Sadaat e Qutbia Qasba Haswa Zila Fatehpur

Bahawala Zahoor e Qutbi ,Tareekh Aainae Awadh,Seeratus sadaat ,Tazkirah Ulema e Hind

Hazrat Mir Syed Ali jinhone qasba haswa zila Fatehpur mein jakar sukoonat akhtiyar ki inke panchwe pusht mein Syed Laal Muhammad bade Mutbaher Aalim hue’n.inhone bahut si Kitabe’n aur hashia ilm e maqulaat par tahreer farmai aur Kitab nasab banam khud tahreer farmakar tamam Sadaat Arab wa Ajam ka nasab yakja kiya chunanche Laqab inka NASSAB E HIND hai.woh apni Kitab mein nasab naama apna is tarah bayan karte hai’n.

Syed Laal Muhammad bin Syed Hasan bin Syed Faizullah bin Syed Maluk bin Syed Ali bin Syed Khan bin Syed Tahir bin Syed Ruqnuddin saani bin Syed Qutubuddin bin Syed Akhundshah bin Syed Ameer Bada bin Syed Qayamuddin bin Syed Sadruddin bin Syed Ruqnuddin bin Syed Nizamuddin Hasan bin Syed Ameer Kabir Syed Qutubuddin Muhammad Madni (رحمتہ اللہ علیہ)

Aur nasab naama maadri inka 

Syedul wasileen Syed Alaudin javeri shakar barash (رحمتہ اللہ علیہ) par muntahi hota hai jo khalifa aur mureed Hazrat Syed Qawamuddin Mahmood ibn Syed Ameer Kabir Syed Qutubuddin Madni (رحمتہ اللہ علیہ) ke the’n.

Sahibe Kitab Tazkirah Ulema e Hind Maulvi Rehman Ali inke mutalliq yu raqm taraz hai’n

Tazkirah Ulema e Hind Maulvi Rehman Ali

inke mutalliq maullif Zahoor e Qutbi farmate hai’n

hazrat laal qutbi

Muddat tak Hazrat Syed Laal Muhammad (رحمتہ اللہ علیہ) ne qasba haswa mein Madarsa qayam karke hazarha taliban e ilm ko ilm maqool wa munqool ki taleem dete rahe’n.chunki aap lawald the’n isliye aap ke baad aapke bhayio’n ki aulad barishta damadi haswa ka qayam tark karke Kurra sadaat sakin hue’n. ab unke Bhai ki aulad mein bhi koi pisari aulad na rahi.

Syed Akbar Ali urf Manu miyan: pisar Mir Khuda Baksh jo nasal Syed Qazi Hasan maurise aala Ajwa se the’n.apne walid ke wisal ke baad mauza dilawarpur pargana Kada apne nanhihal ja base’n.inhone dukhtar Syed Haider Ali se nikah kiya aur sakin Kurra sadaat hue’n.100 baras zinda rahkar san 1265 hijri mein is jahan se guzur gaye’n.inke ek pisar Mir Akbar Ali the’n.jinhone batark mazhab aabai mazhab imamiya akhtiyar kiya inki do shaadi hui.jin me pahli shaadi dukhtar Syed Ali raees Ajhwa se hui. jin se do pisar Muhammad Ali aur Syed saani hue’n.Mir Akbar Ali ki dusri shaadi duktar Chiragh Ali se hui jinse ek pisar Mir Syed Husain hue’n jinki shaadi Bibi Tajan nawasi Chaudhary Ahmad Yaar se hui is qarabat ki wajah se Syed Husain ne apne walid ki mukhalfat karke mazhab ahele sunnat akhtiyar kiya.

Advertisement