Dars e Maula Ali (AS) | Maula Ali Quotes in Urdu | Ek Tafseeli Guftagu

Advertisement

Shab e Barat: The Night of Forgiveness.

*15 Shaban ul Muazzam*

*Shab e Bara’at Mubarak*

*Ibne Maajah Ki Hadees Sharif Hain Mola e Kaynat Mola Imaam Ali Alaihis Salam Se Riwayat Karte Hai Ki :- Huzoor Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Jab Nisf Shaaban Ki Yani (15 Shaban) Ki Raat Aaye To Raat Ko Qayaam Karo Aur Din Ko Roza Rakho, Beshak Ghuroob e Aaftab Se Subah Saadiq Tak Allah Ta’ala Ki Rehmat Ka Khaas Nuzool Aasman o Duniya Par Hota Hain, Rab Ta’ala Ki Taraf Se Aawaz Di Jati Hai :- Khabardar! Hai Koi Mujh Se Bakhshish Talab Kare, Me Use Baksh Du, Hain Koi Rizq Ka Taalib Ke Use Rizq Ata Karu, Hain Koi Musibat Zada Ke Me Use Aafiyat Ata Karu, Khabardar, Koi Is Tarah Hai ? Khabardar Koi Is Tarah Hai ? Isi Tarha Ibne Majah Ki Ak Aur Hadees Sharif Hai Hazrat Syedna Abu Musa Ashari Razi Allahu Tala Anhu Riwayat Karte Hain:- Huzoor Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya:- Beshak Nisf Shaban Ki Raat Me Allah Ki Rahmat Ka Khaas Zahoor Hota Hai, Allah Apni Tamaam Makhlooq Ko Maaf Farma Deta Hai,Siwa e Mushrik, Logo Se Bughz Rakhne Wale Aur Dushmani Karne Wale Se, Tabrani Aur Ibne Habaan Ki Hadees Hai Hazrat Syedna Maaz Bin Jabal Razi Allahu Tala Anhu Se Riwayat Hai:- Huzoor Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya Ki:- Allah Ta’ala Shaban Ki 15wi Raat Ko Apni Tamaam Makhlooq Ki Taraf Matawajjeh Hota Hai Aur Tamaam Makhlooq Ki Maghfirat Farma Deta Hai Lekin Mushrik Aur Bughz (Keena) Rakhne Wala Nahi Baksha Jata, Bayhaqi Aur Mishkaat Ki Hadees Sharif Hai Sayyeda Ayesha Siddeeqa Salamun Aleha Se Riwayat Hai Ki :- Huzoor Rasool Allah ﷺ Ne Irshad Farmaya:- Nisf Shaaban Ki Raat Me Saal Bhar Me Paida Hone Wale Aur Faut (Intaqal) Hone Wale Baa’is e Rif’at Nek Aamal Aur Rizq Ke Asbaab Likh Diye Jaate Hain, Isi Tarah Ibne Maaja, Mishkaat, Attargib Wattarhib Ki Hadees Sharif Hai:- Jab 15 Shaban Aaye To Usme Ibadat Karo Din Me Roza, Shoib ul Imaam Ki Hadees Sharif Hai:- Allah Azzavajal Shaban Ki 15wi Shab Me Tajalli Farmata Hai Istagfar (Tauba) Karne Wale Ko Baksh Deta Hai, Behqi Ki Hadees Sharif Hai:- Syyeda Ayesha Siddeeqa Salamun Aleha Ka Bayan Hai:- Huzoor ﷺ Shaban Ki 15vi Raat Me Aadhi Raat Ko Qabarustan Tashreef Le Jate The, Hadees Sharif Me Aata Hai:- Huzoor ﷺ Ne Irshad Farmaya Jisne 15wi Shaban Ko Roza Rakha Usko Meri Shafa’at Halaal Ho Gayi, Isi Tarha Ak Aur Hadees Sharif Hai:- Jo Shaks 15wi Shaban Ko Roza Rakhe Use Jahannum Ki Aag Na Chuegi…*