Imaan wale to wo hi hain

lailahailallah-768x576

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Al Quran : Imaan wale to wo hi hain jab Allah subhanahu ka naam aaye to unke Dil dar jaye aur jab uski aaytein un par padhi jaye to unka Imaan ziyada ho jata hai Aur wo apne RAB par bharosa rakhte hain.Wo jo Namaz Qayam karte hain aur jo humne unhe Rizq diya hai usmein se kharch karte hain.
Yahi sacche Imaan wale hain aur unke RAB ke yahan unke liye Darje hain aur bakhshish hai aur ezzat ka rizq hai.
Al Quran, Surah Anfal (8), Verse: 2-4

✦ Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Saat tarah ke log hain jinhe ALLAH Subhanahu Apne (Arsh ke) saaye mein panaah dega unmein se ek wo bhi hai jisne tanhaii mein ALLAH subhanahu ko yaad kiya to uski aankhon se aansoo jari ho gaye
Sahih Bukhari, Vol 7, 6479
—————
✦ अल क़ुरान : ईमान वाले तो वो ही हैं जब अल्लाह सुबहानहु का नाम आए तो उनके दिल डर जाए और जब उसकी आयतें उन पर पढ़ी जाए तो उनका ईमान ज़ियादा हो जाता है और वो अपने रब पर भरोसा रखते हैं.वो जो नमाज़ क़ायम करते हैं और जो हमने उन्हे रिज़क़ दिया है उसमें से खर्च करते हैं. यही सच्चे ईमान वाले हैं और उनके रब के यहाँ उनके लिए दर्जे हैं और बखशीश है और ईज्ज़त का रिज्क है.
अल क़ुरान, सुराह अनफाल (8), आयत 2-4

✦ हदीस : अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया सात तरह के लोग हैं जिन्हे अल्लाह सुबहानहु अपने (अर्श के) साए में पनाह देगा उनमें से एक वो भी है जिसने तन्हाई में अल्लाह सुबहानहु को याद किया तो उसकी आँखों से आँसू जारी हो गये
सही बुखारी, जिल्द 7, 6479

Leave a comment