
Ibrahim Alaihissalam ki Mitti!
“Hazrat Ibne Buraida Apne Walid se ek taweel riwayat me byan karte hain ke Huzoor Nabi-e-Akram SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya: Unlogo ka kya hoga jo Ali ki Shaan me gustakhi karte hain! (Jaan lo) jo Ali ki gustakhi karta hai wo Meri gustakhi karta hai aur jo Ali se juda hua wo Mujhse juda hogaya. Beshak Ali Mujhse hai aur Mai Ali se hun, Uski Takhleeq Meri Mitti se hui hai aur Meri Takhleeq Ibrahim ki Mitti se, aur Mai Ibrahim se Afzal Hun. Hum me se baaz, baaz ki aulad hain, Allah Ta’ala ye saari baate Sunne aur Jaan ne Wala hai.—–Wo Mere baad tum sabka Wali hai. (Buraida bayan karte hain ke) Maine kaha: Ya RasoolAllah! Kuch waqt inayat farmaen aur Apna Haath badhaaen, Mai Tajdeed-e-Islam ki Baiyat karna chahta hun, (aur) Mai Aap SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam se juda na hua yahan tak ke maine Islam par (dobara) baiyat karli.”
Tabrani, Mujam al Awsat, 6/162,163, #2085
Haysami, Majma uz Zawaid, 9/128
[Kanzul Mattalib fee Manaqib Ali Ibne Abi Talib Alaihi-mussalam: Dr. Tahir-ul-Qadri]