Itikaf se Afzal Amal!

Huzoor SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne farmaya koi shaks Apne kisi bhai ki Hajat Rawai ke liye ak kadam chal ke jaye kisi ki Madad (help) ke liye jaye Aaqa Sallallahu Alaihe Wa Aalahi WaSallam ne Farmaya wo ak kadam kisi ki madad karne mein Chal Ke Jana Mujhe pura Mahina is Masjid-e-nabwi me Itikaf bethne se zyada Aziz hai!
Aaqa SallAllahu Alaihi wa Aalihi wa Sallam ne yahan apni kaifiyat Bayan Farmayi hai ke Mai pura Mahina apni Masjid mein Yani Masjid e Nabvi me Itikaf betha raha Nafli Itekaf us Itikaf ki Ibadat se bhut zyada Mujhe aur mere Allah ko yeh Amal Mehboob hai ke Banda chand kadam chal ke kisi ki Madad ke liye jaye.
Tabrani, mu’jam Al Awsat, 6/139,140 #6026.
Mazhari, At-Targhib wat Tarheeb, 3/265,266 #3985.
Tabrani, mu’jam Al kabir, 12/453, #13646.
Allahumma Salle Ala Sayyedina wa Maulana Muhammadiw wa Ala Aalihi wa Sahbihi wa Barik wa Sallim.