Day: February 26, 2021
Maula Ali AlaihisSalam ki Mohabbat Imaan hai
Kaun Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’ha-ul-Karim ?


Kaun Ali Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’ha-ul-Karim ?
Jo Naqshe Rasool Bhi Hai Jawze Batool Bhi
Jo Haydar Wa Safdar Bhi Hai Faateh Khaybar Bhi
Jo Akhiyye Payambar Bhi Hai Waalide Shabbir Bhi
Jo Shere Daawar Bhi Hai Qatile Ghatar Bhi
Jo Wali Wa Naasir Bhi Hai Qaasime Kawsar Bhi
Jo Imam-ul-Barrah Bhi Hai Qatil-ul-Fajarah Bhi
Jo Shere Khuda Bhi Hai, Tajdare Ahle Ata’ Bhi Hai, Saiyyad-ul-Awliya’ Bhi Hai, Imam-ul-Atqiya’ Bhi Hai
Mawla Bhi Hai Murtaza Bhi Hai Jo Amir-ul-Momineen Bhi Hai, Mawla-ul-Muslimin Bhi Hai Qa’id-ul-Azza-ul-Muajjiliyin Bhi Hai.
Maalike Ulwiyyin Hai Nabi Ke Dil Ka Chain Hai Waalide Hasanayn Hai Saiyad Daarain Hai Markaze Sibtayn Hai Mahboobe Thaqalayn Hai Majma’-ul-Bahrayn Hai.
Jo Markaze Wilayat Bhi Hai Masdare Shahadat Bhi, Jo Mehware Imamat Bhi Hai Muikhzane Sakhawat Bhi Jo Manba’-E-Siyaadat Bhi Hai Aur Ma’adine Karaamat Bhi Jo Tajdare Shuja’at Bhi Hai Aur Babe Uloome Nubuwwat Bhi.
Jo Hujjatullah Hai, Asadullah Hai, Wajhahullah Hai, Yadullah Hai, Amrullah Hai, Iznullah Hai, Roohullah Hai, Mir’atullah Hai, Nusratullah Hai, Sifwatullah Hai, Qudratullah Hai, Hidayatullah Hai, Inayatullah Hai, Aayatullah Hai, Sibaghatullah Hai, Mazharullah Hai.
Jo Abrarullah Hai, Asrarullah Hai, Akhyarullah Hai, Ansarullah Hai, Abdullah Hai, Akhiyye RasoolAllah Hai Aur Baabullah Hai Jo Nabi Ka Weer Bhi Hai Sahaba Ka Mushir Bhi, Jo Mominon Ka Amir Bhi Hai Sunniyon Ka Peer Bhi, Jo Misdaaqe Aayate Tat’hir Bhi Hai Aur Malike Eide Ghadir Bhi, Jo Mustafa Kee Tanweer Bhi Hai Aur Haque Kee Shamshir Bhi Jo Qur’an Kee Tafsir Bhi Hai Aur Hidaaayat Kee Tash’hir Bhi, Jo Kaane Wafa Hai Jaane Haya Hai Bahre Sakha Hai Daafa’-E-Waba Hai, Haque Kee Raza Hai Deen Kee Baqa Hai, Imame Huda Hai Chashma-E-Sidq-o-Safa Hai, Jo Jaane Siddiqe Akbar Hai Roohe Farooqe Aazam Hai Mahboobe Dhu-un-Noorayn Hai Sab Sahabah Ka Qurraat-ul-Ayn Hai.
Jo Markaze Khayale Rasool Bhi Hai Aur Masdare Jamale Rasool Bhi, Jo Mazhare Kamale Rasool Bhi Hai Aur Mukhzane Khisaale Rasool Bhi, Jo Manba’-E-Aale Rasool Bhi Hai Aur Sar Chashma-E-Muqaale Rasool Bhi.
Jo Mazhare Ilme Aadam, Fahme Nooh, Hilme Ibrahim, Batshe Moosa, Zuhade Zakariyya, Jamale Yoosuf Aur Nazire Mustafa Hai, Jo Siddiqe Akbar Hai Farooqe Aazam Hai Aur Haque Ka Imam Hai.
Jis Kee Sirate Tayyibah Kee Ibteda’ Bhi Allah Ke Ghar Se Huwi Aur Inteha Bhi Allah Ke Ghar Me.
Jis Ne Aankhein Kholte Hee Sab Se Pehle Mehboobe Khuda Kee Ziaarat Kee.
Jis Ko Zindagi Ka Pehla Ghusl Imam-ul-Anbiya’ Alayh-is-Salato Was-Salam Ne Khud Yadullah Waale Gore Gore Haathon Se Diya Aur Imam-ul-Anbiya’ Ko Aakhri Ghusl Jis Ne Khud Diya.
Jis Kee Ghutti Me Lu’aabe Rasool Mila Jo Khaare Kue Ko Mitha Kar De, Zaher Ke Asaraat Zaa’il Kar De Aur Apne Chusne Waale Ko Ilme Qur’an Ka Sere Chashma Bana De.
Jis Ka Bachpan Sayyid-ul-Mursalim Alayh-is-Salam Kee Noorani Gowd Me Guzara Aur Jis Kee Tarbiyat Imam-ul-Anbiya’ SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ne Farmayi.
Nabiyye Akram SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Kee Ziysate Tayyibah (Aur Us Ka Har Lamha Har Lehza Har Saa’at) Jis Ne Mulaaheza Kee Hai Aur Apne Qalb Wa Zayn Me Samoodi.
Khasa’ise Mustafwi Ka Ameen…….. Aisa Ameen Ki Zindagi Bhar Is Amanat Ke Faiz Ko Bahre Rawa’n Kee Taraf Jaari Rakha Aur Kabhi Us Me Rukaawat Na Aane Dee.
Qur’ane Karim Kee Teen Sau-300 Aayaat Ka Misdaaq Aur Ahadithe Mustafwiyyah Ka Mukammal Aaina-E-Uloom Wa Ma’aroofe Qur’aniyah Ka Ganajinah Ma’ariafate Uloome Islamiya Ka Khazinah Jise Babe Uloome Nubuwwat Farmaya Gaya.
Jis Ne Bar Sare Minbar Salooni Ka Elaan Farmaya (Ki Mujh Se Puchho) Is Ke Alaawa Kisi (Sahabi) Ne Yeh Elaan Na Kiya.
Jis Kee Kaza (Faisla Karne Ka) Charcha Khilaafate Raashida Ke Adwaar Me Khoob Raha Aur Khulafa-E-Rashidin Ne Jis Kee Ilmiyyat Ka BarMala Eitiraaf Kiya.
Jis Ke Mukhalifin Ne Bhi Mushkil(Ilmi) Faisle Karwaane Ke Li’e Us Kee Zaat Ko Chuna Aur Us Se Masa’il Ma’loom Ki’e.
Jis Ka Khaandaan Saadaat Ka Khandan Ho, Jis Kee Zawjah Saiyyadat-un-Nisa’, Farzande Akbr Saiyyad-ul-Askhiya, Farzande Asghar Saiyyad-ush-Shohda’ Susar Saiyyad-ul-Anbiya’ Aur Woh Khud Saiyad-ul-Awliya’ Ho (Alayhim-us-Salato Was-Salam)
Jis Kee Shamshire Barhanah Ne Marhab Ke Tukade Ki’e Ho’n.
Jis Ko Ba-Zarie Jibara’il Alayh-is-Salam Bargahe Iyzadi Se Yeh In’am Mila Ho Ki “La Fata Illa Ali La Sayfa Illa Dhul Fiqaar”.
Jis Ko Bargahe Nabwiyyah Se Yeh Tamgha Husne Kaarkirdagi Haasil Huwa Ho Ki …ضربة على فى يوم الخندق أفضل من اعمال امتي الى يوم القيامة Aur Ba-Riwaayat Deegar افضل من عبادة الشقلين
Jo Nabi Ke Baad Har Momin Ka Mawla Ho Aur Naasir Wa Madadgaar Ho Aur Quwwate Parwardigar Ho.
Jis Ka Ism Mubarak Ghayz-ul-Munafiqin Ho Aur Jis Kee Muhabbat Imane Momineen Ho.
Kaa’inaat Ke Sab Wali,Gauth, Madar, Qutub, Abdaal, Qalandar, Imam, Mujtahid, Mujaddid, Shohda’ Wa Saalihin Jis Ke Darwaaza-E-Tahirah Ke Daryoozah Ho’n.
Siddiqe Akbar RadiyAllau Ta’ala Anhu Jise Pool Siraat Se Guzarne Ka Muhaafiz Wa Nigara’n Qaraar De’n.
Janab Farooqe Azam RadiyAllahu Ta’ala Anhu Jise Mushkl Kusha Tasawur Karein Aur Elaan Karein Ki Agar Ali Na Hote To Umar Halaak Ho Jaata.
Janab Uthmane Ghani RadiyAllahu Ta’ala Anhu Jis Ke Baare Me Farmaein :
لا يتم الشرف الا بولايهة على بن ابي طالب
Jo Doosare Kisi Se Fateh Na Hone Waale Darwaze Khaibar Ko Aan Waahid Me Fateh Kar Ke Haathon Pe Uthaa’e Aur Baad Me Assi Afraad Mil Kar Daare Khiabar Ko Na Utha Sakein.
Jo Allah Rasool Azza Wa Jalla Wa SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam Ka Muhibb Bhi Ho Aur Mehboob Bhi.
Jis Ke Mawla Hone Kee Mubarakbaad Sab Se Pehle Muraade Mustafa Farooqe Azam RadiyAllahu Ta’ala Anhu De’n.
Jo Apni Jaan (Sabe Hijrat) Mehboobe Khuda Par Waar Kar Rab Kee Marzi Ka Kharidaar Ban Jaa’e Aur Rab Mala’ka Me Us Kee Sar Bulandi Ko Bataure Mayaahaat Zikr Farmaein.
Jo Apna Rookh-r-Anwar Ghumaa’e To Haque Us Ke Rookhe Anwar Kee Taraf Ghum Jaa’e.
Jo Haque Ke Saath Ho Aur Haque Us Ke Saath Ho.
Jo Qur’an Ke Saath Ho Aur Qur’an Us Ke Saath Ho Aur Yeh Saath Hawze Kawsar Tak Daa’imi Ho.
Jo Ghode Kee Aik Rikaab Me Paaw’n Daale To Qur’an Kee Tilaawat Shuru’ Kare Aur Doosari Me Daale To Qur’an Khatm Ho Chuka Ho.
Jo Aik Sajdah Kar Ke Doosara Us Waqt Tak Na Kare Jab Tak Ki Haque Ko Dekh Na Le.
Jis Par Khud Aur Jis Ke Khandan Par Ummat Ne Be-Panaah Mazaalim Ki’e Ho’n Aur Jis Ne Apne Qatil Ko Sharbat Pilaaya Ho.
Jis Ko Lamhak Lahmi, Jismak Jismi, Damak Dami Ke I’zaazaat Se Nawaaza Gaya Ho.
Jo Soorat, Sirat, Kirdaar, Raftaar, Guftaar Me Aa’ina-E-Rasool Ho.
Jis Kee Zaat, Uloom-o-Rumooz Tasawwuf Kee Sar Chashma Ho Aur Uloome Sarf Wa Nahw Ka Jo Moojid Ho Aur Tafsire Qur’an Ka Sab Se Bada Aalim Ho, Jis Ke Shaagird Mufassire Awwal Hazrat Ibn Abbas RadiyAllahu Ta’ala Anhuma Jaise Ho’n.
Jise Mu’aakhaate Madinah Me Imam-ul-Anbiya’ Apna Duniya Wa Aakhirat Me Bhaai Qaraar Dete Ho’n.
Jo Gunaahon Kee Maghfirat Ka Darwaza “باب حطہ” Ho.
Jo Sahihfa-E-Imane Momin Ho Aur Ya’soob-ul-Muslimin Ho.
Jis Ne Dunya Ko Teen Talaqaein De Kar Apne Se Alahidah Kar Diya Ho.
Jise Imam-u-Anbiya’ Alayh-is-Salam Shahide Yaganah Qaraar Dete Ho’n.
Jis Kee Tamam Awlaad Deen Ke Li’e Qurban Huwi Ho…. … .. .
Woh Mawla-e Ka’enat Saiyyadina Aliyy-ul-Murtaza KarramAllahu Ta’ala Waj’hah-ul-Karim Jin Kee Shaan Bayaan Karna Hamari Isteta’at Se Baahar Hai