Hazrat Makhdoom Husaam-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi :
♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦♦
Laqab :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Shehanshaah-e-Manikpur.*************
Aap ki wilaadat 773 Hijri (1371 A.D.) me hui.Aap ke waalid ka naam Hazrat Maulana Khwaja Khizr urfe Khwaja Daanishmand hai.
Aap Hazrate Umar Faarooq radiy-Allāhu ta’ala anhu ki nasl se hain.
****************
Aap ne Hazrat Shaikh Noor-ul-Haq Noor Qutb-e-aalam Pandawi rahmatullāhi alaihi se ta’aleem wa tarbiyat haasil ki.****************
Takmeel ke baad Hazrat Aap ko saath lekar Delhi tashreef laaye.
18 Rabi uṡ ṡaani 804 Hijri (1401 A.D.) ko Hazrat Mehboob-e-Ilāhi Khwaja Sayyed Nizaam-ud-deen Auliya rahmatullāhi alaihi ke urs ke mauqe par Dargaah shareef ke beruni darwaaze par ulama wa masha’ikh ke majme me Aap ko Khirqa e Khilaafat pehnaaya aur Dastaar baandhi. Aur apne Peer o murshid Hazrat Ala-ul-Haq Pandawi rahmatullāhi alaihi ne jo wasiyat farmai thi wo Aap ko farmai ‘Sakhaawat me Sooraj ki tarah”. Tawazzo wa Inkesaari me Paani ki tarah, Hilm wa Burdabaari me Mitti ki tarah ho kar rehna aur Logo ke zulm o sitam ko khanda peshaani se bardaasht karte rehna.’
Phir farmaaya ‘Tumhe Manikpur ke Shaah e Wilaayat banaaya hai.’ Arz kiya ke ‘Huzoor! Is waqt Manikpur ke Shaah e Wilaayat to Aap ke bhaanje Hazrat Shaikh Nasir-ud-deen jo Aap ke waalid e mohtaram Hazrat Makhdoom Ala-ul-Haq Pandawi rahmatullāhi alaihi ke Khalifa hain.’ Hazrat ne farmaaya ke ‘Nasir taa Nasir, Husaam taa Qayaam.’
Aap Manikpur tashreef laaye to Hazrat Shaikh Nasir-ud-deen rahmatullāhi alaihi ne ek piyaala paani se bhar kar Aap ke paas bheja. Aap ne us paani se bhare piyaale me gulaab ka ek phool daal kar waapas kar diya. Paani se bhare piyaale ka matlab ye tha ke ‘Yaha ka Shaah e wilaayat main hu aur aur kisi ki gunja’ish nahi hai.’ Piyaale me gulaab ka phool daalne ka matlab ye tha ke ‘Main Aap ke muamalaat me koi mudakhilaat nahi karunga balki aap ki wilaayat ko mehkaata rahunga.’Is ke baad Aap Manikpur me sukoonat pazeer hokar ta’aleem wa faiz ata farmaate rahe.
****************
Aap ne ‘Anees-ul-Aashiqeen’ naami kitaab likhi hai.Aap ke Malfuzaat ‘Rafeeq-ul-Aarifeen’ naami kitaab me jama kiye gaye hain.
****************
Aap Hazrat Shaikh Noor-ul-Haq Noor Qutb-e-aalam Pandawi rahmatullāhi alaihi ke mureed aur khalifa hain.
Aur ‘Chishti Siraaji’ silsila ke Shaikh hain.Aap ke khulfa :
(1) Shaikh Sayyed Raji Hameed Shaah rahmatullāhi alaihi,
(2) Shaikh Kamaal urfe Shaikh Kaalu rahmatullāhi alaihi,****************
Aap ka wisaal 14 Ramazaan 882 Hijri (December 1477 A.D.) ko hua.Aap ka mazaar Manikpur (Uttar Pradesh) me hai.
****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Aur Hazrat Makhdoom Husaam-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi aur tamaam Auliya Allāh ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.