Muawiya ke zulm ki ek jhalak..

Amir Muawiya ke zulm-o-taddi ki ek jhalak, Mufakkir-e-Islam Maulana Abul Hasan Ali Miyan Nadwi Rahmatullahi Alaih ke nok-e-qalam se

۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔

Mufakkir-e-Islam Maulana Abul Hasan Ali Miyan Nadwi Rahmatullahi Alaih apni kitab Al-Murtaza ke safha 277 par Maula Ali Karramallahu Wajhahu ke khutbe ka ek hissa naql karte hain ke jab Muawiya ki fauj ne Hazrat Ali Karramallahu Wajhahu ki zameen par hamla kiya to Hazrat Ali khutba dene ke liye khade hue aur farmaya ke:

“Naubat yahan tak pahunch chuki hai ke tum par hamle kiye gaye. Muawiya ki fauj mein se qabeela Ghamid ki fauj ne Al-Anbar par chadhai ki aur wahan maujood governor Hassan bin Hassan ko qatl kar diya. Unke saath bahutere mardon aur auraton ko halaak kiya. Ek sipahi ghar mein ghus kar Musalman khatoon ya zimmi khandan ki aurat ke kaan se uski baaliyan aur pairon se uske paazeb utaar liye. Aur ye sab fauji loot ka maal bhar kar wapas gaye.”

Aur Maulana Moosuf isi kitab ke safha 279 par likhte hain:

“Shamiyon (Muawiya aur uski fauj) ki quwwat zor pakad chuki thi. Ab woh daayein-baayein hamle karte aur lootmaar macha rahe the.”

Hawala: Al-Murtaza, Maulana Abul Hasan Ali Hasani Nadwi, safha 277/279, Majlis Nashriyat-e-Islam.

Leave a comment