
Hazrat Abbas Bin Abdul Muttalib Radiallahu Anhuma Se Marwi Hai Ki Maine Bargaah E Risaalat Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam Me Arz Kiya: Ya Rasoolallah! Quraish Jab
Aapas Mein Milte Hain To Haseen Muskurate Chehron Se Milte Hain Aur Jab Hum Se Milte Hain To Aise Chehron Se Milte Hain Jinhen Hum Nahin Jante (yaani Jazbaat Se Aari Chehron Ke Saath) Hazrat Abbas RadiAllahu Anhu Farmate
Hain Huzoor Nabi E Akram Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam Ye Sun Kar Shadeed Jalaal Mein Aa Gaye Aur Farmaya: Us Zaat Ki Qasam Jis Ke Qabaza E Qudrat Mein Meri Jaan Hai! Kisi Bhi Shakhs Ke Dil Mein Us Waqt Tak Imaan Dakhil Nahin Ho Sakta Jab Tak Allah Ta’ala Aur Us Ke
Rasool Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Sallam Aur Meri Qaraabat Dari Ki Khatir Tum Se Mohabbat Na Kare.”
ise Imaam Ahmed, Nisa’i, Hakim Aur Bazzaar Ne Riwayat Kiya Hai.
हदीस की किताब हवाला
मुस्नद अहमद
हदीस संख्या 1777 (एक प्रचलित ऑनलाइन संस्करण के अनुसार)
सुनन अल-तिर्मिज़ी
हदीस संख्या 3758
अस-सुनन अल-कुबरा
हदीस संख्या 8176
सुनन इब्न माजा
हदीस संख्या 140
Yeh sahih aur mustanad (authentic) hadees hai. Yeh riwayat Ahle Bait (Huzoor Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke gharwale aur qaraabatdaar) ki azeem shan, unki maqbooliyat aur unse mohabbat ko Imaan ki buniyadi shart ke taur par wazeh karti hai.

