*ⓩⓔⓑⓝⓔⓦⓢ*
*SADQA*
*================================*
* हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम एक मर्तबा एक गांव में तशरीफ ले गए तो वहां के लोगों ने अपने गांव के धोबी की शिकायत की कि वो हमारे कपड़े अक्सर चुरा लिया करता है या बदल देता है,हम उससे बहुत आजिज़ आ गए हैं लिहाज़ा आप उसके लिए दुआ करें कि वो वहीं ग़ारत हो जाए चुनांचे आप ने उन लोगों की इल्तिजा पर ये दुआ करदी कि ऐ मौला उस खाइन से इन लोगों को महफूज़ रख और उसे वहीं हलाक़ करदे,इत्तिफाक़न धोबी अपने साथ रोटियां ले गया था वहां एक फक़ीर मिला जो भूखा था उसने फक़ीर को एक रोटी दे दी फक़ीर बोला कि जैसे तू लोगों के कपड़े साफ करता है मौला तआला तेरा दिल भी साफ करदे फिर उसने फक़ीर को एक रोटी और दे दी अब फक़ीर दुआयें देते हुए चला गया कि मौला तुझे तमाम बलाओं से महफूज़ रखे,शाम को जब धोबी सही सलामत वापस आ गया तो लोगों ने हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम से कहा कि आपने ये कैसी दुआ की थी कि उसे कुछ हुआ ही नहीं,तब हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम ने उस धोबी को बुलवाया और उससे पूछा कि तूने आज कौनसा नेक अमल किया तो उसने फक़ीर को रोटी देने वाली बात कही,तभी मौला की तरफ से हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम पर वही नाजिल हुई कि ऐ नबी इसकी गठरी खोलकर देखो जब उसकी गठरी खोली गयी तो उसमे एक काला सांप बैठा था,हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम सांप से कहते हैं कि अगर खुदा ने तुझे इसे डसने के लिए भेजा था तो तूने इसे डसा क्यों नहीं तो सांप बोला कि यक़ीनन मैं इसे डसना ही चाहता था मगर इसके सदक़े की बदौलत फरिश्ते ने मेरे मुंह पर मुहर लगा दी और मैं इसे डस न सका,फिर हज़रत ईसा अलैहिस्सलाम उस धोबी से फरमाते हैं कि ऐ खुदा के बन्दे तेरे पिछले सारे गुनाह मौला तआला ने माफ कर दिए हैं तो अब आगे नेकियां कर और किसी को तकलीफ न दे कि आज तुझे तेरे सदक़े ने बचा लिय
📕 तोहफये रहीमी,सफह 22
*================================*
*END*
*================================*
* Hazrat Eesa alaihissalam ek martaba ek gaanv me tashreef le gaye to wahan ke logon ne apne gaanv ke dhobhi ki shikayat ki ki wo hamare kapde aksar chura liya karta hai ya badal deta hai,hum usse bahut aajiz aa gaye hain lihaza aap uske liye baddua karen ki wo wahin gaarat ho jaaye chunanche aap ne un logon ki iltija par ye dua kardi ki ai maula us khayin se in logon ko mahfooz rakh aur use wahin halaaq karde,ittifaqan dhobhi apne saath rotiyan le gaya tha wahan ek faqeer mila jo bhookha tha usne faqeer ko ek roti dedi faqeer bola ki jaise tu logon ke kapde saaf karta hai maula taala tera dil bhi saaf karde phir usne faqeer ko ek roti aur dedi ab faqeer duaein dete hue chala gaya ki maula tujhe tamam balaon se mahfooz rakhe,shaam ko jab dhobhi sahi salamat wapas aa gaya to logon ne hazrat eesa alaihissalam se kaha ki aapne ye kaisi dua ki thi ki use kuchh hua hi nahin,tab hazrat Eesa alaihissalam ne us dhobhi ko bulwaya aur usse poochha ki toone aaj kaunsa neik amal kiya to usne faqeer ko roti dene waali baat kahi,tabhi maula ki taraf se hazrat Eesa alaihissalam par wahi naazil huyi ki ai nabi iski gathri kholkar dekho tab uski gathri kholi gayi to usme ek kaala saanp baitha tha,hazrat Eesa alaihissalam saanp se kahte hain ki agar khuda ne tujhe ise dasne ke liye bheja tha to toone ise dasa kyun nahin to saanp bola ki yaqinan main ise dasna hi chahta tha magar iske sadqe ki badaulat farishte ne mere munh par muhar laga di aur main ise das na saka,phir hazrat Eesa alaihissalam us dhobhi se farmate hain ki ai khuda ke bande tere pichhle saare gunaah maula taala ne maaf kar diye hain to ab aage nekiyan kar aur kisi ko taqleef na de ki aaj tujhe tere sadqe ne bacha liya
📕 Tohfaye Raheemi,Safah 22



إِنَّمَا وَلِيُّكُمُ اللَّهُ وَرَسُولُهُ وَالَّذِينَ آمَنُوا الَّذِينَ يُقِيمُونَ الصَّلَاةَوَيُؤْتُونَ الزَّكَاةَ وَهُمْ رَاكِعُونَ Al-MaidahImam Abdul Razzaq, Abd Bin Hamid, Ibn Jarir, Abu al-Shaykh Aur Ibn Marduwyah Ne Hazrat Ibn Abbas RadiAllahu Anhu Se Riwayat Naql Ki Hai Ke Ye Aayat Sayyedna Ali Alayhissalam Ke Haq Mein Nazil Huyi, Imam Tabrani Ne Awsat Mein Aur Ibn Marduwyah Ne Hazrat Ammar Bin Yasir RadiAllahu Anhu Se Riwayat Naql Ki Hai Ke Sayyedna Ali Alayhissalam Ke Pas Sail Aakar Khada Hogaya Jabke Aap Nafli Namaz Padh Rahe Thae, Sayyedna Ali Ne Anguthi (Ring) Utari Aur Sail Ko De Di Woh Sail Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat Mein Hazir Hua Aur Sab Waqiah Bayan Kiya Toh Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Par Ye Aayat Nazil Huyi, Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ye Aayat Apne Sahaba Par Padhi Fir Kaha Jiska Mein Dost Hun Ali Uska Dost Hai Aye Allah Uska Dost Ban Jo Ali Ka Dost Bane Aur Jo Ali Se Dushmani Rakhe Usey Apna Dushman Rakh.Imam Khatib Ne Muttafiq Mein Hazrat Ibn Abbas RadiAllahu Anhu Se Riwayat Naql Ki Hai Ke Sayyedna Ali Alayhissalam Ne Apni Anguthi Sadqa Ki Jabki Aap Ruku Ki Halat Mein Thae, Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Sail Se Pucha Tujhe Ye Anguthi Kisne Di Hai? Usne Arz Ki Is Ruku Karne Wale Yani (Sayyedna Ali) Ne Toh Allah Ta’ala Ne Ye Aayat Nazil Farmayi.(Tafseer Durre Mansur, Jild-2, Safa-804)

