
Habba Farmate Hein Hum Sayyedna Abu Masud al-Ansari Ke Humrah Sayyedna Huzaifa Bin Yaman Ke Pas Fitnon Ke Baare Mein Puchne Ke Liye Gaye Unhone Farmaya Us Jama’at Ko Dekho Jis Mein Ibn Sumayyah Hein Aur Us Giroh Ke Humrah Ho Jao Kyunki Ibn Sumayyah Kitabullah Ka Pairokar Hai Hum Ne Unse Pucha Ibn Sumayyah Kaun Hai? Unhone Kaha Sayyedna Ammar Bin Yasir, Maine Rasoolullah ﷺ Ko Unke Baare Mein Ye Farmate Huye Suna Hai Ke Tum Faut Nahi Hoge Balke Tumhein Ek Baghi Giroh Qatl Karega Tum Paani Mila Dudh Piyoge Aur Woh Tumhare Liye Duniya Ka Aakhri Mashrub Hoga.
(Mustadrak, 5676, Sahih)
Sayyedna Abdullah Farmate Hein Mein Aise Kisi Shakhs Ko Nahi Janta Jo Fitne Ke Halaat Mein Sirf Allah Ki Raza Aur Aakhirat Ki Bhalayi Ke Irade Se Nikla Ho Siwaye Sayyedna Ammar Bin Yasir Ke.
(Mustadrak, 5686, Sahih)