
*Maymun Abi Abdullah Bayan Karte Hain Ke Mene Hazrat Zaid Bin Arqam Ko Ye Kehte Hue Suna Hum Rasoolullah ﷺ Ke Saath Ek Waadi Jise Wadi e Khum Kaha Jata Tha Me Utrey, Pas Aap ﷺ Ne Namaz Ka Hukum Diya Aur Sakht Garmi Me Jama’at Karwayi Phir Hame Khutbah Diya, Rasoolullah ﷺ Ko Suraj Ki Garmi Se Bachane Ke Liye Darakht Par Kapda Latka Kar Saya Kiya Gaya Aap ﷺ Ne Farmaya Kya Tum Nahi Jante Ya Is Baat Ki Gawahi Nahi Dete Ke Me Har Momin Ki Jaan Se Qarib Tar Hun ? Logo Ne Kaha Kyu Nahi Aap ﷺ Ne Farmaya Pas Jiska Me Maula Hun Uska Ali Maula Hai Aey Allah Tu Usse Adawat Rakh Jo Isse Adawat Rakhe Aur Use Dost Rakh Jo Ise Dost Rakhe…*
📚 *Reference* 📚
*1.* Kanzul Ummal, 36845.
*2.* Al Muajjam Al Kabeer, 5068.
*3.* Tarikh Dimashq, Ibn Asakir, 166.
*4.* Bayhaqi, Sunan Al Kubra, 131.
*5.* Ahmad Ibn Hanbal, Al-Musnad, 372.