अर्ज़ ये है कि इमाम ए हसन आप मुझे बुलवा लिया करें मैं आऊंगा आप नही………”
ये मक़ाम था अमीरुलमोमनीन हज़रते उमर रज़ियल्लाहु अन्ह की नजर में अहले बैअत का और एक गिरोह हमारे यहाँ भी हैं जो अहले बैअत से बुग्ज़ रखते हैं और दावा मुसलमान होने का करते हैं 🌷🌷🌷