
Ammar RA us Raaste par chalna Jidhar Ali AS ho
Hazrat Alqama RA va Aswad RA ne Bayan kiya, Ham dono Hazrat Abu Ayyub Ansari RA ki Khidmat main Hazir hue aur kaha, Aye Abu Ayyub RA Beshaq Allah Ta’ala ne apne Nabi SAWS ke Zariye se aapko Izzat Baqshi hai, Aur Allah ki taraf se ye Aapke liye Fazilat hai Jisse aapko Nawaza gaya, Aap hamain bataye ki aap Ali AS ke Hamraah Ahl e La’ailaaha Illallah ( Muslamano ) se Jung ke liye kyun nikle?
Hazrat Abu Ayyub Ansari RA ne Jawab diya, Main Tumhe Allah ki Qasam de kar kehta hu, Allah ke Rasul SAWS Us Ghar main mere saath Tashreef farma the Jis Ghar main is Waqt tum dono mere saath Moujood ho, Rasulullah SAWS ke Ilawa is Ghar main koi Naa tha, Aur Ali AS Aap SAWS ke Daaye ( Right ) Janib Tashreef Farma the, Aur main Aap SAWS ke Baaye ( left ) Janib baitha tha aur Anas RA Aap SAWS ke Saamne khade the ke Achanak Darwaze ko Harkat hui,
Rasulullah SAWS ne Farmaya:- Anas RA, Ammar RA ke liye Darwaza kholo, Ye Taiyyab ibne Taiyyab hai, Pas Anas RA ne Darwaza khola aur Amma RA Dakhil hue, Pas Unhone Rasulullah SAWS ko Salaam pesh kiya,
Rasulullah SAWS ne Ammar RA se Farmaya:- Mere baad meri Ummat par aisa Buraa Waqt aayega ke Ek Dusre ke Khilaaf Talwaare Nikalenge aur Ek Dusre ko qatl karenge aur Ek Dusre se Bezaari ka Aelaan karenge, Jab Tum aise Haalat dekho to tum par Farz hai Uska Daaman thaame rakhna jo mere Daayi ( Right ) Jaanib hai, Ya’ani Ali AS ibne Abi Talib AS,
Agar Tamaam Log Dusre Raaste par chal pade aur Ali AS Tanha Dusre Raaste par chal rahe ho to Tum us Raaste par chalna Jidhar Ali AS ho, Baaki Tamaam Logo ko Chhod dena,
Aye Ammar RA, Ali AS Tumhe Hidayat se Door nahin karenge, Aur ye Tumhari Baatil ki taraf Rehnumaayi nahin karega, Aye Ammar RA, Ali AS ki Ita’at meri Ita’at hai aur meri Ita’at Allah ki Ita’at hai.
Page no:- 119
Topic – 141
Fraid ul Simtain fi Fazayil al Murtaza wal Batool wal Sibtain by Imam ibrahim bin muhammad al jwaini r.a ( Arabi )
Writer :- Shaikh e Khurasan, Mohaddis e Kabeer, Ibrahim bin Muhammad bin Al Maveed Abi Bakr Jovaini 822 Hijri
Noor us Saqalain ( Urdu Translation )
Translator:- Allama Safdar Raza Qadri
