
Hazrat Imam Hasan Mujtaba (Alaihis Salaam) Ki Khidmat May Ek Saa’il Nay Hazir Ho Ker 📜 Tahreeri Darkhuwast Paysh Ki.
Imam Hasan (Alaihis Salaam) Ne Baghayr Parhhay Farmaya : Tumhari Zarurat Puri Ki Jaaye Gi.
Arz Kiya Gaya : Aye Nawasa e Rasool Aap Nay is Ki Darkhuwast Parh Ker Jawab Diya Hota.
Imam Hasan Mujtaba (Alaihis Salaam) Nay irshad Farmaya Jab Tak May is Ki Darkhuwast Partha Woh Meray Samnay Zillat Ki Halat May Khara Rahta Agar Allah Mujh Say Puchhta Kay Tu Nay Saa’il Ko itni Dayr Khara Rakh Kar Kyun Zaleel Kiya ? Toh May Kya Jawab Dayta ?
________________
Hazrat Imam Hasan Mujtaba (Alaihis Salaam) Kay Pahlu May Bayth Kar Ek Aadmi Ek Baar Allah Say Das Hazaar Dirham Ka Sawaal Kar Raha Tha,
Jaise Hi Aap Nay is Haajat Mand Ki Ye Dua Suni To Fauran Apnay Ghar Tashreef Laaye Aur Us Shakhs Kay Liye 10 Hazaar Dirham Bhijwa Diye.
📗 ibn Asakir, Volume 13, Page 245
______________
Hazrat Imam Hasan Mujtaba Nay Madinah e Munawarah Kay Ek Baagh May Ek Siyaah Faam (Kalay) Ghulam Ko Daykha Jo Ek Luqma Khud Khata Aur Ek Apnay Kuttay Ko Khilata.
Imam Hasan Mujtaba Us Kay Pas Tashreef Laye Aur Farmaya : Tumhe is Baat Pay Kis Nay Ubhara ?
Us Nay Arz Ki : Mujhay is Baat Say Haya Aati Hay Kay Khud Toh Khaon Laykin isay Na Khilaon.
Aapko Ye Baat Bohat Pasand Aai Us Say irshad Farmaya: Mayri Wapsi Tak Yahan Thaharna. Ye Farma Kar Aap Nay Us Ghulam Kay Maalik Kay Pas Tashreef Lay Gaye Aur Us Say Wo Ghulam Aur Baagh Khareed Farmaya Aur Ghulam Ko Aazad Farma Kar Baagh Us Ko Tohfay May Day Diya.
📗 Tareekh-e-Baghdad, Jild 6 Safha 33 Raqam 3059
_________
Sayyid ul Askhiya Hazrat Imam Hasan Mujtaba Alaihis Salaam Nay Do Baar Apnay Ghar Ka Sara Maal o Asbab Aur 3 Martaba Aadha Maal o Asbab Raah e Khuda May Kharch Farmaya.
Allahu Akbar , Subhan Allah 💚
Aye Sakhi ibne Sakhi Apni Sakha Say Do Hissa 🤲🏻 Ya Sayyid e Aali Muqaam
اَللّٰھُمَّ صَلِّ عَلَی سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ عَلَی اٰلِ سَیِّدِنَا مُحَمَّدٍ وَ بَارِکْ وَ س٘لِّمْ