Bismilahirrahmanirrahim
✦ Hadith : Qayamat ke din sabse ziyada meri shafaat usey milegi jo sachche Dil se LA ILAHA ILLALLAH kahe
—————-
✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki unhoney Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam se arz kiya ki Qayamat ke din Aapki shafaat sabse ziyada kisey milegi to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmya Eh Abu Hurairah mujhe Yaqeen tha ki tumse pahle koi iske baare mein mujhse nahi puchega kyunki mainey haidth ke mutalliq tumhari hirs (tamanna) dekh li thi Suno Qayamat ke din sabse ziyada meri shafaat usko naseeb hogi jo sachche Dil se LA ILAHA ILLALLAH kahe (eg Aulia Allah )
Sahih Bukhari , Jild 1, 99
———-
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की उन्होने रसूल-अल्लाह सलअल्लाहू अलैही वसल्लम से अर्ज़ किया की क़यामत के दिन आपकी शफ़ाअत सबसे ज़ियादा किसे मिलेगी तो आप सलअल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया एह अबू हुरैररा मुझे यक़ीन था की तुमसे पहले कोई इसके बारे में मुझसे नही पूछेगा क्यूंकी मैने हदीस के मुताल्लिक़ तुम्हारी हिर्स (तमन्ना) देख ली थी सुनो क़यामत के दिन सबसे ज़ियादा मेरी शफात उसको नसीब होगी जो सच्चे दिल से ला इलाहा इलअल्लाह कहे (eg Aulia Allah )
सहीः बुखारी , जिल्द 1, 99
———-
✦ Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu :I said: “O Allah’s Apostle Sallallahu Alaihi Wasallam ! Who will be the luckiest person, who will gain your intercession on the Day of Resurrection?” Allah’s Apostle said: O Abu Huraira! “I have thought that none will ask me about it before you as I know your longing for the (learning of) Hadiths. The luckiest person who will have my intercession on the Day of Resurrection will be the one who said sincerely from the bottom of his heart LA ILAHA ILLALLAH (None has the right to be worshipped but Allah.) (eg Aulia Allah )
Sahih Bukhari, Book 3, Number 98
Month: January 2020
Jo sharab peeye aur nashe mein mast ho jaye to uski namaz challis (40) roz tak Qubul nahi hogi

Bismilahirrahmanirrahim
✦ Hadith: Jo sharab peeye aur nashe mein mast ho jaye to uski namaz challis (40) roz tak Qubul nahi hogi
———————–
✦ Abdullah bin Amr Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jo sharab peeye aur nashe mein mast ho jaye to uski namaz challis (40) roz tak Qubul nahi hogi, aur agar wo us dauran mar gaya to dozakh mein jayega agar usne tauba kar li to Allah qubul farmayega.
✦ Aur phir dobara sharab peeye aur nashe mein mast ho jaye to uski namaz challis (40) roz tak Qubul nahi hogi, aur agar wo us dauran mar gaya to dozakh mein jayega agar usne tauba kar li to Allah qubul farmayega.
✦ Phir agar usne teesri baar phir sharab pee li to Allah subhanahu usko Qayamat ke din
Radgat-AlKhabal jarur peelayenge Sahaba Radi Allahu Anhu ne arz kiya ki eh Allah ke Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam Radgat Al Khabal kya cheez hai, farmaya dozakhiyo ka khoon aur peep.Sunan ibn Maja, Jild 3, 258-Sahih
✦ अब्दुल्लाह बिन अम्र रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जो शराब पीए और नशे में मस्त हो जाए तो उसकी नमाज़ चालिस (40) रोज़ तक क़ुबूल नही होगी, और अगर वो उस दौरान मर गया तो दोज़ख़ में जाएगा अगर उसने तौबा कर ली तो अल्लाह क़ुबूल फरमाएगा.
✦ और फिर दोबारा शराब पीए और नशे में मस्त हो जाए तो उसकी नमाज़ चलिस (40) रोज़ तक क़ुबूल नही होगी, और अगर वो उस दौरान मर गया तो दोज़ख़ में जाएगा अगर उसने तौबा कर ली तो अल्लाह क़ुबूल फरमाएगा.
✦ फिर अगर उसने तीसरी बार फिर शराब पी ली तो अल्लाह सुबहानहू उसको क़यामत के दिन
रदगत-अलख़बाल ज़रूर पीलाएँगे सहाबा रदी अल्लाहू अन्हु ने अर्ज़ किया की एह अल्लाह के
रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम रदगत-अलख़बाल क्या चीज़ है, फरमाया दोज़ख़ियो का खून और पीप.सुनन इब्न माजा, जिल्द 3, 258-सही
————–
✦ It was narrated from Abdullah bin Amr that the Messenger of Allah (ﷺ) said Whoever drinks wine and gets drunk, his prayer will not be accepted for forty days, and if he dies he will enter Hell, but if he repents, Allah will accept his repentance. If he drinks wine again and gets drunk, his prayer will not be accepted for forty days, and if he dies he will enter Hell, but if he repents, Allah will accept his repentance.✦ If he drinks wine again and gets drunk, his prayer will not be accepted for forty days, and if he dies he will enter Hell, but if he repents Allah will accept his repentance.
✦ But if he does it again, then Allah will most certainly make him drink of the Radgat-AlKhabal (mire of the puss or sweat) on the Day of Resurrection. They said: O Messenger of Allah, what is the Radgat-AlKhabal (mire of the pus or sweat)? He Sal-Allahu Alaihi wasallam said The drippings of the people of Hell.
Sunan Ibn Maja, Book 30, 3377-Sahih
Allah ki taraf se 10 rahmat aur 10 gunaah maaf aur 10 darjaat buland
✦ Mafhum-e-hadith- Allah ki taraf se 10 rahmat aur 10 gunaah maaf aur 10 darjaat buland
—————————
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo shaksh mujh par Ek martaba Durud bhejega to Allah subhanahu us par 10 martaba rahmat bhejega aur uskey 10 gunaah maaf honge aur 10 darjaat buland honge
Sunan An Nasaii, Jild 1, 1300 -Sahih
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya is din (juma ke din) mujh par ziyada se ziyada durud bheja karo kyunki tumhara durud Parhna mujh par pesh kiya jata hai.
Sunan Abu Dawud, Jild 1,1035-Sahih
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Qayamat ke din mere sabse nazdeek wo log honge jo mujh par zyada durud bhejte hain
Jamia Tirmidhi, Jild 1, 466-Hasan
✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Bakheel wo hai jiske samney mera Zikr ho aur wo mujh par Durud na bhejey
Jamia Tirmidhi, Jild 2, 1469 – Sahih
✦ Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Mujh par Durud bhejtey rahna kyunki tumhara durud mujh tak pahucha diya jata hai chahey tum kisi bhi jagah ho
Sunan Abu Dawud, Jild 2, 274-Sahih
——————————-
Allahumma salli ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa sallaita ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid.
Allahumma baarik ala muhammad wa ala aali muhammad kamaa baarakta ala ibrahima wa ala aali ibrahima innaka hamidum majid
mardo ko sona (gold) pahanna mana hai

Bismillahirrahmanirrahim
✦ Mafhum-e-Hadith: mardo ko sona (gold) pahanna mana hai
——————–
✦ Abu hurairah radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne mujhko(mardo ko) sone ki anguthi pahanne se mana farmaya
Sunan Nasaii, Vol 3, 1487-Sahih
✦ Abu Saeed Khudri Radi allahu anhu se rivayat hai ki Mulk e Najran ka ek shakhs Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hua wo sone ki anguthi pahne huye tha Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne us se apna rukh pher liya aur farma diya ki tum mere paas aag ka shola lekar aaye ho
Sunan Nasaii, Vol 3, 1489-Sahih——————–
✦ अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने मुझको(मर्दो को) सोने की अंगूठी पहनने से मना फरमाया है
सुनन नसाई, जिल्द 3, 1487-सही✦ अबू सईद खुदरी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की मुल्क ए नजरान का एक शख्स रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम की खिदमत में हाज़िर हुआ वो सोने की अंगूठी पहने हुए था आप सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने उस से अपना रुख फेर लिया और फ़रमा दिया की तुम मेरे पास आग का शोला लेकर आए हो
सुनन नसाई, जिल्द 3, 1489-सही
——————–
✦ It was narrated that Abu Hurairah said: The Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam forbade me to wear gold rings.
Sunan Nasaii, Book 48, 5189-Sahih
✦ Abu Sa’eed Al-Khudri Radi allahu anhu narrated that: A man came from Najran to the Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam He was wearing a gold ring, and the Messenger of Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam turned away from him, and said: “You have come to me with a coal of fire on your hand.
Sunan Nasaii, Book 48, Hadith 5191-Hasan
Momeen kabhi Napak nahi ho sakta

Bismillahirrahmanirrahim
Hadith: SubhanAllah , Momeen kabhi Napak nahi ho sakta
Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se Rivayat hai ki Madiney ki ek Gali (street) meri mulaqat Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam se huyee, us waqt mein Janabat ki haalat ( napaki ) mein tha isliye mein peechey rah kar laut gaya , aur Ghusal karkey wapas Aaya, to Rasool-Allah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne daryaft farmaya ki Eh Abu Hurairah kaha chaley gaye they unhoney jawab diya ki Main Janabat (Napaki) ki Haalat mein tha isliye Mainey Aapkey saath bagair Ghusal ke baithna Bura jana Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya SubhanAllah Momeen kabhi Napak ( Najis) nahi ho sakta
Sahih Bukhari, Vol 1, 283
————————————————-
مدینہ کے کسی راستے پر نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم سے ان کی ملاقات ہوئی۔ اس وقت ابوہریرہ رضی اللہ عنہ جنابت کی حالت میں تھے۔ ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے کہا کہ میں پیچھے رہ کر لوٹ گیا اور غسل کر کے واپس آیا۔ تو رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے دریافت فرمایا کہ اے ابوہریرہ! کہاں چلے گئے تھے۔ انہوں نے جواب دیا کہ میں جنابت کی حالت میں تھا۔ اس لیے میں نے آپ صلی اللہ علیہ وسلم کے ساتھ بغیر غسل کے بیٹھنا برا جانا۔ آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے ارشاد فرمایا۔ سبحان اللہ! مومن ہرگز نجس نہیں ہو سکتا۔_______________
Hadith: The “Subhan Allah A believer never becomes impure.”
Narrated Abu Huraira Radhi Allahu Anhu :The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam came across me in one of the streets of Medina and at that time I was Junub ( Impure). So I slipped away from him and went to take a bath. On my return the Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, “O Abu Huraira Radhi Allahu Anhu ! Where have you been?” I replied, “I was Junub, so I disliked to sit in your company.” The Prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said, “Subhan Allah! A believer never becomes impure.”
Sahih Bukhari, Volume 1, Book 5, Number 281


