
“Hazrat ‘Irbad Bin Sariyah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Marwi Hai Woh Bayaan Karte Hain Ki Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Be Shak Mein Allah Ta’ala Ke Haa’n Lauhe Mahfooz Me Us Waqt Bhi Aakhiri Nabi Tha Jab Ki Aadam عَلَيْهِ السَّلَام Abhi Apni Mitti Me Gundhe Hu’e (Marhala-e Khilqat Me) They. Mein Tumhe’n Is Kee Tafseel Bataata Hoo’n Ki Mein Apne Jadde Amjad Ibrahim عَلَيْهِ السَّلَام Kee Du’aa Hoo’n Jo Unhone Maangi :﴾Ae Hamaare Rabb! Un Me, Unhi Me Se (Woh Aakhiri Aur Barguzida) Rasool (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Mab’ooth Farma.﴿Aur Mein ‘Isa Bin Maryam عَلَيْهِمَا السَلَام Kee Bashaarat Hoo’n. Unhone Kaha : ﴾Aur Us Rasoole (Mu’azzam صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Aamad Aamad) Kee Bashaarat Suna Ne Waala Hoo’n Jo Mere Baa’d Tashrif Laa Rahe Hain Jin Ka Naam (Aasmaano’n Me Is Waqt) Ahmad (صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم) Hai.﴿Aur Mein Apni Waalida Ka Khaab Hoo’n Jo Unhone Dekha Ki Unhone Ek Aise Noor Ko Janm Diya Hai Jis Se Shaam Ke Mahallaat Bhi Raushan Ho Ga’e.”
Ise Imam Ibn Hibban, Tabarani, Aboo Nu’aym, Hakim Aur Ibn Sa’d Ne Riwaayat Kiya Hai. Imam Haythami Ne Farmaya : Imam Ahmad Kee Ek Sanad Ke Rijaal Sahih Hadith ke Rijaal Hain Siwaae Sa’iyd Bin Suwayd Ke, Unhe’n Imam Ibn Hibban Ne Thiqah Qaraar Diya Hai.
–
[Ibn Hibban Fi As-Sahih,14/312, Raqm-6404,
Tabarani Fi Al-Mu’jam-ul-Kabir, 18/253, Raqm-631,
Aboo Nu’aym Fi Hilyat-ul-Awliya’ Wa Tabaqat-ul-Asfiya’, 06/40,
Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/17,
Hakim Fi Al-Mustadrak, 02/656, Raqm-4174,
Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/149,
Asqalani Fi Fat’h-ul-Bari Sharh Sahih Al-Bukhari, 06/583,
Tabari Fi Jami’-ul-Bayan Fi Tafsir Al-Qur’an, 06/583,
Ibn Kathir Fi Tafsir Al-Qr’an Al-Azim, 01/185,
Ibn Kathir Fi Al-Bidayah Wa An-Nihayah, 02/321,
Haythami Fi Mawarid Al-Zam’an Ila Zawa’id Ibn Habban, 01/512, Raqm-2093,
Haythami Fi Majma’-uz-Zawa’id Wa Manba’-ul-Fawa’id, 08/223,
Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/68_69, Raqm-30.]