Qutbi Saddat kai aur jagah aabad huwe

Bahawala Kitab Zahoor e Qutbi ,Tareekh Aaine Awadh ,Seeratus Sadaat 

Mir Syed Ali maye biradar apne jab kada se jane lage ek hajjam aur ek kaest ko bhi hamrah legaye’n aur Rudauli pargana Chunargarh zila Mirzapur mein ja base’n aur minjanib shahaan bataur madad o maash mauza sikhar wa rudauli pargana Chunargarh zila Mirzapur wa husampur pargana bahloli wa ghausandi pargana dhaus Zila Mirzapur ata hue’n.jab aulado’n ki kasrat hui.Tu 12 bhaiyon par woh mauza taqseem hokar 12 pattiyan qarar paya.san 1243 hijri mein iss khandan ki jo aulade jo yaha par qayam thi’n unke naam ye hai’n.Mir Syed Farzand Ali, Mir Syed Qayum Ali,Mir Syed Tahoor Ali,Mir Syed Maqsood Ali,Mir Syed Madad Ali,Mir Syed Peer Ali,Mir Syed Muhammad Ali shaadi beyah ye log aapas mein hi karte rahe aur ba shart zaroorat sadaat wa shaikh banaras se karte rahe’n.

Qutbi sadaat mein se ek giroh mauza  kaundhan patti shah mein jakar aabad hua.

aur kuch afraad rasoolpur pargana kotla mein ja kar aabad ho gaye’n.Iss kahandan ki shakh Qazi Syed Abdul rasool Qutbi urf syed umri r.a se thi.

Qutbi sadaat mein se ek giroh mauza kaurali pargana sauram zila Allahabad mein aabad hua.

Ye Khandan Hazrat Syed Shah Faizullah Qutbi r.a ka hai.(Ab ye Mazhabe imamiya se hai’n.)

Advertisement