Jannati Firqe Me Hum Ummid Kar Sakte Hain Dawa Nahi.

 

Mehfum-e-Hadees : Nabi-e-Paak (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ka Farmane Aalishan Hai Ke,
“Meri Ummat 73 Firqon Me Bategi, Sab Jahannumi Honge, Sirf 1 Firqa Jannati Hoga Jo Mere Aur Mere Sahaba Ke Aqeede Par Hoga”.
– (Tirmizi Sharif, Jild:2 Safa:255)

# Ab Kuch Log Samjhtey Hai Ke Wo Ahle Sunnat-Wal-Jamaat Ka Jannati Firqa (Firqa-e-Najia) Me Se Mai Hi Hu Aur Meri Hi Puri Jamaat Hai, Jab Ki Iss Jamaat Ki Khususiyat Tou Yeh Hai Ke Yeh ‪#‎Quantitatively‬ Nahi Aayngi Balke ‪#‎Qualitatively‬ Aaynge. Apni Khususiyat Se Nikalkar, Alag Alag Tanzimo Aur Jamaato Se Nikal Kar Ek Giroh Me Jama Honge.. Naa Ke Pura Ek Jattha Nikalkar Chala Ke Mai Hi Hu Firqa-e-Najia.
Aur Yaad Rakhey ! Ke Jo Shakhs Yeh Samjhye Ke Mai Hi Firqa-e-Najia Se Hu Wo Sabse Bada Gumraah Hai ..
Kyunki Hum Ummid Kar Sakte Hai Ke Hum Firqa-e-Najiya Se Ho..
Hum Dawa Hargiz Nahi Kar Sakte Ke Hum Hi Firqa-e-Najia Se Hai…

Aayiye Rasool’Allah(Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Ek Sahabi Ka Wakiya Dekhte Hai,
Jab Unke Inteqal Ka Wakt Nazdik Tha,. Rasool’Allah Pohche Aur Farmaya – ‘Tumhe Kaisa Lagta Hai ?’
Tou Unhone Farmaya Ke – ‘Allah Ke Rasool! Darr Lagta Hai Jahannum Se Allah Ki Aur Uski Saza Se’.
Fir Rasool’Allah Ruk Gaye Aur Fir Pucha Ke – ‘Ab Kaisa Lagta Hai ?’
Tou Kaha – ‘Allah Ke Rasool! Ummid Hai Allah Se Jannat Ki Aur Magfirat Ki’.
Rasool’Allah Ne Kaha – “Haa! Jo Aisi Mout Mara Wo Durust Maraa”
Aisi Hi Mout Sahi Mout Hai Ke Khouf Bhi Ho Aur Ummide Bhi Ho..
Lekin Afsos Ki Baat Hai Ke Hum Tou Khud Ko Firqa-e-Najia Me Samjh Ke Bebaak Ho Gaye Aur Apni Islah Ke Purey Darwaze Band Kar Diye. Yahi Tou Tarika Hai Shaitaan Ka Ek Momin Ko Gumraah Karne Ka…
Tou Lihaja Hum Ummid Karte Hai Ke Firqa-e-Najia Me Rahe ! Hum Dawa Nahi Kar Sakte Ke Hum Firqa-e-Najia Se Hi Hai..

•» Sabak : Lihaja Hum Ummid Kar Sakte Hai Ke Hum Firqa-e-Najia Yaani Ahale Sunnat Wal Jamat Se Ho, Hum Dawe Nahi Kar Sakte … Aur Iss Haq Firqe Se Wohi Hoga Jo Allah Aur Uskey Rasool Ki Itteba Karegaa….
# InshaAllah Ul Azeez!!!
# Allah Ta’ala Hume Padhne Sun’ne Se Amal Ki Taufiq Dey..
# Jab Tak Hume Zinda Rakhey Islam Aur Imaan Par Zinda Rakhye…
# Khatma Humara Imaan Par Ho.
Ameen .

Leave a comment