Murshid_e_Kaamil_ki_Zaroorat
_
Quran Majeed Me Allah Farmata Hai ::
πππππππππππππ
“AR’RAHMANU FAS’AL BIHI QABIRAN”
Tarjuma :: Rehman ka Pata Kisi Ba’Khabar
Se PooΓ±cho, Jo Usey Jaanta Ho…
Reference :: (Surah Furqan, Ayat No.59)
_
Sarkar-e-Do-Aalam ο·Ί Ne Farmaya ::
πππππππππππππ
Pehle Rehbar Talash Karo (Jab Mil Jaye),
Phir Us Raastey Par Chalo…
_
Syedna Gaus e AazamΫ΄ Ne Farmaya ::
πππππππππππππ
Murshid Ki Talash Is’liye Zaroori Hai Ke,
Us’ki Tarbiyyat Me Reh’kar Insaan Aesi
Rooh Haasil Kar’le, Jo Dil ko Zinda Karde,
Aur Mureed Apne Rab Ki Marifat Haasil
Karne Me Qaamyaab Ho’jaye…
_
Allama Iqbal (Q.s) Ne Farmaya ::
ππππππππππππ
Mai Rasta Nahi Puchhta, Sathi Dhundhta Hu,
Kyunki, Kehte Hai Pehle Rafiq Baad Me Tareeq..
_
Baba Bulleh Shah (Q.s) Ne Farmaya ::
πππππππππππππ
Murshid Rafiq Raah ko Kehte HaiΓ±,
Chunan’che Huzoor-e-Pak ο·Ί Ka
Farmaan Hai, Pehle Rafiq Talash
Karo Phir Raah Chalo…
_
Maulana Jalaluddin Rumi (Q.s) Ne Farmaya:
ππππππππππππππ
Tareeqat ki Raah Ikhtiyaar Karne Ke Liye
Kaamil Rafiq (Murshid) Ka Tawassal
Ikhtiyaar Kar…, Yeh Safar Bagair
Peer ke Tay Nahi Ho Sakta…
_ —————————————————————–
Murshid-e-Kamil ki Nigah Qalb (Haaqiqi Dil)
ko Shaffaf (Saaf) Rakhne ke Liye Sab se
Zyaada Zaroori Hai…
_
Murshid Hee Saaf Dil ka Nigehbaan Hai…
_
Agar Murshid Na Ho Tou Insaan ki Apne Dil
ko Paak o Saaf Rakhne ki Tamaam Koshish
Na Kaafi Rahegi…
_
Duniya Rang Badal-Badal kar Insaan
Ko GunaahoΓ± ke Jaal Me Phaans Legi..,
Hasad, Takabbur, Hawas, Kine ki Qalbi
BimaariyaΓ± Baar-Baar Insaan Par Hamla
Karegi.., Insaan kab Tak Akela In’se Ladta
Rahega…???
_
Is’liye Qalb ko Allah ki Muhabbat ke liye,
Hamesha Paak o Saaf Rakhne ke Liye
Murshid-e-Kamil ki Nigehbani Behad
Zaroori Hai..!!
_

