Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne

al-quran

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jisne
أَسْتَغْفِرُ اللَّهَ الَّذِي لاَ إِلَهَ إِلاَّ هُوَ الْحَىُّ الْقَيُّومُ وَأَتُوبُ إِلَيْهِ
Astaghfirullah Al-lazi la ilaha illa Huwa Al-Hayyul-Qayyum wa atubu ilaih
kaha to uske gunah maaf kar diye jayenge chahe wo Maidan e jung se bhag gaya ho

Tarjuma : Main ALLAH se apne gunaho ki maafi maangta hu jiske siwa koi ibadat ke layaq nahi , Jo zinda aur hamesha rahne wala hai aur main usee ki taraf tauba karta hu )
Sunan Abu Dawud, Vol 1, 1504 -Sahih

✦ Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Eh logo Allah subahanhu se tauba karo, main din mein 100 martaba Allah

subhanahu se tauba karta hu
Sahih Muslim, Vol 6,6859
—————
رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا
جس نے «أستغفر الله الذي لا إله إلا هو الحي القيوم وأتوب إليه» کہا تو اس کے گناہ معاف کر دئیے جائیں گے
اگرچہ وہ میدان جنگ سے بھاگ گیا ہو ۱
سنن ابو داوود جلد ١-١٥٠٤ – صحیح

رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا
ا ے لوگوں الله سبحانه سے توبہ کرو میں دن میں ١٠٠ مرتبہ الله سبحانه سے توبہ کرتا ہوں
صحیح مسلم جلد ٦ ، ٦٨٥٩
—————
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया जिसने
أستغفر الله الذي لا إله إلا هو الحي القيوم وأتوب إليه
अस्तगफिरुल्लाह अल लज़ी ला इलाहा इल्ला हुवा अल हय्युल-कयूम वा अतुबू इलैही कहा तो उसके गुनाह माफ़ कर दिए जायेंगे चाहे वो मैदान ए जंग से भाग गया हो
तर्जुमा : मैं अल्लाह से अपने गुनाहों की माफ़ी मांगता हूँ जिसके सिवा कोई इबादत के लायक नहीं जो जिंदा और हमेशा रहने वाला है और मैं उसी की तरफ तौबा करता हूँ
सुनन अबू दाऊद , जिल्द 1, 1504 -सही

✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया एह लोगो अल्लाह सुबहानहु से तौबा करो, मैं दिन में 100 मर्तबा अल्लाह सुबहानहु से तौबा करता हूँ
सही मुस्लिम, जिल्द 6,68

jisne ye dua Subah ko 3 baar parhi to Shaam tak usko koi nagahani (achanak) museebat nahi pahuchegi

lailahailallah-768x576

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith: jisne ye dua Subah ko 3 baar parhi to Shaam tak usko koi nagahani (achanak) museebat nahi pahuchegi
—————–
✦ Aban bin uthman radi allahu anhu se rivayat hai ki mainey Uthman Radi allahu anhu se suna ki Rasool-Allah Sallallahu Alalihi Wasallam ne farmaya jisne (shaam ko) 3 martaba ye dua parhi

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

✦ Bismillahillazi La yadurru Ma-asmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwa As-Samiul-Alim.
usey subah tak koi nagahani Museebat nahi pahuchegi aur jisney ye dua Subah ko 3 baar parhi to Shaam tak usko koi nagahani (achanak) museebat nahi pahuchegi
Raavi (Hadith rivayat karney waley) kahtey hain ki Aban bin Uthman Radi Allahu Anhuma ko falij(laqwa) ho gaya tha to wo shaksh jisney unsey ye hadith rivayat ki thi wo unhe dekhne laga to Aban ne unse farmaya ki tujhe kya ho gaya hai ki is tarah meri taraf dekhta hai, Allah ki kasam maine na to Uthman radi allahu anhu par aur na Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam par jhoot baandha hai lekin jis roz mujhe ye Falij (laqwa) hua us roz main gusse mein tha aur ye Dua parhna bhul gaya
(Dua tarjumah: Allah ke naam se shuru karta hu jiski naam ki barkat se Zameen aur aasman ki koi cheez nuksan nahi pahucha sakti aur wahi sunney wala aur janney wala hai)
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1647-Sahih

—————–
✦ अबान बिन उसमान रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की मैने उसमान रदी अल्लाहू अन्हु से सुना की रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अललीही वसल्लम ने फरमाया जिसने (शाम को) 3 मर्तबा ये दुआ पढ़ी

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ

✦ बिस्मिल्लहिल्लज़ी ला यदुर्रू मा-असमीही शयउन फील-अर्दी वा ला फिस-समाई , वा हुवा अस समीउल-अलीम

उसे सुबह तक कोई नागहानी (अचानक) मुसीबत नही पहुचेगी और जिसने ये दुआ सुबह को 3 बार पढ़ी तो शाम तक उसको कोई नागहानी (अचानक) मुसीबत नही पहुचेगी
रावी (हदीस रिवायत करने वाले) कहते हैं की अबान बिन उसमान रदी अल्लाहू अन्हु को फलीज़ हो गया था तो वो शख्स जिसने उनसे ये हदीस रिवायत की थी वो उन्हे देखने लगा तो अबान रदी अल्लाहु अन्हु ने उनसे फरमाया की तुझे क्या हो गया है की इस तरह मेरी तरफ देखता है, अल्लाह की कसम मैने ना तो उसमान रदी अल्लाहू अन्हु पर और ना रसूल-अल्लाह सललाल्लाहू अलैही वसल्लम पर झूट बाँधा है लेकिन जिस रोज़ मुझे ये फालीज़ (लकवा) हुआ उस रोज़ मैं गुस्से में था और ये दुआ पढना भूल गया
(दुआ तर्जुमा : अल्लाह के नाम से शुरू करता हू जिसकी नाम की बरकत से ज़मीन और आसमान की कोई चीज़ नुकसान नही पहुंचा सकती और वही सुनने वाला और जानने वाला है)
सुनन अबू दाऊद, जिल्द 3, 1647 -सही

—————-
✦ Aban ibn Uthman Radi Allahu Anhu said: I heard Uthman ibn Affan Radi Allahu Anhu (his father) say: I heard the Messenger of Allah Sallallahu Alaihi Wasallam said: If anyone says three times (in the evening) :

بِسْمِ اللَّهِ الَّذِي لَا يَضُرُّ مَعَ اسْمِهِ شَيْءٌ فِي الْأَرْضِ وَلَا فِي السَّمَاءِ وَهُوَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ
Bismillahillazi La yadurru Maasmihi Shaiun fil-ardi wa La fis-smaaie, Wahuwas Samiul Alim.
he will not suffer sudden affliction till the morning, and if anyone says this in the morning, he will not suffer sudden affliction till the evening.
Aban Radi Allahu Anhu was afflicted by some paralysis and when a man who heard the tradition began to look at him, he said to him: Why are you looking at me? I swear by Allah, I did not tell a lie about Uthman, nor did Uthman tell a lie about the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam , but that day when I was afflicted by it, I became angry and forgot to say them.
(Dua Translation: In the name of Allah, when Whose name is mentioned nothing on Earth or in Heaven can cause harm, and He is the Hearer, the Knower”)
Sunan Abu Dawud, Book 42, 5069-Sahih

Marhum ki taraf se khairat

Allah-Muhammad

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith: Marhum ki taraf se khairat

Umma Aayesha radi allahu anha se rivayat hai ki ek shakhs ne Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam se pucha ki Meri Maa ka achanak inteqal ho gaya aur mera khayal hai ki agar unhein baat karne ka moka milta to wo kuch na kuch khairat karti,agar main unki taraf se kuch khairat karu to kya unhein iska sawab milega ?
Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya , Haan milega.
Sahih Bukhari , Vol 2, 1388
——————————————————–

Narrated Aisha Radi Allahu Anha A man said to the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam “My mother died suddenly and I thought that if she had lived she would have given alms. So, if I give alms now on her behalf, will she get the reward?”The Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam replied, Yes (she will get).
Sahih Bukhari, Volume 2, Book 23, 470

Huzoor ﷺ Jaisa Koi Nahi

hadees-300x300

Hadees
Sahabi e Rasool Hazrate Abu Saeed رضي الله عنه Farmate hai ki Main Masjid e nabawi me Namaz Padh raha tha to Rasoolullah ﷺ ne mujhe pukara maine Namaz ki wajah se jawab nahi diya jab baad me Haazire khidmat hua to Huzoor ﷺ ne Sabab arz kiya main Namaz Padh raha tha Huzoor ﷺ ne farmaya kya Allah Ta’ala ne Quran Shareef me ye nahi farmaya hai Jab Allah wa Rasool bulaye to Jawab do
???? Bukhari Jild 2 Safa 642 & 669

 Sahi Bukhari ki is hadees se waazeh ho gaya ki Namaz padhte waqt kisi baat ka jawab nahi diya ja Sakta aur na kisi ke bulane par Aaya jayega aur aisa karega to Namaz batil ho jayegi lekin Huzoor ﷺ ke bulane par Aana Zaruri hai aur Huzoor ﷺ ki shaan auro ke jaisi nahi hai aur Aapke misl koi Nahi.

 Aur Quraan shareef ki wo Aayat Jo Hazrat Abu Saeed رضي الله عنه ko nasihat farmate Huye Yaad dilayi jiska matlab hai Allah Wa Rasool Bulaye to Fauran Hazir ho jao .
???? Surah Anfaal Para 9 Ruku 17
Isme Allah Ta’ala ne Apne Naam ke sath Huzoor ﷺ ka Naam Milaya hai

Saabit Hua Ke Jumla Faraaiz Furu’a Hai
Aslal Usool Bandagi Us Taajwar Ki Hai

1400 saal pahle Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya

islam-1-300x300

1400 saal pahle Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne jo jo farmaya tha wo ek ke baad ek hota ja raha hai –🏻

1⃣ Zina ziyada hone lagega aur log sharab ziyada peene lagenge-
📚 Sahih Bukhari, Vol 6 , 5231📚
2⃣Mard kam ho jayenge aur aurton ki taadad ziyada ho jayegi, Haalat ye ho jayegi ki 50 aurton ko sanbhalne (khabar lene) wala ek mard hoga
📚Sahih Bukhari, Vol 6 , 5231📚
3⃣Aalam mein fasad phail jayega aur dilon mein bakhili dali jayegi (log zakat aur khairat na denge) aur harj bahut hoga logo ne kaha Ya Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam harj kya hai Aapne farmaya Qatl
📚Sahih Muslim, Vol 6, 6792📚
4⃣Dusri Qaumein tum par aisee tut parhegi jaisa bhuka khaney par tut parhta hai –
📚 Sunan Abu Dawud, Volume 3, #892📚
5⃣Qayamat se pahle meri ummat ke kayee qabile mushriko ke saath milkar buto ki puja karne lag jayenge
📚Jamia Tirmidhi, Vol 2, 98-Sahih📚
6⃣ Meri ummat mein aisey burey log paida ho jayenegy jo Zina kari, resham ke pahanney , sharab peene aur gaaaney bajane ko halal bana lenge
📚Sahih Bukhari, Vol7, 5590📚