HADIS:
Kisi Ko Gaali Dena Apne Maa Baap Ko Gaali Dena Hai
Rasool Allah(Sallallah u Alaihay Wasallam) Farmate Hai
Gunaho Me Se Bada Gunah Yeh Hai Ki Aadmi Apne Maa-Baap Par Laanat Kare
Log’on Ne Kaha:
Aye Allah Ke Rasool (SallallahuAlai hay Wasallam) Bhala Kaun Apne Maa Baap Par Laanat Karega ?
Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya
Matlab Ki Ek Shaks Doosre Ke Baap Ko Gali De Aisa Hai Ki
Woh Apne Baap Ko Gali De
Aur Dosre Ki Maa Ko Gaali De Aisa He Ki Woh Apni Maa Ko Gaali De
Ref
(Sahih Bukhari, Kitab-Ul-Aqab, Hadees No 5973)
Sabab : Yaad Rahe Ke Kisi Ko Gaali Dena Apne Maa Baap Ko Gaali Dene Ke Barabar Hai
Astagferullah!
Allah Ta’ala Hame Bad’Akhlakhi se Parhej Karne ki Toufeeq Ata Farmaye