Allah ke bando mein se afzal momeen

allah-wallpaper

Bismillahirrahmanirrahim

*✦ Hadith : Allah ke bando mein se afzal momeen*
————
✦ Abdullah bin shaddad Radi Allahu anhu se rivayat hai ki Rasool-Allah Sal-Allahu Alaihi Wasallam ne farmaya Allah ke bando mein se us momeen se afzal koi shakhs nahi jiski umar islam mein zyada ho aur wo Allah Subhanahu ki tasbeeh (SubhanAllah), takbeer (Allahu Akbar) aur tehleel (La ilaha ilAllah) kahta rahe
Masnad e Ahmed 1347-Hasan
Al-Silsila-tus-Sahiha-2926
————
رسول اللہ صلى الله عليه وسلم نے فرمایا: اس مومن سے افضل کوئی شخص نہیں جس کی عمر زیادہ ہو اور وہ اللہ کی تسبیح ، تکبیر اور تہلیل کرتا رہے
مسند احمد ١٣٤٧ حسن
————
✦ रसूल-अल्लाह सल-अल्लाहू अलैही वसल्लम ने फरमाया अल्लाह के बन्दों में से उस मोमीन से अफ़ज़ल कोई शख्स नही जिसकी उमर इस्लाम में ज़्यादा हो और वो अल्लाह सुबहानहु की तसबीह (सुबहानअल्लाह), तकबीर (अल्लाहू अकबर) और तहलील (ला ईलाहा इल अल्लाह ) कहता रहे
मसनद अहमद , 1347-हसन
अल-सिलसिला अस सहिया -2926
———–
✦ Narrated by Abdullah bin shaddad Radi Allahu Anhu The prophet Sal-Allahu Alaihi Wasallam said the Best believer among the slaves of Allah is the one whose life is longer and who keep reciting a great deal of tasbeeh (SubhanAllah), Takbeer( Allahu AKbar) and tehleel
(La ilaha ilAllah)
Masnad e Ahmed 1347-Hasan
Al-Silsila-tus-Sahiha-2926

Napaki ki halat mein namaz padhna

allah-wallpaper4-300x300

Bismillahirrahmanirrahim

✦ Mafhum-e-Hadith : Napaki ki halat mein namaz padhne aur mazlum ki madad na karne par Qabr mein azab
————-
✦ Abdullah Bin Masood Radi Allahu Anhu se riwayata hai ki Rasool-Allah ﷺ ne farmaya ek Allah ke ek bande ke bare mein Hukum diya gaya ke usko Qabr mein mein sau (100) kode maaray jayen. wo(is azab ko kam karne ki) ilteja aur duayen karta raha yaha tak ki ek koda rah gaya. Jab ye koda usko lagaya gaya to uski Qabr aag se bhar gayee, jab us saza ka asar khatam ho gaya aur usko hosh aa gaya to usne farishto se pucha tum ne kis wajah se mujhe koda mara hai? Farishton ne kaha tum ne ek namaz bina paaki (tahatart) ke padi thi, aur dusra ye ki tu ek mazloom ke paas se guzra tha lekin tune uski madad nahi ki thi
Al-Silsila-As-Sahiha Hadees # 554
————-
عبداللہ بن مسعود‌رضی اللہ عنہ سے مروی ہے كہ رسول الله ﷺ نے فرمایا: اللہ كے ایك بندے كے بارے میں حكم دیا گیا كہ اسے قبر میں سو كوڑے مارے جائیں۔ وہ التجاو دعائیں كرتا رہا حتی كہ ایك كوڑا بطور سزا رہ گیا۔ اسے ایك كوڑا مارا گیا، اس
كی قبر آگ سے بھر گئی، جب آگ ختم ہوئی اور اسے كچھ افاقہ ہوا تو اس نے پوچھا : تم نے مجھے كس وجہ سے كوڑا مارا ہے؟ فرشتوں نے كہا: تم نے ایك نماز بغیر طہارت كے پڑھی تھی، اور تم ایك مظلوم كے پاس سے گزرے تھے لیكن تم نے اس كی مدد
نہیں كی تھی۔
السلسلہ اس صحیحہ ٥٥٤
————-
✦ अब्दुल्लाह बिन मसूद रदी अल्लाहू अन्हु से रिवायत है की रसूल-अल्लाह ﷺ ने फरमाया एक अल्लाह के एक बंदे के बारे में हुक्म दिया गया के उसको क़ब्र में में सौ (100) कोडे मारे जाएँ. वो(इस अज़ाब को कम करने
की) इलतेजा और दुआएँ करता रहा यहा तक की एक कोड़ा रह गया. जब ये कोड़ा उसको लगाया गया तो उसकी क़ब्र आग से भर गयी, जब उस सज़ा का असर ख़तम हो गया और उसको होश आ गया तो उसने फरिश्तो से पूछा तुम ने किस
वजह से मुझे कोड़ा मारा है? फरिश्तों ने कहा तुम ने एक नमाज़ बिना पाकी ( यानि नापाकी की हालत में ) के पढ़ी थी, और दूसरा ये की तू एक मज़लूम के पास से गुज़रा था लेकिन तूने उसकी मदद नही की थी
अल-सिलसिला-अस-साहिहा हदीस # 554

AAP(صلى الله عليه وسلم ) ka “Khana peena

allah-wallpaper4-300x300

Assalam u Alaikum
Hazrat AAYESHA (r.a) -Apne Bhanje URWA bin ZUBER se Farmati Hain – ki – 2 Mahine -3 Mahine ka CHAND Nazar Aa Jata tha – Aur- HUZOOR PAK sallal Laho Alaihe wasallam ke GHAR me se- kisi GHAR me bhi- AAG Jalne ki Naubat Nahi Aati thi
To – Bhanje ne poocha – Khala Jan – phir Aap Logo ka GUZARA kis cheez per tha
Farmaya – ki, PANI aur KHAJOOR per – Aur – AAP (s.a.w) ke kuch PADOSI the – Unme se koi – Apne Janwaro ka DOODH bataur HADIYA (tohfa) Pesh kar deta – to- usi se Humko bhi PILAYA jata tha
(Bukhari – page no- 956- jild 2)
Dosto – AAG na Jalne ka Matlab ye Hai – ki- koi cheez GHAR me is Layak nahi thi – ki AAG jalane ki Naubat Aaye
Ek baar – Hazrat MASROOF Hazrat AAYSHA (r.a) ke GHAR gaye – Hazrat AAYSHA (r.a) ne – unke Liye Khana Mangaya – aur Farmane Lagi – ki -Mai kabhi PET bhar khana Nahi khati Hoon – Magar- mera RONE ka Dil chahta hai – Rone Lagti Hoon
Unhone – RONE ki wajha Daryaft ki – to Hazrat AAYSHA (r.a) ne Farmaya – ki- mujhe HUZOOR PAK (s.a.w) ki Yaad Aati Hai – Jis Haalat per – AAP (s.a.w) Hamse JUDA Huwe – kabhi Ek din me – 2 martaba PET bharne ki Naubat Nahi Aayi (Tirmizi)
Hazrat ABU BAKAR siddiq (r.a) ne Ek martaba – Ek Bakri ki Taang Hadiya me – HUZOOR (s.a.w) ko pesh ki – RAAT ka waqt tha – Hazrat AAYSHA ( r.a) Andhere hi me – uske Tukde karne Lagi
Kisi ne kaha – Ghar me Chirag nahi Hai – to WO farmane Lagi – ki- ager CHIRAG me Jalane ke Liye TEL hota – to- Usko KHANE hi me istemal kar Lete
Azeezo Dosto – ye thi Hamare AAQA (s.a.w) ke GUZARE ki Haalat
*AAP (s.a.w) chahte – to- $ONE (gold) ke PAHAD – AAP ke Liye Chalte kar diye Jate
KHAZANO ki Kunjiya – AAP (s.a.w) per- PESH ki gayi – magar- sabko Thukra diya
Futuhaat se- bahut kuch – MAALE GANIMAT aata tha – magar AAP (s.a.w) sab kuch Musalmano me Baant dete the – Apne paas kuch Nahi Rakhte the
AAP (s.a.w) ka irshad tha- ki- *ALLAH* ne Farmaya- ki- mere Liye MAKKAH ki Zameen $ONE ki Bana de – Maine Arz kiya- YA ALLAH ye nahi chahiye – Balki Mai chahta Hoon – Ek din PET bhar kar Khaa’oon – Taaki- Tera Shukr Ada karoon – Aur- Ek din BHOOKA Rahoon – Taki- Tere Saamne AAJIZI karoon
( khasa’il NABWI – page no 332 )
($ALLAL LAHO ALAIHE WALEHI WASALLAM)

Zinda ko Murda se Nikalna

14064120_595015900703001_8552438530017172774_n-200x300

Assalam u Alaikum
Dosto – ise poora zaroor padhna- ALLAH Farmate Hain
Al Quran > *AUR – TUM (MAR KER) HAMARE PAAS “TANHA- TANHA” AA GAYE – JIS TARHA – HAMNE TUMKO PAHLI BAAR PAIDA KIYA THA
AUR- JO KUCH ‘HAMNE’ TUMKO (DUNIYA) ME DIYA THA- USKO APNE PICHE – WAHI CHORR AAYE
AUR – HUM TO – TUMHARE SAATH – TUMHARE UN ‘SHIFAR’SIYO KO NAHI DEKHTE – JIN KE BARE ME -TUM “DAAWA” RAKHTE THE – KI WO TUMHARE “MUAMLE” ME (ALLAH) KE ‘SHAREEK’ HAIN
WAKAYI – AAJ – TUMHARE ” UNKE – AAPAS KE TA’ALUK TOOT GAYE – AUR – TUMHARA “DAAWA” BHI GYA GUZRA HO GYA
BESHAK “ALLAH TA’ALA” HI – “DANA” KO AUR GUTHLIYO- KO PHADNE WALA HAI (BEEJ SE PED PAUDHE BANANE WALA HAI )
WAHI – JAANDAR KO ‘BEJAAN’ SE NIKALNE WALA HAI ( JAISE – ANDE SE CHOOZE )
AUR- WAHI – “BEJAAN” KO ‘JANDAAR’ SE – NIKALNE WALA HAI ( MURGI SE ANDA)
YE SAB KAAM – ALLAH (EESHWER) HI KARNE WALA HAI – SO TUM – KAHA ULTE CHALE JAA RAHE HO
WAHI – “SUBHA” KO NIKALNE WALA HAI – USI NE RAAT KO AARAM KI CHEEZ BANAYA HAI – AUR – SOORAJ AUR CHAND KO – HISAB SE RAKHA HAI – YE THAH’RAYI BAAT HAI – “AISI ZAAT KI” – JO BAHUT QUDRAT WALA – BADE ‘ILM’ WALA HAI
*ALLAH* TA’ALA – TUMHARA ‘RAB’ HAI – USKE SIWA KOI IBADAT KE “LAYAQ” NAHI – WAHI HUR ‘CHEEZ’ KA PAIDA KARNE WALA HAI – TO TUM USKI HI “IBADAT” KARO
AUR – “WO” HAR CHEEZ KA KARSAAZ HAI
KOI “NIGAH” USKO NAHI DEKH SAKTI – AUR – WO SAB KUCH DEKHTA HAI – AUR – WO BADA ” BAREEK BEEN” BA KHABAR HAI
BILA SUBA – AB- TUMHARE PAAS TUMHARE *RAB* KI JANIB SE – HAQ KO “PAHCHANNE” KA ZARIYA ( QURAN) PAHUCH CHUKA HAI
SO – JO SHAKS – DEKH (SAMAJH) LEGA – WO – APNA “FAYDA” KAREGA
AUR – JO – SHAKS (SAMAJH KAR BHI) ANDHA RAHEGA – WO APNA “NUKSAN” KAREGA
AUR- MAI ( MOHAMMED) sallal Laho Alaihe wasallam) TUMHARA ” NIGRAAN” NAHI HOON – ( NIGRANI KARNE WALA TO SIRF *ALLAH* HAI )*
surah no 6 ayat no- 94-96:: 102- 104
***( $UBHAN ALLAH )***