Youm e Wiladat Hazrat Imam Hassan R.A 15- Ramazan

*कलम उठाया था तामीर-ए-कर्बला के लिए*
*वगरना जंग थी क्या इब्ने मुर्तज़ा के लिए*
*हसन ने ज़ब्त किया है हुसैन के ख़ातिर*

*अस्सलातु वस्सलामु अलैका या अमीरूल मोमिनीन मौला इमाम हसन अल मुज्तबा अलैहिस्सलाम*

15 रमजान 03 हिजरी मदीने के सबसे पाक मुक़द्दस घर मे, बाद नमाज़े ज़ोहर के, क़ायनात की सबसे अज़ीमतर पाक खातून के पास, मुसल्ले पर बा लिबास रसूल अल्लाह स,अ,व, की दुआ *इन्ना आतैयना कल क़ौसर* की तफ़्सीर बनके, खुद मोहम्मद स,अ,व, की तस्वीर बनके जिनका नूर जलवा अफरोज़ हो, उस दूसरे इमामत के चांद को मोहब्बत की ज़बान में हसन अलैहिस्सलाम कहते है । लक़ाबत तो इतने ही कोई बयान ही नही कर सकता है पंजतन पाक अलैहिस्सलाम के बहरहाल कम लफ्ज़ों में बात पहुंचाने का मकसद यही की तमामी मुहिब्बाने अहलेबैत अलैहिस्सलाम मौलाई भाइयों को मौला इमाम हसन आली मक़ाम की बज़ाहिर नूर की विलादत बहुत बहुत मुबारक हो

*Farmane Siddeeq e Akbar Hazrat Abu Bakar Siddique Razi Allahu Tala Anhu :- Hasan! Aap Par Mere Maa Baap Qurban*

*Uqba Bin Haris Se Riwayat Hai Ke Ek Din Hazrat Abu Bakar Razi Allahu Tala Anhu Ne Asar Ki Namaz Padhi Fir Masjid Se Nikal Kar Tehal Ne Lage Aapne Ne Dekha Ke Hazrat Imaam Hasan Alahis Salam Aur Bachcho Ke Sath Khel Rahe Hain, Hazrat Abu Bakar Siddique Ne Badh Kar Unko Apne Kandhe Par Utha Liya Or Kaha Mere Maa Baap Qurban Ye Rasool Allah Sallallahu Alaihi wa Aala Aalehi wa Sallam Ke Mushaba Hain Hazrat Ali Karam Allahu Wajhul Kareem Ke Nahi Hazrat Ali Hasne Lage…*

📚 *Reference* 📚

*1.* Sahi Al Bukhari, Jild 3, Safa 1302, Raqam 3349.
*2.* Sahi Al Bukhari, Jild 3, Safa 1370, Raqam 3640.
*3.* Hakim Al Mustadrak Ala Al Sahihain, Jild 3, Safa 184, Raqam 4784.
*4.* Musnad Abu Ya’la, Jild 1, Safa 41, Raqam 37.
*5.* Musnad Abu Ya’la, Jild 1, Safa 42, Raqam 39.
*6.* Bazzar Al Musnad, Jild 1, Safa 122, Raqam 53.
*7.* Nasai Sunan Al Kubra, Jild 5, Safa 48, Raqam 8161.
*8.* Nasai Fazile Sahaba, 19, Raqam 57.
*9.* Tabarani Al Muajjam Al Kabir, Jild 3, Safa 20, Raqam 2527.
*10.* Shibani Al Hadd Al Masani, Jild 1, Safa 299, Raqam 409.
*11.* Asqalani, Al Sahaba, Jild 2, Safa 70.
*12.* Ibne Jawzi, Sifat Al Safwa, Jild 1, Safa 759.
*13.* Khateeb Baghdadi, Tareekh Baghdad, Jild 1, Safa 139.

*Saeed Ibn Abi Saeed Al-Maqburi Ne Bayan Kiya Ke Hum Sayyedna Abu Hurairah Razi Allahu Tala Anhu Ke Saath The Ke Sayyedna Imaam Hasan Alahis Salam Hamare Paas Tashrif Laye Unhone Aate Hi Salam Kiya Humne Unke Salam Ka Jawab Diya, Sayyedna Abu Hurairah Ko Unke Aane Ka Ilm Na Hua Humne Unko Bataya Ke Sayyedna Hasan Ibn Ali Salam Keh Rahe Hain, Chunache Sayyedna Abu Huraira Unse Mile Aur Unko Salam Ka Yun Jawab Diya “Wa Alaika Assalam Mere Aaqa” Phir Sayyedna Abu Huraira Ne Humse Kaha Mene Inke Baare Me Rasoolullah ﷺ Ko Farmate Hue Suna Hai Ke Mera Ye Beta Sardar Hai…*

📚 *Reference* 📚

Mustadrak Ala Al-Sahihain, Hadees 4792, Imam Hakim Aur Imam Zahabi Ne Is Hadees Ko Sahi Qarar Diya Hai.

Advertisement

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s