Hazrat Syed Shah Mohiuddin Qutbi r.a

photo0136-1.jpg

Title: Qudwatul Abideen Imamus Sabireen, Sayyadul Muttaqeen, Rausul Arifeen Hazrat Syed Mohiuddin رحمتہ اللہ علیہ

Wiladat ba Sa’adat : Shahzada e riyasat e imam Hasan (a.s) Waqar e khandan e punjatan (a.s) Gul e gulistaan e Qutub e zaman Sardar e ahle Jaho hasham Hazrat Syed Mohiuddin hasan Qutbi r.a ki wiladat san 1919 eiswi mein  Khankah shareef Manikpur zila pratapgarh (U.P)  mein hui jise markaze aulia bhi kaha ja sakta hai aur ye wahi sarzameen hai jaha’n Hazrat baba Fareeduddin ganj e shakar r.a ne ek baoli kuwe’n mein latak kar 14 saal mujahda kiya mash’hoor hai ki chidiyo’n ne aapke tamam badan par ghosla bana liya tha aur aapke jism ko nochti rahti thi’n. isi haalat mein aap ek rubaai padha karte the’n jo bahut mash’hoor bhi hai ki

“Khaaga sab tan khaiyo

Mora chun chun khaiyo maas

Do nainan ko chhod diyo 

Mohe piya milan ki aas”

Aap ke walid e Buzurgwar : Aap ke walid Buzurgwar ka ism shareef  Hazrat Syed Shah Zakiuddin Qutbi r.a tha jo Khanwada e Buzurgo Bartar Khanwada e Qutbia Kabeeria ke Shahzade Aur jalilulqadr Sajjadanasheen Aastana e Aliya Qutbiya Husamiya Kareemiya Khankah Manikpur se the’n.Jo nehayat abid o zahid muttaqi parhezgaar shabzindadaar aur nihayat khilwat nasheen buzurg the’n jo apne Azeemoshaan Aabao ajdaad ki sahi tasweer the’n.

Aap ki walida majida : Aap ki walida majida Hazrat Bibi Habibun nisa bint Hazrat Shah Abdul Samad bin Hazrat Shah Abdul Qadir Husami Manikpuri thi’n. Jo Hazrat Qutub ul Aqtab Sahibe Walayat Manikpur Hazrat Makhdoom Shah Husamuddin Husamul Haq Rahmat ullah Alaih ki Aulado’n mein thi’n. Aap badi aabida zaahida bibi thi’n aur ek  Makhdoomzaadi hone ke tamam tar fazael badarja e atam aap mein maujood the’n jo ahle baseerat ko aap mein nazar aate the’n.

Aap ki parwarish aur Aapki taleemo tarbiyat : Aap ki parwarish Aapke walidain ke Saye Aatefat aur Rahmat mein parwaan chadhi Aur Deeni Aur roohani tarbiyat Aapne apne walid maajid Hazrat Syed Shah Zakiuddin Qutbi r.a Aur apne Khandan ke buzurgo’n se haasil kiya (in buzurgo’n mein Hazrat peer Shah qasim r.a bhi hain jinki rooh e paak se aap mustafeez aur mustafaed huwen.) duniyawi taleem kai madaris se hasil karte huwe jamuna christian college se mukammal kiya. Aapko english, urdu, farsi, hindi language par dastaras hasil tha.

Aap ke Nasab e paak ki bemisl shaan o azmat :  Aap ki paidaish jaisa ki pahle zikr ho chuka hai Hindustan ke sabse buzurgo baala khandan khandane Qutbiya kabeeriya mein hui. Jo apne jahohasham, shuja’at buzurgi olulazm tareekho’n ki wajah se barre sagheer hindo paak ke sadaato’n mein ek alag shaan rakhta hai.Aur iss Khandan ka parcham Hind o Sindh ke sarzami par gada hua hai aur is Parcham-e-Qutbiya ke saaye tale tamam aulia e Hindo Sindh ne Apne talimo taleef ko paaye takmeel tak pahuchaya. Ahle ilm aur sahibe haal iss haqiqat se na-ashna nahi ki Sindh ki Sarzami par sabse pahle jis muqaddas ba barkat hasti ne paighame ahle bait nabwi sallallaho alaihe wasallam ko pahuchaya wo Hazrat Sarkar Abdullah Shah Ghazi rahmatullah alaih ki shaqsiyat hain Jo Taba taabai hain Sufiyane uzzam ke imam aur peshwa bhi hain muhaddise kabeer bhi hain aur jinka silsila e nasab ahle bait e paak se sabse zyada khareebtar hai Jinhone waqt ke imamo’n aur sardaro’n se parwarish aur taleem paai jinme sabse buland naam aapke Dada huzoor Hazrat Syed Abdullal al mahaz A.s, Aapke Chachere Dada Hazrat Syedna Imam Muhammad al baqir A.s, Aapke Walide Mohtaram Hazrat Syedna Imam Ziunnafs az zaki A.s, Aapke Chacha Mohtaram Syedna Imam jaffar as sadiq A.s  ka hai. Mash’hoor Hai ki Darbaar risalat ma’aab sallallaho alaihe wasallam se jitna bhi faiz tamam auliya e kaamleen ki baargah mein batne ke liye aata hai wo sab ka sab aap ke sadqe aur tufail mein bat.ta hai iss lihaaz se aap tamam Aulia e kaamleen par fauqiyat aur buzurgi rakhte hain aur aapka parcham sarzameene sindh par subho qayamat tak phairta rahe ga. Aapki Gyarwi’n pusht mein Hazrat Ghausul Aalmeen Qutub ul Aqtaab Hindal wali Meer Syed Qutubuddin Madni Al Kadwi rahmatullah alaih jaisi shaksiyat hain jinko Hazrat Sarkaar Do Aalam Sallallaho alaihe wasallam ne Hindustan ki Walayat ata kar ke Sarzameene Hind bheja Aur farmaya ”Aye Farzand Qutubuddin Hindustan mein Islam ka farogh tumhare haatho hoga aur parchame islam tumhare haatho phairega” Chunanche Aap is hukm ki tameel ko Hindustan tashreef laaye’n aur kufro shirk ko mitakar Ilm ki aisi shamme firoza’n raushan kiya jo subho qayamat tak raushan rahegi Aur Aapne yaha’n Islam ka purcham aisa gaada ki jo subho qayamat tak phairta rahega.

” Parcham e Qutbiya Tale har parcham lahrata hai 

Har parcham se buland ye parcham nazar aata hai

Waqt aayega ke sab Ahle Jahan ye pukarenge “meer”

ye wo parcham hai jo ”Imam e zama” Phairata hai.

Aap ke Halaat o Waqiyat:   Ba Hawala Kitab  Madine se Manikpur tak

gहज़रत सैय्यद शाह ज़किउद्दीन क़ुत्बी के सबसे छोटे फ़रज़न्द और इस मुसन्निफ़ के दादा मोहतरम निहायत बावक़ार, ज़ी इल्म साहिबे जाह-हश्म, आबिद और ज़ाहिद, शबज़िन्दादार, इबादतगुज़ार, अपने रिश्तेदारों के हालात से बाख़बर रहने वाले और दीगर तमाम इन्सानी कमालात मे मुज़य्यन व कामिल शख़्स का नाम सैय्यद शाह मोहिउद्दीन क़ुत्बी था! अल्लाह ने आपको ऐसे ख़ानदान आली वक़ार मे पैदा फ़रमाया जो हर निस्बत से हर दौर मे अफ़ज़ल व आला रहा है, चाहे वो बुज़ुर्गी के एतबार से हो चाहे हसब नसब के या चाहे दौलत और रईसी के एतबार से हो! चूंकि आप अपने घर मे सबसे छोटे थे इसलिये आपको छोटे मियां के लक़ब से नवाज़ा गया और बाहर आपको लोग बन्ने मियां भी कहते थे! आप मानिकपुर खानकाह शरीफ़ मे ही पैदा हुए आपका नाम हज़रत सैय्यदना ग़ौसुलवरा मोहिउद्दीन अब्दुल क़ादिर जीलानी रहमतउल्लाह अलैह के नाम की मुनास्बत से सैय्यद शाह मोहिउद्दीन रखा गया! अपने वालिद और बड़े भाईयों के दामने शफ़क़त मे पले बढ़े और दीनी दुनियावी इल्म से आरास्ता और पैरास्ता हुए! चूंकि आपके बड़े भाई सैय्यद इसरार अहमद क़ुत्बी ने शादी नही फ़रमाई थी इसलिये अपनी सारी जायदाद को आपके नाम कर दिया था जिससे आप अपने ख़ानदान में भी दोहरी जायदाद के मालिक हो गयें और इस एतबार से आप अपने और अपने बड़े भाई की जायदाद की वजह से सारे मानिकपुर और अपने ख़ानदान मे भी सबसे बड़े ज़मींदार हो गयें थे! आपके इबादत का तो ये आलम था कि सारा दिन इबादत और रियाज़त मे काटते और सारी रात तहाज्जुद मे कटती थी बस कुछ ही देर आराम फ़रमाते थे, मेरे वालिद बताते हैं कि दादा मोहतरम की नमाज़ पूरी ज़िन्दगी मे जब से फ़र्ज़ हुई तबसे लेकर आपके इन्तक़ाल तक कभी भी कज़ा नही हुई! आप निहायत सख़ी और दरियादिल भी थे आपने अपने जायदाद का बहुत सा हिस्सा उन ग़रीबों के नाम कर रख़ा था जो इस ख़ानदान की ख़िदमतगुज़ारी मे रहते थें, आप इस क़द्र सीधे थे कि कभी किसी को एक उँगली तक न छुलाया क्या अच्छा क्या बुरा सभी से हुस्ने सुलूक़ से पेश आते थें! सब्र का आलम तो ये था कि इतनी बड़ी रियासत ख़त्म होने पर भी कभी ख़ुदा से कोई शिकवा न किया और हमेशा ख़ुदा का शुक्र अदा करते रहें और यही दर्स हम लोगों को भी देते रहें! आपको हज़रत पीर क़ासिम शाह रहमतउल्लाह अलैह से जिनका मज़ार मुबारक अन्दरून ख़ानकाह शरीफ़ मानिकपुर है जो चिश्तिया सिलसिले के एक बहुत बड़े वली गुज़रे हैं बहुत लगाव रहा है, जब भी आप मानिकपुर जाते घंटों उनकी मज़ार मुबारक की सफ़ाई सुथराई करते और फ़ातेहा और क़ुरआन पाक की तिलावत करते रहते थें, और इसका नतीजा ये हुआ कि हज़रत पीर क़ासिम शाह रहमतउल्लाह अलैह ने आप पर ऐसी नज़रे इनायत फ़रमाई कि हमेशा के लिये अपने क़दमों मे आपकी आरामगाह मुक़र्रर करदी! आपका इन्तक़ाल सन् 1996 ई. मे बहत्तर साल की उम्र मे इलाहाबाद मे हुआ और हज़रत पीर क़ासिम शाह रहमतउल्लाह अलैह के पैताने ख़ानकाह शरीफ़ मानिकपुर मे दफ़्न हुएं! दादा हुज़ूर के विसाल के बाद वालिदे मोहतरम ने क्या ख़ूब शेर कहा था कि मुझे ख़बर  थी मंज़िल है दो क़दम आगेये बात वाज़ेह हुई बाद मेरे मरने के!

Sahibe kitab Tazkirah Sadaat e Qutbiya Aapke mutalliq Aapka huliya bayan karte hue likhte hain ki Gandumi Rangat Charere Badan aur Lambe qhad ke maalik Syed Shah Mohiuddin Qutbi urf ”Banne miya” Nihayat Khush mazaaq Milansaar ba ikhlaaq paband saom salaat azizo se khaas talluq wa mohabbat rakhne waale buzurg the’n. 

Is ke saath saath jo Deegar Halaat o waqiyat aap ke bayan kiye jaate hai’n Jo Insani kamalaat mein bemisal haisiyat rakhte hain wo is tarah hain.

Mash’hoor hai ki jab aap ki zamindari khatm hui tu pareshani aur musibate’n aap par hayel huwi’n jismein aap ne sabr aur tahammul ka daman mazbooti se thame rakha aur kabhi apne zubaan par nashukri ke kalmaat tak na laye’n jahan aap zamindaari ke waqt mein makhmal ke gaddo’n par lete wahi’n pareshani ke dino’n mein kai saal aap ka bistar Einto’n ki deewar rahi yaha’n tak ki aapko sadko’n par kutto aur billiyo’n ke sath sona pada lekin aapke sabr par qurbaan jaao’n ki Aap Sabr e Hazrat Muhammad Sallallaho Alaihe Wasallam aur Sabr e Hazrat Ayyub Alaihissalaam par qayam rahe’n. Jahan Aapne raisi ke haalat mein shab-degh maahi, murgh musallam aur mutanjan Khuda ke shukr ke sath tanaul farmaye’n wahi’n halaat e khastagi mein sookhi rotiya’n bhi usi shukr o sabr ke sath tanaul farmayi.jaha’n aapne haalate ameeri mein libase fakhra zeb-tan kiye’n wahi’n haalate ghareebi mein phate purane kapdo’n se jism ko dhakna pada lekin aap sabr ki chadar oodhe rahe’n aur shukr ke daaman ko mazbooti se thame rakha Beshak Aap sabiro’n ke Imam the.

Mash’hoor hai ki Aap ke ibadat ka Aalam ye tha ki sara-sara din aur sari-sari raat ibadat karte the’n aur apne makhsoos wazaef ka wird karte the’n Aap Charo qul shareef ke Aamil the’n. Aur deegar kai jalaliya aur jamaliya wazaef ke Aamil the’n. Mash’hoor hai ki aap ka qaul tha ki “Chori kar haram pee jannat mein ja” Aap se jo koi is kalmaat Ko sunta to hairan rahta ki ye kya miya sahab farmate rahte hain aap logo’n ki hairani dekh kar muskurate aur phir iss raaz se parda utha’te ki Chori karne ka matlab apni nafil ko chupana aur haram peene ka matlab gusse ko pee jana hai aur ye dono karne wala Jannat mein jayega. Subhan Allah Aise la’taedad waqiat aap se mansoob hain jo aap ke Amal aur kirdaar ka jeeta jaagta namoona tha jo aabido zahido mein ek naya husn ata karta tha. Beshak aap qudwatul abideen the’n.

Aap sayyadul muttaqeen the’n
Muttaqeen ki sifat bayan karte hue Allah rabbul izzat Surah Aale imran Ayat no. 133-135 mein kya irshad farmata hai.
1-Aur wo logo’n ke qusoor maaf kar dete hai’n.
2-Tangdasti ho ya khush’hali wo maal, aql, ilm, muhabbat ikhlaq har wo cheez jo dusre ko faedah de wo usse Allah ki raza ke liye kharch karte rahte hain.
3- Wo apne ghusse ko roke dete hain.
agar apne liye hai to roke denge agar khuda ke liye ho to hadd se aage nhi badhenge.
4- Jab woh kuch ghalat kaam kar baith’te hai to khuda ka zikr karte hain uss se ruju karte hain aur uss se maafi mangte hain
Aur jis ghalti ya gunah ko wo Jaan jaate hain use dobara nhi dohrate hain.
Muttaqeen mayoos nhi hote hain aur ye koshish karte hain ki unse ghalti dobara na ho jaye.

Ye tamam tar sifat Hazrat Syed Shah Mohiuddin Qutbi r.a mein badarja e atam maujood thi.
Aap logo’n ke har qusoor maaf kar dete the’n. Koi kitna bhi aapko takleef pahuchaye aap uske qusoor darguzar farmate the’n. Mash’hoor hai ki ek martaba aap apni khankah mein fateha padh rahe the’n ye dekh kar aapke ek azeez ne (jo aapke Shaan o azmat ki wajah se aapse bugz rakhte the’n) ek agarbatti se aap ki aankhon ke neeche jala diya jiske sabab apki aankho ke neeche aable padd gye lekin aap ne uff tak na Kiya, jab aap ghar tashreef le gye to ahle khana ne poocha ki ye kaise hua,lekin aap kuch na bole aur khamosh rahe. Dusre din aapke wahi azeez sakht beemar padd gaye, jab iss baat ka aapko ilm hua to aap unki ayadat ko tashreef le gye’n ye dekh kar wo azeez zaarkhataar rone lage aur apni uss karni par bahut sharminda hue.
Isi tarah aapne beshumar logo’n Ko maaf kiya aur kabhi apni zaat ke liye kisi se ghussa nhi hue’n.

Iss baat se aapke ahle watan aur ahle khandan ba khoobi wakif hain ki aapne har haal mein logo’n ki har tareekhe se madad farmaya aur hamesha paani ki tarah apne maal aur daulat ko Allah ki raza ke khatir kharch kiya aur logo’n ko iss Khadar ata Kiya ki khasta haal bhi ghani ho gaya, kya apne kya paraye har ek ko apne ilm, aql, maal, muhabbat, ikhlaq se mustafeez karte rahe’n.
Aap kabhi bhi kisi bhi haalat mein gussa nhi hote the’n koi kitni badi bhi na-zeba baat kare ya koi aap ke khilaf kaam kar de jo aapke shayane shaan na ho kabhi ghussa nhi hote the’n. Aap hamesha ghusse ko roke rahte the’n aur use pee jaate the’n aur isi liye kahte the “haram pee jannat mein ja” khuda ke bando par chahe wo kisi bhi tabkhe ka ho kabhi kisi ko zaleel nazro’n se nahi dekhte the yahan tak ki jamadaar Ko bhi halaalkhora kah kar mukhatib hote the’n. Subhan Allah.

Aap ke Amal aur kirdaar par ek aalam Shahid hai aur har khaso aam is baat ka mautrif hai ki aap bahut buland kirdaar ke maalik the’n ghalti aur gunah se bahut hi bachte the agar koi ghalti se bhi khata sarzad ho jaati to hadd se zyada us par pasheman hote aur khuda ki baargah mein giryazaari karte rahte aur zikr o fikr ko aur taweel kar dete the’n.
Aap bahut bade riyasat ke maalik the ki koi ahle gaon aapke hum palla na tha lekin jab aapki jaedad mitgayi aur zamindaari khatm ho gyi uss halat mein bhi kabhi aapke chehre par shikan tak na aai aur hamesha khuda ka shukr qasrat se ada karte rahe aur rab ki zaat se kabhi mayoos nhi hue. Allah hu akbar.
Beshak aap sayyadul muttaqeen the’n.

 Aarif ka matlab hai ki jo khuda shanas ho khuda Ko pahchanne wala ho. Maula ki raza hi Aarif ki raza hoti hai jis mein Maula khush us mein Aarifo’n ki khushi aur jismein Maula nakhush usmein Aarifo’n ki na Khushi hoti hai bas raza e Maula hi raza e Aarif hoti hai aur jo iss amal mein apne aap Ko dhaal leta hai darasal wahi Aarifbillah hota hai.
Sharahul maqasid mein wali ki sifat is tarah bayan ki gyi hai ki “wali wo momin kaamil hai jo Aarifbillah hota hai har qism ke gunaho se bachta hai lazzat aur shahwat mein dakhil hone se bachta hai.
Fat’hul baari mein Hafiz ibn asqalani farmate hain ki Wali se murad wo shakhs hai jo Aarifbillah ho aur ikhlaas ke sath daaemi ibadat karta ho.

Hazrat Syed Shah Mohiuddin Qutbi r.a in tamam sifato’n se muzayyan the’n Jo Allah ki raza mein raazi rahne waale Apne maula Ko pahchanne waale, bahut khuloos ke sath ibadat karne waale,
har tareekhe ki lazzat aur shahwat se bachne waale wali e kaamil the’n. aur Momino aur Aarifo’n ke jamaat ke Imam the’n.

 Aapki ki karamat-:

Yoon to aapki puri Zindagi Insani karamato’n se labrez rahi jise aap chupate rahe’n lekin kuch karamate’n aisi thi’n jo logo’n par munkashif hui.
(1) Jinnato’n se aapka ladna – Mash’hoor hai ki ek martaba aapki riha’ish Allahabad mein waqe Akbarpur muhalla mein thee.jis ghar mein Aap Apne Ahle khana ke sath rah rahe the’n usmein Jinnato’n ka zabardast dera tha.Jinnat aapke sayadat ki wajah se aapko aur aapke ahle khana Ko kuch nuqsaan to na pahucha paaye’n lekin aap logo’n Ko pareshan karne lage’n jisse aapke ahle khana khaufzada hue. Bas iss baat se aapko jalal aaya aur aapne ek lakdi ka chaela uthaya aur kuch wird karne lage’n aur buland awaaz mein Jinnato’n ko bulane lage’n bas phir kya tha ghar ke khidki darwaze zor-zor se hilne lage aur aap Jalal mein lakdi ke chaele se unhe’n maarne lage’n.Ahle shurqa ka bayan hai ki waha’n ek kaseer bheed ekhatta ho gyi thi aur sab ne dekha ki Aag ke haath ghaeb se namudaar hote the’n jinko Hazrat apne lakdi ke chaele se maarte the’n aur ye silsila kaafi der chala bilakhir Jinnato’n ko haarna pada aur har koi aapke is karamat par bada hairan aur girweeda hua.
(2) Wisaal ke baad apni aankhe kholna aur apne nabeera (pote) ko dekhna – Mash’hoor hai ki jab aapko apke wisaal ke kai ghanto baad ghusl diya ja raha tha to aapne baqaeda apni aankho ko khol kar apne sarhane khade hue apne sabse bade pote (Syed Shah Ghayasuddin Qutbi) ko jee bhar ke dekha aur phir apni aankho’n ko band kar liya.waha’n maujood har ek shakhs ne aapki is karamat ka mushahida kiya aapka naai jo barso’n se aapki khidmat karta chala aa raha tha aur jo aapko ghusl dene walo’n mein uss waqt shumar tha wo aaj bhi is baat ka qayal hai ki miya huzoor ke jaisa karamat wala shaks usne apni puri zindagi mein koi dusra nahi dekha.
Beshak Allah ke Waliyon Ko na koi khauf hai na koi dar aur baad az wisaal bhi wo usi tarah har cheez ka mushahida karte rahte hain jaise wo apne hayat e zahiri mein karte hain.
 

Aapka wisaal– Teen (3) Shabaan ul mu’azzam 12 December San 1996 mein, 77 saal ki Umr mein Aapne Safar e Aakhrat taey farmaya aur apne aabai watan Manikpur mein Khankah Qutbiya Husamiya kareemiya mein Hazrat Makhdoom peer Shah Qasim r.a ke paitane supurde khaak hue’n.
Aapke Azwaaj wa Aulaad– Hazrat Syed Shah Mohiuddin Qutbi r.a ka akhd Hazrat Syed Shah Ghulam Ashraf Ashrafi jeelani urf Babbu miya jaisi r.a ki dukhtar Hazrat bibi Syeda Khatoon se hui jo nehayat aabida zaahida, parhezgaar, sakhi dariyadil aur Islami tareekhi kitabo’n ki had darja shaukeen khatoon thi’n. Jinke batn e aqdas se aapke teen Shahzade 1- Syed Shah Salahuddin Qutbi urf Waseem miya
2- Hakeem Syed Shah Shamsuddin Qutbi urf Babbu miya
3- Syed Shah Najmuddin Qutbi urf Najmi miya

Aur paanch Shahzaadiya’n Syeda Iqbal Fatima, Syeda Ishrat Fatima, Syeda Afroz Fatima, Syeda Rais Fatima, Syeda Shahnaz Fatima hui’n .

Aapke Aqwaal
Aap farmate the’n ki Chori kar haraam pee jannat mein ja. (Yaani nafal ko chupa aur ghusse ko pee ja to jannat mein ja)

Phal daar darakht hamesha jhuka rahta hai aur akadd usmein hoti hai jismein phal nhi aate (Yaani jo Aala zarf hota hai wo jhuka rahta hai aur jiske andar zarf ki kami hoti hai wo hamesha akda rahega.)

Do luqma e subhai behtar hai murghmaahi.(Yaani Subha ke waqt ka do luqma bhi chahe wo sookhi roti hi kyu na ho tamam din ke murgha machli se behtar hai.)