Hadith Aale Muhammad ki Muhabbat.

हजरत अमीर सय्यद अली हमदानी रह० ने अपनी मशहूर किताब “अल मवददत फिल कुरबा” के सफा नंबर 67 पर 16 नंबर की हदीस में लिखा है कि.-.
“हजरत अब्दुल्ला बिन मसूद रजि. से रिवायत है कि जनाब रसूलुल्लाह सल्ल० ने इरशाद फ़रमाया कि आले मुहम्मद की मुहब्बत का एक दिन एक साल की इबादत से अफजल है, जो इस पर मरे वो जन्नत में दाखिल होगा।”

Hadith:Mashriq Se Magharib Tak Saari Zameen Raushan

“Hazrat Abd-ir-Rahman Bin Awf رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Apni Waalida Mohtarma Hazrat Shifa’ Bint Amr رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Se Riwaayat Karte Hain, Woh Bayaan Karti Hain : Jab Hazrat Aaminah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ne Hazrat Muhammad Mustafa صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Janm Diya To Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Mere Haatho’n Par Raunaq Afroz Hu’e Aur Kuchh Girya Kiya. Mein Ne Suna Ki Koi Keh Raha Tha : Allah Ta’ala Aap Par Rahmato’n Kee Barsaat Kare. Hazrat Shifa’ Farmaati Hain : Us Waqt Mujh Par Mashriq Se Magharib Tak Saari Zameen Raushan Ho Ga’i Hatta Ki Mein Ne Shaam Ke Baa’z Mahallaat Dekh Liye. Woh Bayaan Farmaati Hain Ki Phir Mein Ne Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Libaas Pehnaaya Aur Bistar Par Lita Diya, Kuchh Hee Lamho’n Baa’d Mujh Par Taareeki, Ro’b Aur Larza Taari Ho Gaya. Phir Meri Daa’iy’n Taraf Raushni Hu’i Aur Mein Ne Kisi Kee Aawaazein Suni : Tum Inhein Kaha’n Le Ga’e They? Us Ne Jawaab Diya : Maghrib Kee Taraf. Ab Phir Mujh Par Baa’iy’n Taraf Se Ro’b-o Khuf Taari Huwa, Phir Raushni Hu’i Aur Mein Ne Kisi Kee Aawaaz Suni : Tum Unhe’n Kaha’n Le Ga’e They? Us Ne Jawaab Diya : Mashriq Kee Taraf, Ab Un Ka Zikr Waha’n Se Kabhi Khatm Na Hoga. Hazrat Shifa’ Farmaati Hain : Yeh Waaqe’a Hamesh Mere Dil Me Taaza Raha Taa Aa’n Ki Allah Ta’ala Ne Apne Rasool صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ko Be’that Se Sarfaraaz Farmaaya Aur Mein Sab Se Pehle Islaam Laane Waalo’n Me Se Thi.”

Ise Imam Aboo Nu’aym Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Aboo Nu’aym Fi Dala’il-un-Nubuwwah, 01/136, Raqm-77,

Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 01/80,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/76_77, Raqm-37.]

Hadith:Bacche Ka Naam Ahmad Rakhna.

“Hazrat Aboo Ja’far Bin Muhammad Bin Ali رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهُ Se Riwaayat Hai, Woh Bayaan Karte Hain Sayyidah Aaminah رَضِىَ اللهُ تَعَالىٰ عَنْهَا Ko – Jab Woh Rasool Allah صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Se Giraa’n Baar Thi’n – Hukm Diya Gaya Ki Apne Hone Waale Bacche Ka Naam ‘Ahmad’ Rakkhe’n.”

Ise Imam Ibn Sa’d Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/98, 104,

Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 01/72,

Halabi Fi Insan-ul-‘Uyoon Fi Sirat-il-Amin-il-Ma’moon Aw As-Sirat-ul-Halabiyyah, 01/128,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/75_76, Raqm-36.]
〰〰

Hadith:Jisme Aqdas Se Ek Noor Namoodaar Huwa Hai.

“Hazrat Aboo ‘Ajfa’ Bayan Karte Hain Ki Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Ne Farmaya : Meri Wilaadat Ke Waqt Meri Waalida Maajida Ne Dekha Ki Un Ke Jisme Aqdas Se Ek Noor Namoodaar Huwa Hai, Jis Se Busra Ke Mahallaat Raushan Ho Ga’e.”

Ise Imam Ibn Sa’d Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/102,

Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 01/79,

Halabi Fi Insan-ul-‘Uyoon Fi Sirat-il-Amin-il-Ma’moon Aw As-Sirat-ul-Halabiyyah, 01/91,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/75, Raqm-35.]

Hadith: Nabi Pakﷺ ki Wiladat.

“Hazrat Ibn Qabtiyyah Se Huzoor Nabiyye Akram صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadate Paak Ke Hawaale Se Riwaayat Hai Ki Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Waalida Maajida Ne Farmaya : (Aap صَلَّى اللهُ تَعَالىٰ عَلَيْهِ وَآلِهِ وَسَلَّم Kee Wilaadat Ke Waqt) Mein Ne Mushaahada Kiya, Goya Ki Ek Raushan Sitaara Mere Jism Se Nikla Hai Jis Se Saari Zameen Raushan Ho Ga’i.”

Ise Imam Ibn Sa’d Ne Riwaayat Kiya Hai.

[Ibn Sa’d Fi At-Tabaqat-ul-Kubra, 01/102,

Suyooti Fi Al-Khasa’is Al-Kubra, 01/79,

Farhat-ul-Quloob Fi Mawlid-in-Nabiyy-il-Mahboob SallAllahu Ta’ala ‘Alayhi Wa-Aalihi Wa-Sallam,/74_75, Raqm-34.]
〰〰