Hadith : Jo Shaksh apni biwi ke dabar (anus) mein jamaah (intercourse) karey wo mal-oon (laanat kiya gaya) hai

quran-e-kareem-768x461

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Hadith : Jo Shaksh apni biwi ke dabar (anus) mein jamaah (intercourse) karey wo mal-oon (laanat kiya gaya) hai
——–
✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Jo Shaksh apni biwi ke dabar (anus) mein jamaah (intercourse) karey wo mal-oon (laanat kiya gaya) hai
Sunan Abu Dawud, Vol 2, 395 – Hasan

✦ Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah subhanahu us mard ki taraf rahmat ki nazar se nahi dekhtey jo apni biwi ke peechey ki raah ( yani anus mein) mein sohbat (jamaah ya inyetcourse) karey
Sunan ibn Majah, , Vol 2, 80-Sahih

✦ Khuzaimah bin Thabit Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah subhanahu haq baat kahney se haya nahi farmata, aurto se unkey peechey (anus) ki janib se jamah (intercourse) na karo .
Sunan ibn Majah, , Vol 2, 81-Sahih

✦ Jaber Radi Allahu Anhu ne farmaya ki yahudi kaha kartey they jo shaksh aurta ki aage ki raah (sharmgah) mein peeche ki janib se sohbat (jamaa) karega to uska bachcha bhenga (crosss-eyed) paida hoga is par Allah subhanahu ne ye aayat nazil farmayee “Tumhari biwiyan tumhare liye khetiyan hain isliye tum apni kheti mein jaisey chahey jao-2:223”
Sunan ibn Majah, , Vol 2, 82-Sahih

✦ Al Quran : Tumhari biwiyan tumhare liye khetiyan hain isliye tum apni kheti mein jaise chahe jao.
Surah Al-Baqarah (2), 223

✦ (Tafseer : Aurat ki aage ki janib (sharmgah) mein kisi bhi tarah se jama kiya ja sakta hai magar peeche (anus mein) jamah karna shariyat mein jayaz nahi hai)

Hadith: jo koi ALLAH aur aakhirat par yakeen rakhta ho wo apne Padosi ko takleef na pahuchaye

Beautiful-Muhammad-PBUH-Wallpaper

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: jo koi ALLAH aur aakhirat par yakeen rakhta ho wo apne Padosi ko takleef na pahuchaye

Abu Hurairah Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo koi ALLAH aur aakhirat par yakeen rakhta ho wo apne Padosi ko takleef na pahuchaye, jo koi ALLAH aur aakhirat par yakeen rakhta ho wo apne mehman ki ezzat karey, aur jo koi ALLAH aur aakhirat par yakeen rakhta ho wo Achchi baat zuban se nikale warna khamosh rahey.
Sahih Bukhari, Vol 7, 6018
————————————-

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu: ALLAH’s Apostle said Sal-Allahu Alaihi Wasallam, “Anybody who believes in ALLAH and the Last Day should not harm his neighbor, and anybody who believes in ALLAH and the Last Day should entertain his guest generously and anybody who believes in ALLAH and the Last Day should talk what is good or keep quiet. (i.e. abstain from all kinds of evil and dirty talk).
Sahih Bukhari, Vol 8, Book 73, No. 47

Badey gunah (Kabira Gunah)

Seven-Qualities-that-Allah-Loves-300x300

Bismillahirrahmanirrahim
———
✦ Badey gunah (Kabira Gunah)
———
✦ Al Quran: Agar tum Un Bade Gunahon se bachoge jinse tumhe mana kiya gaya to hum tumhare (chote) gunaah maaf kar denge aur tumhey Ezzat ke Maqam mein dakhil karenge
Surah An-Nisa (4) Aayah 31

✦ Al Quran : Aap se Sharaab aur juye (gambling) ke bare mein puchte hain kah do inmein bada gunaah hai aur logon ke liye kuch fayde bhi hain magar unka Gunah unke fayde se bahut bada hai
Surah Al-Baqara, (2), Verse 219

✦ Al Quran : Aur Yateemo ko unke maal de do aur napak ko paak se na badlo aur un ke maal apne maal ke saath mila kar kha na jaya karo , ye bada gunah hai
Surah An-Nisa , Aayat 2

✦ Anas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam se badey (kabira) gunahon ke baare mein pucha gaya to Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya
1. ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna, 2. Waaldein ki nafarmani karna,
3. Kisi ki (nahaq) jaan lena ,4. aur Jhooti gawahi dena.
Sahih Bukhari, Vol 4,2653

✦ Abdulllah bin Umar Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya yakeenan kabira gunaho mein se ye bhi hai ki koi apney waldein par laanat bhejey (logo ne pucha) ki Ya Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam koi shakhsh apney hi waldein par laanat kaisey bhejega to Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jab koi shakhs dusro ke walid ko bura kahaega to dusra bhi uskey walid aur maa ko bura kahega (aur is tarah wo kabira gunaah kar dega)
Sahih Bukhari,Vol 7, 5973

✦ Abdullah bin Mas’ud Radhi Allahu Anhu se rivayat hai ki maine pucha ya Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam kaunsa gunaah sabse bada hai?
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ALLAH ke saath kisi ko Sharik karna halanki usi ne tumhe paida kiya ha.,
maine pucha iske baad ? ,
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Apni Aulad ko is khauff se maar dena ki wo tumhare saath tumhare khane mein sharik hogi.
maine pucha uske baad ?
Aap Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki apne padosi ki biwi se zina karna.
Sahih Bukhari, Vol8, 6811

Hazrat Maaz Bin Jabal Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu

islamic-blog-768x576

HADEES
*********
Hazrat Maaz Bin Jabal Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Se Riwayat Hain! Jab
Banda-A-Momin Kisi Bimaari May Mubtala Hojata Hain To Uske Bayen Shane Wale
Farishte Se Kaha Jata Hain Ki Uske Gunahon Ko Likhna Bandh Kardo! Dayen
Shane Wale Se Kaha Jata Hain Uske Naam-A-Aamaal May Wo Behtarin Nekiyan
Likho Jo Usse Sarjadh Hui Hain!

Hadees Sharif May Hain, Jab Koi Banda Bimaar Hojata Hain To ALLAH-TA’AALA
Uski Taraf 2 Farishte Bhejta Hain Ki Jaaker Dekho Mera Banda Kya Kehta
Hain? Agar Bimaar Al-Hamdulillah Kehta Hain To Farishte ALLAH Ki Bargah May
Jaaker Uska Qaul Arz Karte Hain, ALLAH Ka Irshad Hota Hain Agar Maine Us
Banda Ko Us Bimaari May Maut De Di To Use Jannat May Dakhil Karuga Aur Agar
Sehat Ata Ki To Use Pehle Se Bhi Behter Parwarish Karne Wala Gosht Aur
Khoon Duga Aur Uske Gunahon Ko Muaf kerduga!

(Mukashfatul Kulub pg-48/49)

Mafhum-e-Hadith : Ghar mein dakhil hote waqt Allah ka naam liya karo yani Bismillah padha karo

best_islamic_wallpaper_for_mobile_top_hd-800x600-600x450

Bismillahirrahmanirrahim

Mafhum-e-Hadith : Ghar mein dakhil hote waqt Allah ka naam liya karo yani Bismillah padha karo
———
✦ Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi wasallam ne farmaya jab aadmi apne ghar mein jata hai aur ghar mein dakhil hote waqt aur khate waqt Allah Subhanahu ka naam leta hai to shaitan kahta hai yaha na tumhare rahne ka thikana hai aur na khane ka.
Aur jab ghar mein ghuste waqt Allah ka naam nahi leta to shaitan kahta hai tumhare rahne ka thikana mil gaya aur jab khate waqt bhi Allah ka naam nahi leta hai to shaitan kahta hai tumhare rahne ka bhi thikana mil gaya aur tumhare khane ka bhi
Sahih Muslim, Jild 5, 5262
———
✦ जाबिर बिन अब्दुल्लाह रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फ़रमाया जब आदमी अपने घर में जाता है और घर में घुसते वक़्त और खाते वक़्त अल्लाह का नाम लेता है तो शैतान कहता है यहाँ ना तुम्हारे रहने का ठिकाना और ना खाने का और जब घर में घुसते वक़्त अल्लाह का नाम नही लेता तो शैतान कहता है तुम्हारे रहने का ठिकाना मिल गया और जब खाते वक़्त भी अल्लाह का नाम नही लेता है तो शैतान कहता है तुम्हारे रहने का भी ठिकाना मिल गया और तुम्हारे खाने का भी
सही मुस्लिम, जिल्द 5, 5262
———
✦ Jabir bin Abdullah Radi Allahu Anhu reported Allah’s Messenger (ﷺ) as saying:
When a person enters his house and mentions the name of Allah at the time of entering it and while eating the food, Satan says (addressing himself: You have no place to spend the night and no evening meal; but when he enters without mentioning the name of Allah, the Satan says: You have found a place to spend the night, and when he does not mention the name of Allah while eating food, he (the Satan) says: You have found a place to spend the night and evening meal.
Sahih Muslim, Book 23, 5006