
*_﷽_*
*_Fazail e Ahle Bait E Mustafa ﷺ_*
_Qura’an Aur Ahle Baith ع_
*_Ayat E Mubahila_*
_“Phir Aye Mehboob, Jo Tum Se Isaa k Baare Me Huzzat Kare Iske Baad Tumhe Ilm Aachuka To Unse Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Nafs Aur Tumhari Nafson ko Phir Mubahila Kare To Jhuto Par Allah ﷻ Ki Laanat Daale”_
*_(Surah Al Imraan Ayat 61)_*
*_Ye Aayat E Karima Nazraan Ke Isaiyo k muttalik Naazil huwi Jo Huzoor Nabi E Rehmat ﷺ se Hazrat Isaa k Muttalik Bahes Karne Aaye the, Yeh Shaher Arab Me Isaiyi Mazhab Ka Bahot Bada Markaj Tha. Is Shaher E Nazraan me Ek Bahot Bada Girzaghar (Church) tha Jaha Bade bade Arab Ke Padri Rehte The, Unka Sardar Tha Abdul Masih uski raay Ke begair us Shaher k Isayi Koi Kaam naa karte._*
*_Ye Log Asr Ke wakt Apne Wafd Ke Saath Madina Munawwar pahuche Jo Munazra Karne Aaye The._*
*_Allah Ke Rasool ﷺ Ne Jab Ye Wajeh Bayan Kar Diya Ke Isaa Alaihi Salam Allah ﷻ Ke Bheje Ambiya Alaihi Salam aur Swaleh Bande Hai Bete Nahi Jaisa Isayo Ka Batil Akeeda hai ispe Chand Isaiyo ne Munazra (debate) Ki par wo koi dalail na laa sake aur Huzoor Nabi E Karim ﷺ ne unhe dalail se wajeh kiya Ke jab Isa Alaihi salam bin baap Ke paida huwe to unhe_* *_tumne Khuda maan Liya jab ki Adam Alaihi Salam ko naa baap ki jarurat huwi naa maa ki ALLAH ﷻ ne unhe_* *_Qudrat e Kamila se paida kiya Aage phir ALLAH ﷻ ne ye AYAT E MUBAHILA naazil ki jisme Isayo ko kaha gaya_* *_wo Leke Aaye Apne Ahle o Aayal ko Aur Huzoor Nabi E Karim ﷺ Apni Ahle bait ko Aur Ek Dusre Ke Halaakat ki dua kare taaki Haq wajeh hojaye._*
*_Ispe Isayo ne Kaha Ke Wo Gaur o fikr karke jawab denge natiza ye huwa Ke Unme Jo Nazran ka sabse Bada Padri Abdul Masi (ARCH BISCHOP of Nazran) Se Mashwara kiya To Usne Kaha Muhammad ﷺ Allah ﷻ Ke Bheje Rasool ﷺ Hai unse Mubahila naa karna Agar Aalam e Dunya Me Isayat ko bachana chahte ho to wapas chale jao warna koi Isai Rooh e Jamin me nahi bachega par uske mashware Ke baad bhi kuch log Nabi e Karim ﷺ Ke pass Jaa pahuche to dekha Huzoor Nabi e Karim ﷺ ki Godh e Mubarak Me Imam Hassan Aur Imam Hussain ع The Aur Maula Ali ع Aur Sayeda Fatima Tuz Zahra س Ke piche The Huzoor Nabi e Karim ﷺ Ne Kaha Mai Jo Dua Karu Tum Aamin kahna_*
*_Is haal ko dekh Ke Isayo pe Aisa Raub Taari huwa Ke unke bade padri ne kaha Ke Mai Aise Chehre Dekh Raha Hu Agar Ye Aamin kahde To ALLAH ﷻ pahad ko yaha Le Aayga Aur hum sab halak hojaynge bil aakhir Isaiyo ne Mubahile Se rahe farar ekteyar kar liya ye Is Aayat E Karima Ka Mukhtasar Sa Pas Manzar Hai ab Hum Hadeees E Sahi Se Bhi ye_*
_Hadees 01:_
*_“Amir bin Saad Bin Abi Waqqas Bayan Karte Hain Ki Jab Aayatey Mubaahila Naazil Huwi :_*
*_“Farmado Aao Hum Bulaye Apne Bete Aur Tumhare Bete Aur Apni Aurato Aur Tumhari Aurato Aur Apni Nafs Aur Tumhari Nafson ko Phir_* *_Mubahila Kare To Jhuto Par Allah ﷻ Ki Laanat Daale”_*
*_(Surah Al Imraan Ayat 61)”_*
*_To Huzoor Nabi E Akram ﷺ Ne Maula Ali,ع Sayeda Fatima,س Imam Hassan Aur Imam Hussain ع Ko Bulaaya Phir Farmaya :_*
*_Ya Allah ﷻ_*
*_Yeh Mere Ahle Bait Hain.”_*
_References :_
*_📚(Sahi Muslim, Vol : 06, Pg : 264, Kitabul Manakib E Sahaba Baab : Man Fazail e Ali Ibn Abu Talib ع Hadees No. 6220 ) Scan Page Sahih Muslim Pg. No. 1198 Hadees : No. 2404_* 📙📄👇🏻

