Sahibe Maratul Asrar farmate hai’n ki Aap ka shumar kamileen rozgar mein hota hai aap bade qaviul haal aur buland himmat aur benazeer waqt hai’n.Aap Hazrat Sheikh Noor Qutubul alam Pandvi r.a ke Khalifa e uzzam hai’n. Aap apne shiekh ke baad unki masnad par jalwaa afroz huwe aur ek jahan aap se faizyaab hui.Iss had tak ki Hazrat Sheikh Noor Qutubul alam Pandvi r.a ke farzand ne apne walid ke hukm ke mutabiq Khirqa e Khalafat Hazrat Makhdoom Husamuddin Husamul Haq (r.a) hasil kiya aur aajtak inki aulad Hazrat Sheikh Husamuddin ki aulad se khirqa hasil karti hai.Iss se badh ke kya buzurgi hosakti hai.Aap ka asli watan Manikpur hai.
Sahibe Akhbarul akhiyar likhte hain ki Sheikh Husamuddin ke dada Maulana Jalaludin bade aalim fazil aabid sabir aur muttaqi the’n aap namaz e isha ke baad thodi der ke liye neend karlete the’n.Jab sab log soh jate the’n tu woh uth kar sari raat yani namaz e subh tak ibadat karte the’n.Aap har roz 41 baar Sura e Yaseen padhte the’n.Namaz chasht ke baad aap ilme deen ki taleem mein masroof hojate the’n.Aap Quran majeed likh kar basar auqaat karte the’n aur bila wazu qalam hath mein nahi lete the’n.Aap Sultanul Mashaikh Hazrat Khawaja Nizamuddin Aulia r.a ke khalifa Sheikh Muhammad ke mureed the’n yeh Sheikh Muhammad umra ke libaas mein poshida the’n lekin Sheikh Hussamuddin faqr aur faqa mein basar karte the’n aur badi himmat wa istaqlal se tawaqqal par qayam rahe.Haq ta’ala ne iss wajah se muaddan karam makhdoom Sheikh Husamuddin ko paida farmaya ke aap ki walayat ke anwar aaj tak jalwagar hai’n aur qayamt tak rahenge.Gharaz ye ki jab shaikh husamuddin taleem se farigh hue to aap ke dil mein talab haq jalwagar hui.Chunanche aap beqarari se talash e sheikh mein masroof hogaye.Haq ta’ala ne inki rehnomai farmai chunanche aap apne 99 khat mein jo aap ne Shiekh Nizamuddin mira’n shah ko likha tha , likhte’n hai’n Hazrat Sheikh Noor Qutub ke ek mureed ne mureed hone se pahle khawab mein dekha ki sardi ke mausam mein ek buzurg ne pani lakar farmaya ke utho aur namaz tahajjud ada karo. iss mureed ne uth kar namaz tahajjud padhi aur iss pe 6 maah tak halate jazb tari rahi aur dewangi ki haalat mein raha uske baad Hazrat Makhdoom Jahaniya’n Syed Jalaluddin Bukhari r.a ko khwab mein dekha ki usse apni janib khi’nch rahe hai.usi waqt Sheikh Noor Qutub alam mashriq ke taraf se zahir huwe’n aur uska haath pakad ke apni taraf khi’nch liya aur farmaya ke yeh mera hai uske baad uss mureed ne ek raat khwab mein dekha ki Hazrat Fareeduddin masood ganj shakar r.a uska haath pakad kar kisi jagah le gaye’n hai’n aur sema mein mashghol hogaye’n hai’n.Hazrat ke haal ke parto’n se uss mureed ke dil mein qavi jazb paida hogaya aur ghalba e ishtiyaq mein maghloob hokar Hazrat Sheikh Noor Qutub r.a ke khidmat mein pandva gaya rasate mein jis manzil par pahuchta tha Hazrat Sheikh hazir hokar farmate then mein tumhare saath hoon fikr mat karo.jab pandva pauche to juma ki namaz ke baad bait se musharraf huwe’n.uske baad ghaeb se ek haath zahir huwa aur uss mureed ke haath par ja pahuncha mureed ne hairan hokar Hazrat Sheikh se daryaft kiya aap ne farmaya yeh mere mashaikh uzaam ka haath hai.unhone bhi tujhe qubool kiya hai. Phir hazrat ne usko 14 maah apne pass rakh kar kai chille karae aur mujahidaat mein mashghool rakha uske baad uss mureed ne arz kiya ki mera dil zakir ho gaya hai to aapne farmaya “ye allah ta’ala ka fazl hai jise chahta hai ata karta hai” uss ke baad farmaan hua ki hazrat sheikh sirajuddin ki ziyarat ke liye jao chunanchah wo waha’n chale gye. Hazrat sheikh sirajuddin r.a ne in par bahut nawazish farmai aur baatni taur par khirqa khalafat ata farma kar hazrat sheikh noor qutub e alam ke pass bhej diya uss ke baad wo mureed khilwat mein mashghool ho gaya.