Bismillahirrahmanirrahim
*Hadith: ( jo rozedar ho) wo na to biwi se humbistari kare aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare*
—————————-
Abu Huraira radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Roza Dojakh se bachney ke liye ek dhaal hai isliye ( jo rozedar ho) wo na to biwi se hambistari karey aur na fahash (buri) aur jahalat ki batein kare aur agar koi shaksh us sey ladey ya usey gaali de to uska jawab sirf ye kahna chaahiye ki main Rozedar hun do baar (kahey) , us zaat ki kasam jiskey haath mein meri jaan hai Rozedar ke munh ki Bu Allah ke nazdeek musk ki khushbu se bhi jiyada pasandeeda aur pakeeza hai ( Allah taala farmata hai) banda apna khana peena aur apni Shahwat meri liye chodta hai Roza mere liye hai aur main hi iska badla dunga aur nekiyon ka sawab bhi asal neki ke 10 guna hota hai
Sahih Bukhari, Vol 3, 1894
—————————-
ابوہریرہ رضی اللہ عنہ نے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا روزہ دوزخ سے بچنے کے لیے ایک ڈھال ہے اس لیے ( روزہ دار ) نہ فحش باتیں کرے اور نہ جہالت کی باتیں اور اگر کوئی شخص اس سے لڑے یا اسے گالی دے تو اس کا جواب صرف یہ ہونا چاہئے کہ میں روزہ دار ہوں ، ( یہ الفاظ ) دو مرتبہ ( کہہ دے ) اس ذات کی قسم ! جس کے ہاتھ میں میری جان ہے روزہ دار کے منہ کی بو اللہ کے نزدیک کستوری کی خوشبو سے بھی زیادہ پسندیدہ اور پاکیزہ ہے ، ( اللہ تعالیٰ فرماتا ہے ) بندہ اپنا کھانا پینا اور اپنی شہوت میرے لیے چھوڑ دیتا ہے ، روزہ میرے لیے ہے اور میں ہی اس کا بدلہ دوں گا اور ( دوسری ) نیکیوں کا ثواب بھی اصل نیکی کے دس گنا ہوتا ہے
صحیح بخاری ، جلد 3 ، 1894
—————–
अबू हुरैरा रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सललल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया रोज़ा दोजख से बचने के लिए एक ढाल है इसलिए ( जो रोज़ेदर हो) वो ना तो बीवी से हमबिस्तरी करे और ना फ़हाश (बुरी) और जहलत की बातें करे और अगर कोई शख्स उस से लड़े या उसे गाली दे तो उसका जवाब सिर्फ़ ये कहना चाहिए की मैं रोज़ेदर हूँ दो बार (कहे) , उस ज़ात की कसम जिसके हाथ में मेरी जान है रोज़ेदर के मुँह की बू अल्लाह के नज़दीक मस्क की खुश्बू से भी ज़्यादा पसंदीदा और पाकीज़ा है ( अल्लाह सुबहानहु फरमाता है) बंदा अपना खाना पीना और अपनी शहवात मेरी लिए छोड़ता है रोज़ा मेरे लिए है और मैं ही इसका बदला दूँगा और नेकियों का सवाब भी असल नेकी के 10 गुना होता है
सही बुखारी , जिल्द 3, 1894
Month: December 2019
Dua ke siwa taqdeer ko koi cheez lauta nahi sakti
Bismillahirrhamanirrahim
*✦ Hadith : Dua ke siwa taqdeer ko koi cheez lauta nahi sakti,*
————–
✦ Salman farsi Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu alaihi wasallam ne farmaya Dua ke siwa taqdeer ko koi cheez lauta nahi sakti, Aur neki ke siwa koi cheez umar mein ezafa nahi kar sakti
Al-Silsila As-Sahiha , 2992-Hasan
Tabrani Dua, Hadith 26-Hasan
————–
سلمان فارسی رضی اللہ عنه سے روایت ہے کی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا
دعا کے علاوہ تقدیر کو کوئی چیز نہیں لوٹا سکتی، اور نیکی کے سوا کوئی چیز عمر میں اضافہ نہیں کر سکتی
السلسلہ صحیحہ حدیث ٢٩٩٢ حسن
طبرانی دعا ٢٦ حسن
————–
✦ सलमान फ़ारसी रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया दुआ के सिवा तक़दीर को कोई चीज़ लौटा नही सकती, और नेकी के सिवा कोई चीज़ उमर में इज़ाफ़ा नही कर सकती
अल-सिलसिला सहिहा , 2992-हसन
तबरानी दुआ , हदीस 26-हसन
————–
✦ Salman farsi radi Allahu anhu narrated that the Messenger of Allah Sal-Allahu alaihi wasallam said:
Nothing turns back the Decree except supplication, and nothing increases the life-span except righteousness.
Al-Silsila As-Sahiha , 2992
Tabrani, 26-Hasan
Salam “Quran-o-Hadees” Ki Raoshni Me
Assalamu’alaikum warahmatullahi wabarakatuh
السَّلاَمُ عَلَيْكُمْ وَرَحْمَةُ اللهِ وَبَرَكَاتُهُ
May the peace, mercy, and blessings of Allah be with you
************{ Salam “Quran-o-Hadees” Ki Raoshni Me }************
Shuru Allah k Naam se: Aur jub Tumhen Salam kiya Jaye to tum usse Accha jawab do ya onhi Alfaz ko Loutado, Beshak Allah tala har cheez ka Hisab lene wala hai.(Surah:Al-Nisa, Surah No:4, Aayat No:86)
Shuru Allah k Naam se: Aye Iman Walon! Apne Gharon k Siwa Aur Gharon me Na Jao Jub tak k Ijazat Na le lo Aur Wahan k Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi Tumhare Liye sara sar Bahter hai ta k Tum Nasihat Hasil Karo. Agar wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na Jao, Aur Agar Tum se Lout jane ko Kaha Jaye to tum Laout hi Jao, Yahi Baat tumhare liye Pakiza Hai Jo kuch tum Karrahe ho Allah Tala Khoob Janta hai.(Surah:Al-Noor, Surah No:24, Aayat No:27-28)
*Salaam Karna Sunnat Hai.*Aur Salaam ka Jawab Dena Wajib Hai.
Salaam Karne se na Sirf Muhabbat me Izafa Hota Hai Bal k Allah Ne Is me Ajr Aur Sawab Bhi Rakha Hai.
*Aik martaba aik sahabi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat me Tashreef laye to kaha ” Assalamu Alaikum” Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un ke Salam ka Jawab diya Aur kaha 10. Aur us k Baad doosre Sahabi Aaye aur kaha ” Assalamu Alaikum warahmatullah” Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne un k Salam ka Jawab diya aur kaha 20. Phir teesre Sahabi Aaye aur Salam arz kiya ” Assalamu Alaikum warahmatullahi wabarakatuh ” Aap Sallallahu Alaihi wasallam ne un k Salam ka Jawab diya Aur kaha 30.(Abudaood). (yani k har izafe salam k sath 10 naikiyo ka izafa).
Rasoolallah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya! “Afshus Salama Bainakum” “Aapas me Salam ko Phlao”.(sahi muslim)
Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Hadees hai, us me aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne Farmaya: “ Tum us waqt tak jannat me Nahi jaoge Jub tak Iman Nahi Laoge Aur tum us waqt tak momin Nahi ho sakte Jub tak Aik doosre se Muhabbat na Karo, Kya Mai Tumhen Aisi Cheez na Batao k jub Tum use Apnalo ge to Aapas me Muhabbat karne Lagoge, (wo ye hai k) Aapas me Salam Pahlao”.(Bukhari)*Salaam k Adab Me ye Bhi hai k Chota bade ko , Guzarne wale Baithne wale ko, Choti Jmaat badi Jamaat ko , Aur Sawaar paidal chalne wale ko Salaam kare (Bukhari) .
* Ghar me Dakhil hote huwe Bhi Ghar walon ko Salaam karo.(Bukhari).
* Jub Majlis se uth kar Jane lage to Salaam kare.(Tirmizi).
*Jub baat shuru karen to Allah k Nabi ki Hadees hai (Assalamu Qablal Kalaam) Yani k Baat karne se pahle Salam kiya karo. Aur Baat k khatam per bhi Salaam kar kar Roqsat ho.
* Salam Jisse Pahchante ho Aur Jise nahi Pahchante ho Har Musalman ko Kiya jaye.
* Yahudo Nasara ko Salam karne me Pahel na ki jaye, Un k Salam k Jawab me Sirf “Waalikum” Kaha jaye.
* Do Roothe huwe dost, Rishte daar aur Bhai bahen, in me se jo Salam me Pahel kare ga wo Fazilat ka Mustahiq Hoga.
* Salam k liye Assalamu Alaikum k Alfaz ki Jage, Aadab Arz, Namashte, Hi, Good Morning, Wagera k Alfaz Qata’an Istemal na kiye jaye, Jo Manuwi jamiyat, wusa’at Aur Gaihrai Islam k Batlaye huwe Alfaz me hai wo kisi aur Alfaz me Nahi, Na us me koi Ajr-o-Sawab hai, Balke Gunah ka Bais Hai.
*Aur aik Hadees me Aaya hai k Qayamat ki Alamaton me se ye Aik Alamat hai k log Salaam karenge sunnat samajh kar nahi Apni Pahchan badhane k liye.Allah Hifazat Farmaye. Aameen. Allah Tala Hum Sub ko In Baton per Amal Karne ki Toufeeq Ata Farmaye Aameen.
Science ko Rabne banaya he Apne Auliya ki Roohniyat ke Saboot keliye!
Science ko Rabne banaya he Apne Auliya ki Roohniyat ke Saboot keliye!”Aapne dekha ke aaj log Xray karwaate hain. Xray kya karta hai? Ye aapka jism hai aur wo aapke jism ke andar ki tasweer leta hai. Aapki nangi aankh phepdo (lungs) ko dekhti hai? Xray ki machine dekh leti hai! Aapki nangi aankh phepdo ko reed ki haddi ko nahi dekhti. Magar Xray ki machine na sirf dekhti hai balke uski tasweer bhi khinch leti hai. Camera le len aur photo khinche to usme phepdo ki tasweer aayegi? To pata chala camera me itni takat nahi. Ab takat-takat ka fark bata raha hun! Log kehte hain fark kya hai hum sab ek jaise hain, nadaan tu ek jaisa kaise hosakta hai machiney ek jaisi nahi hoti, insan ek jaise kaise hosakte hain? Insan bhi machine hai!Camera phepdo ki tasweer nahi khenchta, xray ki machine khenchti hai! Samjh aagayi na? Ab aage chale! Jism ke andar aur kuch aisi chizen hai dimak me reed me, haddi me, aaza me jinko xray ki machine bhi nahi desakti! Isse upar ki takat chahiye, uske liye City Scanning hoti hai! Koi machine me Abdaal hai, ab koi machine me Qutub hogaya! Jahan Abdaal ki nazar xray ki machine ki nahi pahunchi waha Qutub ki pahunchgayi wo City Scanning hogayi! Jo xray ki machine se bhi poshida tha, uske samne bhi parde uthe usne uska bhi Kashf karliya! Aur city scanning me wo kuch aagaya, wo hota to xray he hai magar wo kuch nazar aajata hai ke rago ke andar jo khoon chal raha hai wo bhi aajata hai! Jo xray nahi bata saka tha, city scanning ne wo bhi dikha diya! Ye Qutub tak pahunch gaya!Ab science ne aur tarakki ki to pata chala ke kuch chize isse bhi aage hain jo city scanning me bhi malum nahi hote. Bada barik aur minute study, uske liye Magnets ke asar se ek nayi machine ijaad hogayi usko MRI kehte hain. Wo Magnetic Resonance ka process hai wo aakhri hadh hai ke jisko city scanning nahi dekh saki aur aakhri jo parde rehgaye they MRI ne unko bhi utha diya! Ye Magnetic ke baab ka Gaus ban gaya! Isko saare Kashf hogaye aur saare parde ispar uthgaye!Ab boliye maine 4 chizen bayan ki, kya wo chaaro chizen barabar hain? Camera aur xray barabar hain? xray aur city scanning barabar hai? City Scanning aur MRI barabar hai? Ay nadaan insan! tere haath ki bani hui chizen barabar nahi to tu kaise barabar hogaya?Isliye logo, insano me bhi kisiki nigah camere ke darje par hai, kisiki nigah xray ke martabe par ja pahunchi, kuch wo hain jinki nigah city scanning ke martabey par chali gayi! Aur kuch wo hain jo MRI ke darje par chale gaye! Jisne jitni Riyazat ki utne parde uthte chale gaye! Jisne jitna Mujahda kiya utne hijabat uthte chale gaye, Darje Roohaniyat ke uthte chale gaye! Jab banda Gaus ke Muqaam par pahuncha, Arsh se Farsh tak saare parde utha diye jaate hain!Yaha to bina (aankh waale) bhi barabar nahi hain! Yahan to dekhne waale bhi barabar nahi aur nadaan tu nabina aur biney ko barabar karraha hai?Ek ek nuqta science ka, mai to samjhta hun ke science Rab ne banayi he Apne Waliyo ke Roohaniyat ke Saboot keliye aur Apne Nabiyo ke Mojzaat ke Saboot keliye! Science bani he isliye hai!
SCIENCE ISLAM KI NAUKAR HAI.Ek Super electric magnet hota hai, uska tarika ye hai ke masalan ek taar leli lohe ki ya jis chiz ko bhi magnet banana uski ek taar leke usko thanda karne lagte hain, thanda karte karte karte uska temperature itne niche leaate hain itne niche leaate hain ke -269 degree Celsius tak lejaate hain! Agar temperature 0 hojaye to paani jam jaata hai barf ban jaata hai. Is 0 se 269 decrees niche jakar Super Electric Magnet banta hai! Yaani jo baat samjhana chahta hun 2 nuqte hain khaas, ek to usko itna thanda kardete hain ke uske andar koi tapash ya heat nahi rehne dete! Itna Thanda karte hain! Jitna thanda hota hai, jitni tapash khatam hoti hai, utna Electric Super Magnet banta hai! Ek ye aur dusra nuqta ye ke usko thanda karkarke wo bijli ke raaste me jo muzahmat hoti hai, resistance, us resistance ko mita dete hain! Usme koi resistance nahi rehti to wo Superconductor aur Super electromagnet banta hai!Ab Aulia ka Nizaam kya hai! Thanda karne ka matlab (Surah Aale Imran Aayat 134) “Wal Kaziminal Gaiz wal Aafina Aninnaas” “Gusse ko zabt karne waale, logo ko unki galtiyo par darguzar karne waale….” Tapash nahi rehne dete, gurur ki tapash nikaal dete hain, takabbur ki tapash nikaaldete hain, raunat ki tapash nikaal dete hain, hasad ki tapash nikaal dete hain, gusse ki tapash nikaal dete hain, bugz adawat aur kiney ki tapash, ye sab kuch nikaal dete hain! Thanda karte hain apne nafs ko! Jo nafs ka coil hai isko Aulia thanda karte hain!Ek fakeer tha kutia banake baitha tha aur Wali hone ka dawa karta tha Wilayat ka Fakeeri ka. Ek shakhs aaya aur usne us fakeer ka imtehaan lena chaha ke dekhe to sahi ye fakeer kaisa hai, fakeer hai bhi ya nahi! Usko puchta hai Ay fakeer paani de. Usne kaha mere paas nahi hai. Usne kaha nahi thodasa dedo. Usne kaha bhai nahi hai mere paas bataya jo hai. Usne kaha 2 ghunt he dedo. Usne kaha baat samjhme nahi aati? thappad maaru? tumhe bataya na nahi hai mere paas dafa hoja yahase. Unse kaha nahi badi meharbani 2-4 ghunt he dedo! Khada hogaya fakeer aankhe surkh hogayi aur kaha ab manga to tumhara sar phod dunga! aur usne apni laathi uthali. Us shakhs ne fir kaha nahi Khuda keliye thodasa paani dedo! Wo aag ki tarah surkh hogaya, laathi uthayi aur uske piche dauda aur gaaliya dene laga. To wo shakhs ruk gaya aur usne kaha:
Itni aag bhari padi hai tumhare andar aur dawa fakeeri ka karta hai! Itni he baat ki na maine ke 5-6 martaba sirf paani manga, itni baat pe aag dekh kitni nikli hai tere andar se!
Arey Fakeer us waqt tak nahi banta jab tak saari aag nikaal na de!”-Shaykh-ul-Islam Dr. Tahir-ul-QadriAllahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Baarik wa Sallim.
मक्का का पहलवान

एक मर्तबा हज़रत मुहम्मद मुस्तफ़ा ﷺ को किसी ने सवाल किया
कब तक हम कमज़ोरों को दावत देते रहोगे…. मक्का का जो पहलवान है उसको दावत क्यों नही देते…..?
मक्का का पहलवान जिनका नाम था रुकाना बहुत जबरदस्त पहलवान था…!
रुकाना के बारे में लिखा है वह इतने ज़बरदस्त पहलवान थे अगर एक जगह बैठ जाते तो 40 आदमी मिल कर भी उनको उठा नही सकते थे।
किसी ने आकर कहा कब तक हम कमज़ोरों को दावत देते रहोगे अगर आप पैगम्बर इस्लाम हैं आप का दिन सच्चा है अगर आप नबी है तो रुकाना को जा कर दावत दो ….!
हमारे नबी ए करीम मुहम्मद मुस्तफ़ा ﷺ मक्का में रुकाना के दरवाज़े पर गए दरवाज़ा खटखटाया अंदर से रुकाना ने पूछा कौन……! आप ﷺ ने फरमाया मै मुहम्मद मै अल्लाह का रसूल हुँ। एक बार कलमा पढ़ले तू कामयाब हो जाएगा …!
वह तो पहलवान बोला कलमा पढू. …? ना ना कलमा नही पढूंगा मैं तो अपनी ताकत के बलबूते पर जीता हुँ मैं कलमा नही पढूंगा।
नबी ने बहुत समझाया तो रुकाना बोला अगर तुम नबी हो तो कुश्ती का एक मुक़ाबला हो जाये। अगर मैं तुझे पछाड़ दूँ तो तू मेरी तरह बन जाना अगर तू मुझे पछाड दे तो मैं कलमा पढ़ लूँगा…!
आप मुहम्मद मुस्तफ़ा ﷺ ने फरमाया मुझे यह भी मंज़ूर है।
इस बहाने कम अज़ कम मेरा उम्मती जहन्नम से आज़ाद तो हो जाएगा।
जब रुकाना ने देखा अच्छा मैं मक्का का पहलवान और यह मुझे चैलेंज दे रहा तो रुकाना ने कहा अभी नही अभी नही अब तो मैदान में मुक़ाबला होगा और सारे लोग जमा होंगे।
चुनांचे ऐलान हुआ सारा मक्का जमा हो गया पूरा मैदान खचाखच भर गया।
आप मुहम्मद मुस्तफ़ा ﷺ ने रुकाना से कहा ए रुकाना अब यह मुक़ाबला शुरू होगा …
रुकाना ने कहा मुक़ाबला तो करेंगे पहले यह बताओ आप मुझपे पहले हमला करेंगे या पहले मैं हमला करूँगा….
नबीए करीम मुहम्मद मुस्तफ़ा ﷺ की आंखों में आंसू आ गए फ़रमाया ना मैं
तुझ-पे हमला नही करूँगा, कोई नबी अपने उम्मती पे हमला नही किया करता… [सुब्हान अल्लाह]
इस लिए तू मुझपे हमला करले मैं उसके लिए तैयार हूं …!
अब वह रुकाना तो रुकाना पहलवान थे सारा मक्का उनके साँथ मे था सारे मर्द और सारी औरतो ने उसके नाम की आवाजे लगाई वो रुकाना दौड़ता दौड़ता आया करीब था के हमारे नबी-ए-करीम पर हमला करता..!!
जैसे ही उछला नबी ने रहमत वाले हाँथों को फैला दिया वह उछल कर नबी ए करीम मुहम्मद मुस्तफ़ा ﷺ की गौद में आ गया..
हमारे नबी-ए-करीम हज़रत मुहम्मद मुस्तफ़ा ﷺ ने बड़े मुहब्बत से उसे ज़मीन पर रखा… ले रुकाना तू हार गया और में जीत गया..
वह रुकाना चकरा गया के यह क्या हुआ अचानक रुकाना कहता है.. ऐ-मुहम्मद यह मेरी समझ मे नही आया मुझको एक और चांस दे-दो ना इसलिए के मैने हज़ारो कुश्तिया लड़ी लेकिन :- ऐसी कुश्ती तो मैने आज तक नही लड़ी …..
नबी ए करीम मुहम्मद मुस्तफ़ा ﷺ ने फरमाया
रुकाना जा तुझे दूसरा मौका भी देता हूं ..
रुकाना फिर दौड़ते-दौड़ते आये
फिर उछले नबी ने रहमत वाले हाँथों को फिर से फैलाया रुकाना उछल के गौद में आ गए हमारे नबी-ए-करीम ﷺ ने फिर से मुहब्बत से ज़मीन पर रख दिया। और फ़रमाया रुकाना तू फिर हार गया में जीत गया ..!
रुकाना ने फिर कहा नही समझ के सब बाहर है एक और चांस आखरी चांस।
जब तीसरी बार रुकाना आये हमारे नबी ए करीम मुहम्मद मुस्तफ़ा ﷺ ने इसी तरह अपने मुबारक हाँथो को रखा रुकाना उछले और उछलने के बाद नबी की गोद में, नबी ने बड़े मुहब्बत से ज़मीन पर रखा।
हज़रत रुकाना को ज़मीन पर रखना था रुकाना ने ऐलान फ़रमाया….
अशहदुअल्लाह इल्लाह इल्लल्लाह व अशहदु अन्ना मुहम्मदर रसूलुल्लाह
अब सारा मक्का रुकाना को कहने लगा
नाम डूबा दिया मिट्टी में मिला दिया
कलमा पढ़ लिया तूने तू मक्के का पहलवान तू मक्के का जांबाज़ तू मक्के का इतना बहादुर और तूने कलमा पढ़ लिया।
रुकाना ने फरमाया ए मक्का वालो मैने कलमा इस लिए नही पढ़ा के में कुश्ती में तीन बार हार गया …
मैने तो इसलिए कलमा पढ़ा के बहुत कुश्तिया लड़ा हु बड़े बड़े मैदानों में गया हूं लेकिन:- हमारा यह दस्तूर है…
जब सामने वाला कंट्रोल करता है तो ज़ोर से ज़मीन पे पटकता है … मैं तीन मर्तबा नबी के कंट्रोल में आया वह चाहते तो मुझे ज़ोर से ज़मीन पे पटकते लेकिन:- अल्लाह की कसम वह मुझे ऐसे ज़मीन पर रखते थे जैसे कोई शफ़क़त करने वाली माँ अपने दूध पीते बच्चे को ज़मीन पे रखती है।
ए मक्का वालो तुम्हे क्या मालूम जब में पहली मर्तबा दौड़ा था उनके चेहरे से वो नूर उठ रहा था जो आसमान की तरफ जा रहा था मैं उसी वक़्त समझ गया यह किसी मामूली इंसान का चेहरा नही यह तो नबूवत वाला चेहरा है उसी वक़्त मेरे दिल ने कहा यह झूठा नही हो सकता यह तो नबी के सिवा और कुछ नही हो सकता….
सुबहानहु व तआला हमे कहने और सुनने से ज़्यादा अमल की तौफीक अता फरमाये….!!




